| |||||||
![]() | Register | Books | All Albums | Blogs | FAQ | Calendar | Search | Today's Posts | Mark Forums Read | Videos |
| Notices |
Register Now for FREE! |
| View Poll Results: Polling For The Month Of August | |||
| Participant A | | 1 | 6.25% |
| Participant B | | 8 | 50.00% |
| Participant C | | 7 | 43.75% |
| Voters: 16. You may not vote on this poll | |||
![]() |
| | LinkBack | Thread Tools | Display Modes |
|
#1
| |||||
| |||||
| Polling For The Month Of August 2008 :- Love Korner Assalam-o-Alaikum ... I Hope that EveryOne will be Fine Shine with the Grace Of Almighty Allah jii ... August kay Maheenay ka Moqabala Apnay Ikhtetaam ko Pahonchaa ... On Sab Members ka Jinhon Nay Iss main Hissa Liyeee, Bohat Bohat Shukriyaaa ... Aur Ab Aaap Sab say Omeed hai kay Apna vote Submit Karwain gain to the One, who You think Deserves that ... Is Maheenay ka Sawal Thaaa :- 'After so much of Politics, Destruction and Innocent people killed in Our country. Knowing the situation, WHY do we still cant stand a word Against our Country ? Is it Love? Do we love Our country so much ? If so, Why ? after all these things ? and if Not then Why not? after all its our Country.' Aur Isss Moqablay Main hissa Lainay waloon ki Taraf say Contribution:- Participant A:- wsalam waqt badul jata hai halat badul jate hain.log badul jate hain rishtey badul jate hain.nahi badulta tu Mulk nahi badulta.haan taraki zaror hoti hai leken sub kuch waisa he rehta hai..ap ne kha ke barbadi hue...barbadi Mulk ne tu nahi ki...barbad aj hum mulk ki waja se tu nahi hia...hum agar barbad hian tu apne Hukmaran ki waja se,,hamain hukmaran ache nahi miley.jo mulk ka sochian.hamare paass ab koi Quaid-e-Azam nahi hia...koi Laiqat ALi khan nahi hai.sub lotne wale hain.aik dosre ko neche dikhane wale..aik dosre ki kamar torne wale.agar koi aik bhi mulk ke bare mian soche tu log jo hamare mulk ke bare main baat karte hain..inka moh wo he hukmaran tor de..leken sach tu yehe hia ke hamarem hukmaran he hamare mulk se mukhlis nahi hia..jiase log mohb ko bura kehte hain ku kehte hain bhala ? mohb ka kiya qasor hota hai ..buriye nikalne hai tu mohb karne wale main nikalye janab ke mohb buri nahi hia mohb karne wale mohb ke jazbe ko bura bana dete hain..is tarah he hamara Mulk Pakistan bhot acha hai..ise acha or bura hum khud banate hian.sara ilzam Hukmaran pe bhi nahi hia is main qasor war hum bhi hain..hum kuan sa qanoon per chalte hian.hai kahe yaha koi qanoon ? agar hia tu kaun sunta hai ? koi nahi sunta janab koi nahi sunta.. bus or kuch nahi kehna itna he bhot hia. Thanks ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Participant B:- Wa Alikum Asalam WrWb Nice Topic waqai Sochne wali baat hai k hum in sab baaton k bawajood apne mulk se Muhabat ku kartay hain ? Mujay Wasif Ali Wasif ki baat yaad ah gai k " jis ka Mahboob watan mein na ho os shaks ko Watan se Muhabat Nahi hoti " is baat ko samjne mein shaiad Kuch logon ko Time lagay ,lakin ye sach hai . bqi Mulk ki jahan tak baat hai tu os ka koi Qasoor nahi hai k os se Nafrat ki jay jin logon ko hum apne he oper hakumat karne k lia Vote de kar latay hain jab wo hum sab se Washwaas Ghaat kertay hain tu hume on se narfat honi Chahiya na k apne mulk se , HUm jo pakistan se bahir hain yahan Behtareen Life ghuzaar rahy hain , mazay he mazay hein , behtareen khana peena , best Law , best police , lakin in baaton k baad b hum yahan 2nd darjay k citizen hain . jab k pakistan ja kar beshak bohat sari mushkilaat ka samna Airport se he start ho jata hai lakin ik ajeeb se azadi ik ajeeb se freshness ka ahsaas rehta hai ![]() jo log apne lia alag mulk ki jang laar rahy hain on se is ki qadar pochi ja sakti hai Allah ka lakh Lakh shokar hai k Allah ne hume pakistan dia hai werna India mein humara b wohi hashar hona tha jo philistine aur israel k darmiyan chal raha hai , so Corruption ki waja se apne mulk ko bura bhala kehna koi Aqal ka kaam nahi hai log achay aur buray ho saktay hain Mulk nahi , So Mulk se Wafa he humre Imaan ka hisa hai aur mulk k khilaaf yani Ghadaar ki saza Mout isi lia makarar ki gai hai anyways Umeed hai main apni baat samjanay mein kamyaab ho giya hon ga. ![]() ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Participant C:- Assalam o Alikum, Hum sub apnay watan say mohabat q kartay hain …….. ya parh k mujhay apni class 10th main parha huwa aik quote yad agaya If you can live without soul you live with out patriotism, it is essence of life like soul. .. by T.S. Eliot