| |||||||
| | Register | All Albums | Blogs | FAQ | Calendar | Search | Today's Posts | Mark Forums Read | Videos |
| Notices |
|
#1
| |||||
| |||||
![]() ![]() pat jharr ko jo bahaar ka mosam na keh sake wo log tere sheher main pagal ginay gaye aye mere dost phir koi qurbat ka band baandh khud mehviyat ki ro to bahaa lay chali mujhay shab ko to chaand or sitaaray thay saath saath tthehra magar na koi bhi sooraj k saamnay bijli dara rahi hay mujhe cheekh cheekh k baadal bhi baar baar lagaatay hain qehqahe bettha hoon phir bhi dayr se is intizaar main chaand aaye ga ghattaaon ki deewaar phaand k ujrre gharon main ghoomte saayo!!zara suno wo qehqahe ,wo chaandni se shokh qehqahe wo fasl e gul ki subha se khushbu urratay saans wo sardiyon ki dhoop se chehre kahan gaye MEHMOOD SHAM jhang ka phera bhi ho kabhi lahore ki hawa hi buhat bhaagaii tujhe ----------------------------------- jab se wo rangaton ka haywla juda hua gohna gaya hay piyaar ka mayla bhara hua haaye wo naram naram hawa jhoomtay darakht jistarha chal raha ho koi oonghta hua bujhte charaagh,haanpti shab,adh khulay kiwaarr aise main kon hay ye sar e rah kharra hua ab wo gudaaz chhaaon hay,na aahatton ki goonj mere nagar k raasto! ye tum ko kiya hua seenon k dasht main hain umangon k qaaflay aankhon main khuaahishaat ka darya ruka hua tera khayal,reengtay lamhay,udaas SHAM saayon ka raqs,dil ka dareecha khula hua -------------------------------- kitne dar waa hain, kahin aankh milaayn to sahi is naye sheher se kuch rabt barrhaayn to sahi kisi khushbu k ta'aaqub main chalain gaam do gaam dheyaan main chaandni ka sheher basaayn to sahi kuch to kehti hay sar e shaam samandar ki hawa kabhi saahil ki khunk rayt pe jaayn to sahi kiya khabar ott main hoon is ki manaazir kia kia apne pindaar ki deewaar giraayn to sahi dil k oraaq pe ab taaza hikaayaat likhen naye lamhon main naya khoon rachaayn to sahi apne bikhre huay zarron ko sametten phir se bazm phir raqs e tamanna ki sajaayn to sahi SHAM ye roshni,ye rang k phaylay huay jaal! ik zara in k tilsimaat main aayn to sahi (karachi aanay k baad pehli ghazal "1967") ----------------------------------------- muddaton ba'd wo galyaan wo jharokay dekhe jism ki raakh se utthtay huay sholay dekhe dil main dar aayin gaii saa'aten khushbu ban kar sadiyon ki neend se phir jaagtay lamhay dekhe rang barsaati wohi subha,wohi bheegti shaam wohi ehsaas main ddoobay huay saaye dekhe aik ik morr milay bichrray khayaalon k hujoom soonay darwaazon main phir chaand se chehre dekhe aik ik aankh pe lamhon ka fusoon taari hay kon is waqt ki deewaar se aagay dekhe teh main bastay hain chamaktay huay rangon k nagar koi is ghoor andhere main utar k dekhe SHAM jab torr liya us se tha jo bhi rishta apne izhaar k phir kitne hi rastay dekhe ------------------------------- kisko hoga tere aanay ka pata,mere ba'd kon sun paayega lamhon ki sada,mere ba'd jis se yaadon k shabistaan mehak utthtay thay usi khushbu ko tarasti hay saba,mere ba'd main to ik raqs tha kuch rang bharay zarron ka raaz ye ehl e zamana pe khula,mere ba'd baam o dar cheekhte hain reengti tanhaaii main sheher main khaak urraati hay hawa,mere ba'd haal e dil kis se kahe,kis se lipatt kar roay sheher dar sheher bhattakti hay ghatta,mere ba'd koi sunta nahi weeraan parray hain kamray sar pattakhti hay kiwaarron se hawa,mere ba'd SHAM k sang se hi chaandni e shab phoottay gi dar badar phaylti jaaygi ziya ,mere ba'd ----------------------------- gang jazbaat ko behta hua daryaa na kiya "meri aankhon ne tere raaz ko ruswaa na kiya" kon khushbu thi k jis k liay dar dar