saaNs lete huye bhii Darataa hoN ye na samajhein ke aah kartaa hoN bahar-e-hastii mein hoN misaal-e-hubaab miT hii jaataa hoN jab ubharataa hoN itanii aazaadii bhii Ganimat hai saaNs letaa hoN baat kartaa hoN aap kyaa puuchhate hain meraa mizaaj shukr Allaah kaa hai martaa hoN ye baraa aib mujh mein hai ’akbar’ dil mein jo aaye kah guzarataa hoN
duniyaa mein hoN duniyaa kaa talab_gaar nahii hoN baazaar se guzaraa hoN Khariidaar nahii.n huu.N zindaa hoN magar zeest kii lazzat nahii baaqii har chand ki hoN hosh mein hoshiyaar nahii hoN is Khaanaa-e-hastii se guzar jaaoNgaa belaus saayaa hoN faqat naqsh-e-diivaar nahii hoN afasurdaa hoN ibarat se davaa kii nahii haajat Ghum kaa mujhe ye zauf hai biimaar nahii hoN vo gul hoN KhizaaN ne jise bar_baad ...
dil meraa jis se bahalataa koii aisaa na milaa but ke bande to mile Allaah kaa bandaa na milaa bazm-e-yaaraaN se phirii baad-e-bahaarii maayuus ek sar bhii use aamaadaa-e-saudaa na milaa gul ke KhvaahaaN to nazar aaye boht itr_farosh taalib-e-zam_zam-e-bul_bul-e-shaidaa na milaa vaah kyaa raah dikhaaii hamein murshad ne kar diyaa kaabey ko gum aur kalisaa na milaa
aaNkhein mujhe talvon se vo malane nahiin dete armaan mere dil kaa nikalane nahiin dete Khaatir se terii yaad ko Talane nahiin dete sach hai ke hameiin dil ko sanbhalane nahiin dete kis naaz se kahate hain vo jhunjhalaa ke shab-e-vasl tum to hamein karavaT bhii badalane nahiin dete paravaano ne faanuus ko dekhaa to ye bole kyon ham ko jalaate ho ki jalane nahiin dete hairaan hoN kis tarah karoN arz-e-tamannaa ...
dard-e-dil paas-e-vafaa jazbaa-e-imaaN honaa aadamiyat yahii hai aur yahii insaaN honaa nau-giraftaar-e-balaa tarz-e-fuGaaN kyaa jaanen ko_ii naashaad sikhaa de inhein naalaaN honaa rah ke duniyaa mein yoN tark-e-havas kii koshish jis tarah apane hii saaye se gurezaaN honaa zindagii kyaa hai anaasir mein zahor-e-tarteeb maut kya hai inhi ijzaa kaa pareshaaN honaa dil asiirii mein bhii aazaad hai aazaadon ...