aur main kahta hon ‘ watan say mohaat kabhi marti nahi … bus is ko jaganay ki zaroorat hoti hay ’ Is mozoo par aik lumbi behas bhi ki ja sakti.. bahar hal Mr Meer ki baat say bhi itifaq karonga…….. Islam ki taleemat kahti hain k Arab aur Ajam apas main bhai bhai hain……… aap middle east jakar tu daikhan k Arabs ka salook kaisa hay hum Pakistani , Indian and Bangladeshi k sath.. main ya nahi kahta k Islam galat hay par reality kia hay k aaj Arab apnay aap ko Bartar samajtay hain Ajam say .. Kuch isi qism ki halat Europe main bhi hay , bhalay hum British national hon or green card holder .. hamari Rangat ( skin color) hamain kabhi bhi dusri Qomon main Zum honay nahi daigi aap kuch bhi kar loo rang aur nasal k tasub barqaraar rahay ga… us ki aik example 9/11 bhi hay jub ( Sikhs ) jo non muslims hain becharay apnay getup ki waja say Maar khatay rahay aur wo safai paish kartay rahay hum non muslim hain hamain q martay ho. Jub kabhi zindagi main aisa moqa ata hay tu aap pichay palat k daikhtay hain k hamari pahchan kia hay hum kon hain kaha say aai hain………. Ya tu aik Stage hay apnay watan say mohabt ki jo us waqt Jagti hoti hay jub aap k pas koi aur rasta nahi hota. Apni new generation k liay aik message hay aur shayad yahi message is puray topic ka nichor bhi K Nafraat kis say ki jai kisay nahi…………. Nafraat watan say nahi ki jati ……………..bal k watan ko galat andaz aur galat simt main layjanay walao say ki jati hay ……… Goethe nay kia khoob kaaha hay “ Patriotism ruins history.” Par hamaray yaha watan say mohabat paida kaha say ho khas kar new generation main ……. Q k hamain tu History ya batati hay k Liaqat Ali Khan say lay kar abhi tak job hi mohibay watan milay tu usay rastay say hata du kis nay Liaqat Ali Khan ko marwaya wo reports samnay nahi laai gain , kin leaders ki galati say Pakistan break huwa koi puchnay wala nahi , Air Chief Marshal Mashaf Ali Meer nay watan say mohabat dikhai tu Allah miyan ko piyaray ho gai. Asal main………. Mohabaat harmay under hay wo kabhi marti nahi par in halaat main w o kabhi jag bhi nahi sakti shayad isi liay unlogo ko jo apnay watan say door chalay jatay Jaldi apnay watan ki qadar hojati hay. “ We died for Pakistan and InshaAllah we will die for Pakistan ” ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ Wish All Of You BesT Of Luck ... Aur Omeed Hai kay Aaap Sab Voting Main Hissa Lain gain ... Thanksss .......!!!
__________________ *~!!~* Ek Pall Main Wahan SaY Hum UtheY *~!!~* *~!!~* Baithney Main Jahan ZamaneY LagaY *~!!~* |
| The Following 7 Users Say Thank You to Miss Choudary For This Useful Post: | ||
Barbie Doll Jiya (08-22-2008), Bheegi Shaam (08-22-2008), Bheegi-Palkain (08-22-2008), DiL_SaY (08-24-2008), NoToRi0uS (08-22-2008), Shab-e-Firaaq (08-27-2008), ~Phoenix Scream~ (08-26-2008) | ||
| Sponsored Links |
| To Remove this Advertisement REGISTER with our FORUM. - |
|
#2
| |||||
| |||||
| Re: Polling For The Month Of August 2008 :- Love Korner voted..........!
__________________ |
|
#3
| |||||
| |||||
| Re: Polling For The Month Of August 2008 :- Love Korner Assalam-o-Alikum WR WB Voted ![]() FeamnAllah
__________________ Suna hai tumhari ik nigah say qatal hotay hain log FARAZ ik nazar hum ko bhi daikh lo k zindagee achi nahin lagti |
|
#5
| |||||
| |||||
| Re: Polling For The Month Of August 2008 :- Love Korner Voted........................
__________________ Zindagi Ke Haathon Lutey Hum Kuch Is Tarhan..... ![]() --------- Ek Dil Ka Dard Tha Jo Raha Zindagi Ke Saath Ek Dil Ka Sakoon Tha Jo Sada Hum Dhoondhte Rahay... ![]() |
|
#7
| |||||
| |||||
| Re: Polling For The Month Of August 2008 :- Love Korner voted,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
__________________ ![]() |
|
#8
| |||||
| |||||
| Re: Polling For The Month Of August 2008 :- Love Korner voted.......................
__________________ ![]() ek baat kahoun agar sunti ho tum mujh sey tum mujh ko achi lagti hoo kuch chanchal sii kuch cgup chup sii kuch pagal pagal lagti hoo MISS U MUSKAAN JEE ![]() |
|
#9
| |||||
| |||||
| Re: Polling For The Month Of August 2008 :- Love Korner Voted..........................
__________________ Ya Rabb-E-Kareem Apne Kareemana Karam Se, Phir Is Qoum Ko Sadaqat E Siddiq o Umar Dey Apnon Ke Liye Dil-E-Usman Ata kar, Ghairon Se Nipatna Ho To Haidar Sa Jigar Dey. Aameen ![]() |
|
#11
| |||||
| |||||
| Re: Polling For The Month Of August 2008 :- Love Korner voted !!!!!
__________________ ![]() ![]() ....... Kahi'n duur |
|
#14
| |||||
|