na phiray hum ne is sheher main kis saaye ka peecha na kiya uski aankhon main bhi raqsaan tha wohi dard ka rang hum to phir chup hi rahe koi bhi shikwa na kiya ddhoondd wo raaz kisi reengti khaamoshi main jis ko alfaaz k hangaamon ne afshaa na kiya sheher main aaye to tanhaaii ka ehsaas barrhaa dasht main thay to teri yaad ne tanha na kiya dastaken dete rahe SHAM damaktay mosam hum ne kiya jaaniye darwaza e dil waa na kiya ----------------------------------- shehron ka shor kar gaya hay be khabar mujhe main kon hoon? bata to sahi mere ghar mujhe in rangaton ki ott se baahar nikal k mil khaali chamak damak se hi mat raam kar mujhe main or hogaya hoon k dunyaa badal gaii hayrat se tak rahe hain sabhi baam o dar mujhe khenchay phiray hain sheher ki sarrken tamaam din ddasti hay chaarpaaii meri,raat bhar mujhe main door hogaya hoon,buhat apne aap se ab or tez roshni! ghaayal na kar mujhe taa door goonjti theen hawaaon ki siskiyaan ddasne ko aarahi thi har ik rahguzar mujhe din k lahu main gharq tha aakaash ka badan bhooli nahi hay SHAM wo shaam e safar mujhe --------------------------------------- dinner pe aaj koi us sa aashna bhi na tha wo is se pehlay agarchay kahin mila bhi na tha mujhe na jaanay wo seenay se kiun lagaaye phiray main koi gul bhi na tha moj e hawa bhi na tha usi ne aaj bataya mujhe k kon hoon main wo jis ko aaj se pehlay main jaanta bhi na tha kahan hoon kiun hoon har ik saans poochti hay mujhe kabhi main apne sawaalon main yoon ghiraa bhi na tha kisi ki mayz pe hi reh gaii,najaanay kiun? wo diary k abhi jis pe kuch likha bhi na tha tamaam sheher sadaaon k ik bhanwar main hay mera makaan kabhi aise ddoltaa bhi na tha wo jis ki dhun main hum itwaar ko bhi ghar na rahe mila to apni taraf "Sham" dekhta bhi na tha -------- bas aik apne hi qadmon ki chaap sunta hoon main kon hoon k bharay sheher main bhi tanha hoon jahaan main jism tha, too ne wahan to sath diya wahaan bhi aa k jahaan main tamaam saaya hoon wo aik morr bhi is rah pe aay ga k jahan milaa k haath too bolay ga"main to chalta hoon" teri judaaii ka gham hay, na tere milnay ka main apni aag main din raat jalta rehta hoon gaye wo roz k too baa'is e qaraar thi jab teri jhalak se bhi ab to udaas hota hoon mere baghair hay mumkin kahaan teri takmeel mujhe pukaar! k main hi tera kinaara hoon kabhi to ddoob sahi SHAM k samandar main k main sada hi jawaahir nikaal laaya hoon -------------------------------- waqt k kitne hi dhaaron se guzarnaa hay abhi zindagi hay to kaii rang se marna hay abhi katt gaya din ka dehektaa hua sehraa bhi,to kia raat k gehre samandar main utarnaa hay abhi zehen k reze to phaylay hain fiza main har soo jism ko ttoott k har gaam bikharna hay abhi aik ik rang urraa lay gaii be meher hawa kitne khaakay hain jinhen SHAM G bharna hay abhi --------------------------------------- dil main jab teri lagan raqs kiya karti thi meri har saans main khushbu si basaa karti thi ab to mehfil se bhi hota nahi kuch gham ka ilaaj pehlay tanhaaii bhi dukkh baantt liya karti thi ab jo raqsaan hay kaii rang bharay chehron main yahi mitti kabhi be kaar urra karti thi rang k jaal hi miltay hain jidhar jaata hoon roshni yoon na mujhe tang kiya karti thi ab mujhe chaandni kuch bhi to nahi kehti hay kabhi ye tere sandese bhi diya karti thi kis qadar piyaar se ye payrr bulaatay thay mujhe kis tarha chhaaon tera zikar kiya karti thi ye dar o baam kabhi SHAM liapatt'tay thay mujhe har gali barrh k qadam choom liya karti thi -------------------------------------------- mosam wo rang bo gaye hain futt paath baagh hogaye hain aaye hain