1
dil-e-naadaa.N tujhe huaa kyaa hai
aaKhir is dard kii davaa kyaa hai
ham hai.n mushtaaq aur vo bezaar
yaa ilaahii ye maajaraa kyaa hai
mai.n bhii muu.Nh me.n zabaan rakhataa huu.N
kaash puuchho ki muddaa kyaa hai
jab ki tujh bin nahii.n koii maujuud
phir ye ha.ngaamaa, ai Khudaa kyaa hai
ye parii cheharaa log kaise hai.n
Gamazaa-o-ishvaa-o-adaa kyaa hai
shikan-e-zulf-e-ambarii kyo.n hai
nigah-e-chashm-e-surmaa saa kyaa hai
sabazaa-o-gul kahaa.N se aaye hai.n
abr kyaa chiiz hai havaa kyaa hai
hamako unase vafaa kii hai ummiid
jo nahii.n jaanate vafaa kyaa hai
haa.N bhalaa kar teraa bhalaa hogaa
aur darvesh kii sadaa kyaa hai
jaan tum par nisaar karataa huu.N
mai.n nahii.n jaanataa duaa kyaa hai
mai.n ne maanaa ki kuchh nahii.n 'Ghalib'
muft haath aaye to buraa kyaa hai
Ali_PriNcE (12-26-2009), Barbie Doll Jiya (04-03-2008), Bheegi-Palkain (05-31-2008), hatim (08-27-2008), (01-14-2010), nidafarhan (02-27-2011), pinky_way (08-29-2011), Queen^Khi (12-21-2009), Saba (04-21-2009), shizzi (04-16-2010), zehra umar (11-08-2010)
Dunya k aay musafir manzil teri Qabar hai
Tay kar raha hai jo tu 2 din ka ye safar hai
Jab say bani hai ye dunya lakhoon karooron aaye
Baki raha na koi mitti may sab samaye....
Iss baat ko na bhoolo sub ka yehi hashar hai
Dunya k aay musafir manzil teri Qabar hai.....
Aankon sayy tuu nay apnaykitnay janazay daikhay
Hathoon sayy kitnay apnay dafnaye kitnay murday
Anjaam sayy tuu apnay ktun itna bekhabar hai
Dunya k aay musafir manzil teri Qabar hai........
Ye oonchay oonchay mehal kuch kaam k nahii hain
Ye aali shaan k banglay kuch kaam k nahii hain.....
Do gaz zameen ka tukra chota sa tera ghar hai
Dunya k aay musafir manzil teri Qabar hai.........
Makhmal pay sonay walay matti may so rahay hain
shah o gada yahan pay sub aiik ho rahay hain......
doono howay barabar mout ka ye aasar hai
Dunya k aay musafir manzil teri Qabar hai...
Matti k putlay, tuu nay matti mayy hai samana
Aik din yahan tuu aaya, aik din yahan sayy jana
NASIR HUSSAIN added 7 Minutes and 58 Seconds later...
Khud ko is dil main basane ki Ijazat Day Do
Mujh ko tum apna bananay ki Ijazat Day Do...
Tum meri zindagi ka ek haseen lamha ho
Phoolon say khud ko sajanay ki Ijazat Day Do
Main kitna chahta hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhay yeh aj batanay ki Ijazat Day Do
Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra
Mujhay yeh sham sajanay ki Ijazat Day Do
Mujhay Qaid kar lo apnay ishq main
Yeh jaan tum pe lootanay ki Ijazat Day Do
Nahi hai shauk bhoolnay ka mager
Mujhay yeh duniya bhoolanay ki Ijazat Day Do
khamosh raaho mien tera saath chahiye
tanha hai mera hath,tera haath chahiye
mujhko mere muqadar per itna yakeen too hai
tujhko bhi mere lafz, meri baat chahiye
mien khud apni shairi ko kiya ACHA kehta
mujhko teri tareef, teri daad chahiye
ehsaas-e-mohabbat tere waste hai lakin
juNAHIon-e-ishk ko teri soghat chahiye
tu mujhko paane ki khuhaish rakhti ho lakin
jeene ke liye teri mulaakat chahiye!
Muddat se jis ke waaste Dil be qaraar tha
Woh laut kar na aaya magar intezaar tha
Jo humsafar tha chorr gaya raah main mujhe
Main phans gaya bhanwar main woh darya ke paar tha
Manzil qareeb aayi to tum door hogaye
Itna to tum batao ke yeh kaisa Pyaar tha
Chilman giradi yeh kis ne dono ke darmiyan
Na woh sakoon se bethi na mujh ko qaraar tha
Yeh mukhtasar sa haal hai rukhsat ke waqt ka
Ankhon main aansu aur Dil beqaraar tha
Yeh baat umer bhar samjh na paaya main
Kyun Dil mera us ka talabgaar tha
NASIR HUSSAIN added 9 Minutes and 14 Seconds later...
chahe jo hame dil-o-jaan se zindagi me,
wohi sachha apna humsafar hota hai...
khusi to tab milti hai zindagi me yaaron,
jab apka sathi apke kareeb hota hai.....
khamosh rehta ho pyar me kisi baat se,
khamosi me uski ikarar chhupa hota hai
kahi lagti hai jo chhot uske dil pe kabhi,
to uska dard aapko mehsus hota hai....
dil bhi chain se nahi dhadkata us wqt,
jab sathi aapka bahot mayus hota hai....
dil to tadapta rehta hai uski yaad me,
ye dil bechara sada bekasur hota hai...
ankhe bandh karte hai hum use dekhne,
wo humsafar hamare dil me basa hota hai..
chahe na batao ekdusre ko apna dukh,
fir bhi dono ko sab kuch pata hota hai....
lakh chhupale chahe wo apne aansu ko,
khusi aur gam ke aansu me fark hota hai.
NASIR HUSSAIN added 10 Minutes and 35 Seconds later...
SUNO JANA
Parhai Par Tawajo Do
Kitaabon Main Gulabon Ko
Kabhi Bhoolay Say Mat Rakhana
Kitabain Jab Bhi Kholo Gi
Yeh Kanton ki Tarhan Dil Main
Chubhain Gay Khoon Bahayen Ge
Tumhain Pehron Satayen Ge
Kisi Ko Khat Nahin Likna
Likhai Pakri Jati Hai
Bari Ruswai Hoti Hai
Kisi Ko Phone Mat Karna
Sadayen Dil Dukhati Hain
Woh Awaazain Satati Hain
Meri Nazmain Nahin Parhna
Yeh Mehshar Utha Dein Gi
Tumhain Pagal Bana Dein Gi
Suno Larki....
~?Meri Mano?~
Apni Taqdeer Say Tum
Khul K Mat Larna
Abhi Tum Guriya Se Khelo Tum
Abhi Tum Ishq Mat Karna
Last edited by NASIR HUSSAIN; 04-08-2009 at 04:54 PM. Reason: Automerged Doublepost
" Hum ko unse wafa ki hai umeed,
Jo nahin jaante wafa kya hai."
1954 main Mirza Ghalib film aaye
jisme Gulukara Suriyya ne gaayi thi.
Uske pehle Begum Akhter ne bhi gayi.
Bahut bariya hai. Shukriya.
Wah Janab Ghalib Saheb ki bahut
Bariya Ghazal pesh ki. Poori Ghazal
se navaja, shukriya.