Woh nahi mera magar usse muhabbat hai to hai, Ye agar rash-o-rivazo se bagawat hai to hai. Sach ko maine sach jab kah diya tab kah diya, Ab jamane bhar ko mujhse shikayat hai to hai. Kab kaha maine ki woh mujhe mil jaye main usse, Gair na ho jaye bas itni se hasrat hai to hai. Dost bankar dushmano sa woh satata hai mujhe, Fir bhi uss jalim pe marna apni fitrat hai to hai. Jal gaya parwana to shamma ki isme kya khata, Raat bhar jalna jalaana uski ...
Ye kya muqaam hai wo nazaare kahaan gaye wo phool kya hue wo sitaare kahaan gaye yaaraan-e-bazm-e-jurr'at-e-rindaana kya huee unn mast ankhadiyo'n ke ishaare kahaan gaye ek aur daur ka wo taqaaza kidhar gaya umde hue wo hosh ke dhaare kahaan gaye uth-uth ke baith chuki gard raah ki yaaro'n qaafile thake-haare kahaan gaye betaab tere dard se the chaaragar "Hafeez" kya jaaniye wo dard ke maare kahaan gaye.
Aisa lagta hai zindagi tum ho ajanbi jaise ajnabi tum ho ab koi aarzu nahi'n baaki justuju meri aakhiri tum ho main zameen par ghanaa andhera hoon asmaano'n ki chaandni tum ho dosto'n se wafa ki ummeedein kis zamaane ke aadmi tum ho.
fikar aab nahi koi aashk-e-gum bhaney ki raas aagain hum ko gerdishain zamaney ki bargha-e-ulfat main char simt khoosh boo hai kuch tumhari batoun ki,kuch meray fasaney ki phool toor ker dekho,wo bhi aah bherta hai bass sada nahi aati,dil key toot janey ki bass isi tazbazab main umer kat gai apni koof baarg wo baraa ka fikar ashiyaney ki ye mazay aseri key ahl-e-shaher kia janain gher main dekh leta houn shakal qeed ...
Updated 02-15-2009 at 02:27 AM by NoToRi0uS
Kaho Ab Kya Kahoon Tum Se Batao Kya Likhoon Tum Ko Mujhe Tamheed Do Koi Mujhe Umeed DO Koi Naya Aik Lafz Ho Koi Jahan Se Baat Chal Nikle Meri Mushkil Ka Hal Nikle K Tum Se Baat Karni Hai Tum Apni Roushan Aankhoon Ko Agar Kholo To Main Likhoon Tumhari Aankh De Degi Takhatub Ko Nasheela Pan Kaho Ab Kya Irada Hai Mujhe Izhar Karna Hai Kaho.........Ab ..........Kya ............Kahoon............Tum............Se!
Updated 02-14-2009 at 02:13 AM by NoToRi0uS