aandhiyaan jo ban kar misl e hawa hi reh gaye hain aye dil! bikkhayr kuch andhera hum roshni main kho aye hain aankhen....pukaarte samandar aksar mujhe dubogaye hain aawaaz do k "Sham sahab kin paaniyon main kho gaye hain" itwaar bhi hay ik qayaamat lamhay ...k saal hogaye hain MEHMOOD SHAM ab chalo ghar rastay bhi saare sogaye hain ---------------------------- mosam ne dareechon main ajab rang bhara hay har aik makaan chaandni ka sheher banaa hay khuaahish k nagar main bhi kabhi rangaten bikhra tere liay muddat se ye darwaza khula hay kis k liay ho? kon ho? kiya shay ho? kahaan ho? sadyon se mera saaya mujhe pooch raha hay har shakhs hay ab apne hi ehsaas se aari har lafz bhi ab apne maani se juda hay sehme huay baazaar hain,utray huay chehre is khushbuon k sheher ko kiya honay laga hay milnay ko hain be taab kinaaron pe ghanay payrr darya magar apne hi tamaashay main ghiraa hay chuntaa hoon kaii roz se main kirchiyaan apni be tarha mujhe SHAM koi torr gaya hay --------------------------------- urrti hay dil k farsh pe beetay dinon ki raakh main hoon tera khayaal hay or sigritton ki raakh badlaa jo saal hum ko bhi sab ne bhulaa diya hum thay k guzre saal k kelenddaron ki raakh galyaan bhi soch main hain,dareechay bhi mehev hain wo kon tha bikkhayr gaya jo dilon ki raakh sab rangaten bujhaagaii hay waqt ki hawa dil main chhupaaye phirte hain ab khuaahishon ki raakh wo lamha kon sa tha k jis ko na roay hum ab tak palak palak hay saji aansuon ki raakh phir wo gali hay,SHAM hay,tanhaaiyon ka raqs phayli hay aas paas kaii aahatton ki raakh ----------------------------------- milta nahi nazron ko hewlon k siwaa kuch yoon ttoott k bikkhra hoon k baaqi na raha kuch be maani to hoti nahi galyon ki khamoshi kehte hain dar o baam k pal bhar main hua kuch dhul jaay gi ab sheher k maathay ki siyaahi phirti hay liay rang naii rut ki hawa kuch tthtthri hui subhen,to kabhi jalti dopehren ik bas ko jo dekha hay to yaad aaya hay kia kuch khuaahish thi barri der se main tujh ko bhulaadon ye kaam bhi dekha hay k dushwaar na tha kuch ---------------------------------- ********************************** nazar kisi ki nazar se nahi ulajhti thi wo din bhi thay k yoonhi zindagi guzarti thi sitaaray apne liay khuaahishon ki manzil thay haseen raat humen chaandni pilaati thi rahe thay apni hawaon main aik umar magar bikkhar parre to har ik gaam apni hasti thi yahi buhat tha k kuch log aakay kehte thay wo mera zikar buhat mukhlisaana karti thi nazar main piyaar bhi tha or takallufaat bhi thay kaha karengay kabhi hum, ajeeb larrki thi khamosh rehti thin gehre samandaron ki tarha wo aankhen jin se nari shaaiiri bikkharti thi usay milay to phir is baat ka suraagh mila humen ye zindagi kiun itni piyaari lagti thi na jaanay kitne hi safhon pe dil bikkhera magar na keh sake to wo ik baat hi jo kehni thi mehek to us k har ik payrhan main thi laikin wo ghar k saada se kaprron main khoob lagti thi --------------------------------- ******************************************** roz o shab ki shaakh se bicchrra hua patta hoon main waqt bhi ab ddhoonddta hay jisko wo lamha hoon main dil k sheeshay ttoott jaatay hain meri aawaaz se ik shikasta saaz se ubhraa hua naghma hoon main hum nasheenon ko kabhi aati nahi hay aanch tak kitni tthanddi aag hay,jis main sada jalta hoon main zindagi k shor main simttay rahe zarray mere ik zara tanha hua to kis tarha bikkhra hoon main rangaton ka sayl tha ya khushbuon ki leher thi ab talak us husn main,us jheel main ddooba hoon main in chamakti shaahraahon par kisay apna kahoon sheher main aabaad apnon se