8
aah!!!!! keh wabasta hian us husn ki yadaian tujh sy
jis ny is dil ko pari khana bana rakha thaa
jis ki ulfat main ,bhula rakhi thee dunya hum ny
deher ko deher ka afsana bana rakha thaa
aashna hian tery qadmoon sy woh rahain jin par
us ki madhoosh jawani ny enayat ki hy
kaarwaan guzry hian jin sy usi raa'naai k
jis ki in aankhoon ny bysood ebadat ki hay
tujh py bhe barsaa hy us baam sy mehtaab ka noor
jis main beeti hui raatoo'n ki kasak baaqi hy
tu nay dykhi hy !!woh paishaani , woh rukhsaar , woh hont??
zindagi jin k tasawur main luta di hum ny
tujh pay uthhi hian wo khooi hui sahir aankhen
tujh ko maaloom hy ??q umer ganwaadi hum nay
hum pay mushtarka hian ehsaan , hamain ulfat k
kitny ehsaan ,k ginwaao'n to ginwaa na sakoo'n
hum nay is eishq main kiya khoya hy kiya seekha hy
jo kisi or ko samjhaaon to samjhaa na sakoon
faiz ahmed faiz
anz3611 (11-27-2011), diya Imaan (11-27-2011), ♪LoNeLy GuY♪ (11-27-2011), PaArIsh3Y (11-28-2011), R oC k iN (11-27-2011), Savi Abbas (11-27-2011), Tifl e Maktab (11-27-2011), ~ shab ~ (11-27-2011)