magar tanha hoon main SHAM yoon to ab khalaaon main hain apni manzilen or dekhoon to isi dharti se be rishta hoon main -------------------------------------- *************************************** kab mila, kon mila, or kahaan bhool gaye dil ki weeraaniyaan, aankhon ka dhuaan bhool gaye us ka har naqsh mittaa ddala hay loh e dil se guftugu,lehja, zubaan, tarz e bayaan bhool gaye ab kahaan yaad k wo baad e saba thi k naseem fart e masti se lipattne ka samaan bhool gaye sheher waalon ko sunaati thi sar e shaam hawa dard k geet, udaasi ki zubaan bhool gaye itne zoron pe thay kuch waqt k rangon k bhanwar teri soorat, teri yaadon k nishaan bhool gaye is qadar zabt k alfaaz huay be maani itni khamoshi k andaaz fughaan bhool gaye wo ujaala hay, dikhaaii nahin deta kuch bhi wo tamaasha hay k weeraana e jaan bhool gaye wo sadaa ab bhi ulatt deti hay is dil ka sukoon laakh hum lehja,zubaan,tarz e bayaan bhool gaye ------------------------------------------- ************************************************ tum phool thay,khushbu thay k ik moj e hawa thay is dil main basay rehte ho,kiya jaaniye kia thay logon k juloo main thay magar aankh se ojhal hum sheher main phayli hui be rang hawa thay ------------------------------------------ laakh ab yaad ki, ehsaas ki pinhaaii milay in khalaaon main kahaan jism si ra'naaii milay itne arzaan to kabhi hum na huay thay ab tak jis taraf jaayn,wahin apni shanaasaaii milay bas gaye hain wo khad o khaal nazar main aise ab to har shakal main uski shakal ki parchhaaii milay mehfilen itni barrhin,bhool gaye apna wujood ab to kehte hain gharri bhar hi ko tanhaaii milay in k hontton se bhi meri hi kahaani ubhray in darakhton ko agar quwwat e goyaaii milay kitne khaali huay daamaan e nazar,jayb e khayal ab to ddhoondde se bhi yaadon ki na parchaaii milay koi bhi ho na saka mere bikharne main shareek SHAM is sheher main sab log tamaashaaii milay --------------------------------------- ************************************* pehlay se ab wo rang ,wo melay kidhar gaye hoti thi jin se dhoom wo jazbe hi mar gaye aankhon ka noor, dil ka ujaala bhi lay urray hum ko to apne dost hi sunsaan kar gaye haaye wo chhaaon ddaaltay chhatnaar kia huay haay wo paaon choomtay daryaa utar gaye ik lamha teri yaad se ghaafil huay thay hum ik lamhay main hi kitne zamaanay guzar gaye koi na shab ki tergi main saath de saka kuch de gaye farayb to kuch yoonhi dar gaye hum reh gaye hain SHAM jo tanha to gham nahi kab ehl e dil k saath bhala kam nazar gaye ----------------------------------------- ************************************ aise chup chup bhi kiya kiya jaay ab kahin ishq hi kiya jaay dil k sheeshay pe ghubaar buhat aaj kuch der ro liya jaay ajnabi sheher,be namak chehre kise hum raaz e dil kiya jaay dil hay weeraan, sheher bhi khaamosh fon hi usko kar liya jaay aik deewaar e jism baaqi hay ab usay bhi giraa diya jaay ho gaya taar taar har manzar SHAM chaak e nazar siyaa jaay -------------------------- ghir gaya hoon be tarha main khuaahishon k darmiyaan jism k reze urraati aandhiyon k darmiyaan kitne chehre,kitni shaklen, phir bhi tanhaaii wohi kon lay aaya mujhe in aaiinon k darmiyaan hum kahan yaaro,kahan wo moj e baad e naseem waqt ki pinhaaiyaan haail dilon k darmiyaan dil pe guzri jo,wo guzri, sheher kiun weeraan huay aik dehshat si hay phayli raaston k darmiyaan mudda'a pinhaan pas e alfaaz hay,jo parrh sako kuch nahi paaogay tum in surkhiyon k darmiyaan jaise khushbu sheher main,sehraa main jaise chaandni yoon bikkhar jaata hoon main tanhaaiyon k darmiyaan jiski khaatir shayr likhte ho,kabhi parrhti bhi hay kab talak ulajhtay rahogay qaafiyon k darmiyaan SHAM G bikkhre kabhi is dil k aangan main mehak zindagi guzre gi kab tak aahatton k darmiyaan ------------------------------------------- ************************************ har ik gharri bikkhar raha hoon main waqt hoon,guzar raha hoon logon k dil main jaanay kab se ban ban k gham utar raha hoon chehron pe hay meri kahaani har aankh main bikkhar raha hoon lay aaii zindagi kahaan par apni sadaa se dar raha hoon shehron main aadmi buhat hay insaan talaash kar raha hoon haalaat phir bigarr gaye hain or main k phir sanwar raha hoon anjaam ki mujhe khabar kia toofaan hoon, bapphar rahan hoon gharqaab hogaye maani alfaaz ka bhanwar, raha hoon sehme huay hain saare raste dar dar k paaon dhar raha hoon laakhon hi rangaton main ik main be rang hoon, ubhar raha hoon dunya buhat badal gaii hay main bhi to main kidhar raha hoon khaamosh hogaya zamana khud se kalaam kar raha hoon yoon jee raha hoon SHAM jaise koi gunaah kar raha hoon --------------------------- ******************************************NEW** dil ki gehraaii main go uska hi chehra hoga usko wo shakhs kahan yaad bhi aata hoga ab teri yaad ki jhukti hui shaakhon pe kabhi phool koi na mere naam se khilta hoga apne hangaamon se mohlat kabhi mil jaaye to dekh dhyaan ki raakh main ik naam sulagta hoga tere ehsaas ki phoolon bhari pagddanddi par aik ttootta hua pat'ta bhi sisakta hoga apne rangon k tamaashay se na fursat hogi doosra rang nazar main kahan jachta hoga pheltay jaatay hain zarray mere aankhon aankhon is tarha kon tere dard main bikkhra hoga kitni sadyaan simatt aaii hain is "SHAM" main dekh waqt ko too ne yoon paa basta na dekha hoga ---------------------------------- *************************************** bikkhri hay apni zaat hi nazron k saamne ik aaiina dharaa hay khayaalon k saamne waarafta thay hawaas,badan tha warq warq main ik khuli kitaab tha logon k saamne ik rishta e nazar tha so wo bhi katta katta chehron ki dhund thi aankhon k saamne har zara apni zaat ka paa lay zara sha'oor sooraj bhi phir rukay ga na zaron k saamne usko gaye huay to zamanay guzargaye phelay hain ab bhi rang nigaahon k saamne phir mohlat e nigaah zara,paikar e jamaal! phir raqs main hain khuahishen jazbon k saamne kiun hoon,kahan hoon,kon hoon or kis liay hoon "SHAM" mud'dat se main hoon apne sawaalon k saamne -------------------------------- ************************************ beetay dinon k dasht se aati sada hoon main ujrray gharon main ghoomti pagal hawa hoon main hoon to tere jism ka saya hi kia hua bas zindagi ki sham talak hi juda hoon main kia jaanay kab bigaarr de ye sar phiri hawa beeti hui bahaar ka ik naqsh e paa hoon main yoon to mere bhi rang hain kuch an ginat magar har ik ko aik rang nazar aaraha hoon main jaanay wo aik lamha bhi kia kia badal gaya kiun baar baar apni taraf dekhta hoon main ik din teri talaash ki manzil bhi aay gi ab tak to apne aapko hi ddhoonddta hoon main lipttay hon jaise "SHAM" ki chaadar main baam o dar kuch yoon tere khayal main ddooba hua hoon main ---------------------------------------- ************************************* palken ujaarr,dil hay bujha, rooh sogaii roay huay bhi yaaro,buhat der hogaii ik wo sada thi apne to jeenay ka hosla is zindagi k shor main ab wo bhi kho gaii aaii to jaise hone laga matla' e ghazal betthi to jaise nazm ki takmeel hogaii kehte thay ab na aayngay nazron k jaal main moj e naseem zehan se har azam dho gaii khoay hain us k sehar main hi ehl e kaarwaan uski nazar jo waqt e safar rang bo gaii uff ye dilon main phelay khalaaon ki wus'aten kaise kahen khalaaon ki taskheer hogaii main hoon shikaar e fitna e ehsaas e rang e "SHAM" kis tarha aik jism ki taqseem hogaii ----------------------------------- "WOHI ALFAAZ" kabhi tumne ye socha hay kabhi tumne ye dekha hay k lafzon main k lafzon se tasaadum kaise hota hay tabaahi kaise aati hay wohi alfaaz jo do piyaar karne waalon main ta'aluq jorrtay hain dilon main rabt rakhtay hain or aisa rabt, ik doojay ki khaatir jaan bhi de den wohi alfaaz kaise sholay ban kar dehshaton ka raqs karte hain wohi alfaaz kaise zeher ban k aik ik rag main utartay hain bharay shehron ko sannaatta nigal leta hay behnen bayn karti hain pahaarron se jawaan bhai unhi lafzon ki talwaaron se gardan kaatt lete hain to maayn aasmaan sar pe utthaati hain yahi alfaaz maaon k labon se jab duaa ban k ubharte hain farishte kaanp jaatay hain yahi alfaaz phir ALLAH ki rehmat main ddhalte hain hamaaray din badalte hain to phir ye sochna hoga to phir ye dekhna hoga k ye alfaaz khud qaatil nahi hotay k ye alfaaz khud andhay nahi hotay ye alfaaz khud zaalim nahi hotay magar hum bolnay waalay hi rasta bhool jaatay hain magar hum bolnay waalay hi aankhen phorr lete hain baseerat se diyaanat se sadaaqat se muhabbat se ta'alluq torr lete hain ----------------------------------- (`“•.¸(`“•.¸ MEHMOOD SHAM¸.•“´) ¸.•“´) YAHOO GROUP:- [Only registered and activated users can see links. ] community on ORKUT:- [Only registered and activated users can see links. ] "ANKHEN JAISI LAGTI HAIN WESI HOTI NAHI HAIN" dekhne main jo aankhen meli lagti hain tez ujaalay un k andar hotay hain un k man main kaii samandar hotay hain roshniyon k darya jin main girte hain jaanay kab din phirte hain dekhne main jo aankhen bheegi bheegi hain un ki teh main kitne toofaan hotay hain un k peechay kaii bayaabaan hotay hain jin main din bhar rayt k baadal urrte hain ttoottay dil kab jurrtay hain dekhne main jo aankhen sehmi sehmi hain un k andar khuaab umaddtay rehte hain tez sunehray gehre darya behtay hain jin k kinaaron par khuaahish dukh janti hay yoon kab qismat banti hay dekho, aisi hoti nahi hain aankhen jaisi lagti hain ---------------------------- HIS YAHOO GROUP:- [Only registered and activated users can see links. ] his community on ORKUT:- [Only registered and activated users can see links. ] hum ab sab muntazir hain poori shidat se magar kis k...? khabar kis ko...? magar sab muntazir hain samandar! hum tumhaare muntazir hain humaare zarf gehraaii se aari hochuke hain tumhen zehmat to hogi,aa k samjhaao k gehraaii main paani kaise behta hay? sukoon chehre pe daaim kaise rehta hay wo jab aati hain pooray chaand ki raaten to kaise josh aata hay? kinaaron se zamaanay se baghaawat kaise hoti hay? sitaaro! hum tumhaare muntazir hain kisi din tum drawing room main utro k sarrkon pe to ab hum aa nahi sakte bataao, ab humara kia muqadar hay humaare rahnuma kiun rahbari k fan se a'aari hain tumhen zehmat to hogi unko samjhaao andhere main kisi ko raasta kaise dikhaatay hain? shabon main phelti aaloodgi se kis tarha daaman bachaatay hain? parindo! hum tumhaare muntazir hain k hum to taaqat e parwaaz ab rakhte nahi hain hum ik doosre k par to khud hi kaatt dete hain tumhen zehmat to hogi,aa k samjhaao paron ko qenchiyon se kis tarha mehfooz rakhte hain shikaari ki nigaahen kis tarha se bhaanp lete hain jahan ho daam humrang zameen to kistarha urrna hay aazaadi bachaani hay kisi barsaat se pehlay kisi toofaan se pehlay pohanch jaatay hain kaise aashiyaanon ghonslon main or unhen mosam ki shidat se bachaatay kis tarha hain kis tarha mazboot rakhte hain samandar kab kisi k ghar main aata hay sitaare kab drawing room main utray parindon ne ahan school kholay hain magar hum to kisi k muntazir hain na jaanay kon aay ga? na jaanay kab wo aay ga. ye aik or attractive poetry by MEHMOOD SHAM SAHAB ![]() buhat barri hay issi liay ye link hay is par aap read karsakte hain ummeed hay pasand aaygi ![]() [Only registered and activated users can see links. ] thanx HIS YAHOO GROUP:- [Only registered and activated users can see links. ] his community on ORKUT:- [Only registered and activated users can see links. ] -------------------------- yaad mujhe dilaa gaii ,meri wo bewafaaiyan aankh main uski naqsh theen, kitni katthin judaaiyan chehre pe kia azaab thay,aankh main kitne khuaab thay hontt khuli kitaab thay,kehte thay sab kahaaniyan palkon pe guzri sa'aten,lab par gilay,shikaayaten aansoun main hikaayaten, dharrkanen,saansen, siskiyaan lafz thay kuch kattay kattay,saans bhi thay battay battay baal thay gard main attay,chehre pe thin hawaaiyan "SHAM" hawa ki siskiyaan, din k lahoo ki surkhiyaan dard bhari ye daastaan,pheli hain sab karan karaan ------------------------------------------ abhi dikhaaye gi manzar ye zindagi kiya kiya bakherti hay andhere ye roshni kiya kiya hawa ki tarha too har ik ki dastaras main hay tere fasaanay sunaatay hain log bhi kiya kiya baraaye ehl e tamasha,wasaal teesha o sang baraaye ehl e tamanna hay tishnagi kiya kiya wo aik pal ki mulaaqat,umar bhar ki khalish basaa gaya hay nazar main wo ajnabi kiya kiya fareb e aks,tamanna k rang,dheyan ki peeng khilonay chorr gaya hay wo aadmi kiya kiya chamak utthay hain sitaaray humaari palkon par sajaa gaii hay mundderon pe chaandni kiya kiya zameer jabr e musalsil to zaat e habs e dawaam sazaayen deti hay dekho khud aagahi kiya kiya wo nain naqsh to ghazlon main kab k ddhal bhi chukay likhogay or bhala un pe "SHAM" g kiya kiya ----------------------------------- mere liay teri nazron ki roshni hay buhat k dekhloon tujhe pal bhar,mujhe yahi hay buhat ye or baat k chaahat k zakhm gehre hain tujhe bhulaanay ki koshish to warna ki hay buhat kuch is khata ki saza bhi to kam nahi milti ghareeb e sheher ko ik jurm e aagahi hay buhat kahaan se laaon wo chehra, wo guftugu,wo adaa hazaar husn hay galyon main,aadmi hay buhat kabhi to muhlat e nazaara, nik'hat guzraan labon pe aag sulagti hay, tishnagi hay buhat kisi ne huns k jo dekha to hogaye us k k is zamaanay main itni si baat bhi hay buhat _-------------------------------------- da'waa humen to jurat e izhaar ka bhi hay apni gharz na ho to koi bolta bhi hay jalta hay zehen kashf e haqaaiq se raat din is aagahi se or barri kuch saza bhi hay shehron man zindagi ka buhat shor hay magar mafhoom jismen ho koi aisi sadaa bhi hay lamhon main hain aseer ,giraftaar e rang hain yaaro!! hisaar e waqt kabhi torrna bhi hay taareek raaston pe hain chup chaap muntazir aise kisi pe roshni ka dar khula bhi hay hum ttoott'tay hain "SHAM", simatt'te nahi kabhi is intishaar e zaat ki kuch intihaa bhi hay --------------------------------------- ********************************************* kuch nazar aata nahi hay, wo ujaala kar diya sab hi apna aap bhoolay, wo tamaasha kardiya kaan bhi parrti nahi hay ab to aawaz e zameer khokhlay zehnon ne itna shor barpaa kardiya haath khaali hain humaare or kuch rab e jaleel too ne jo kuch bhi likha tha hum ne poora kardiya maslay jaise chattaanen,rahnuma jaise hawa waqt ne kitne falak boson ko bona kardiya chunta phirta hoon main apne aapko hi raat din zindagi ne yoon bikhera,reza reza kardiya -------------------------- phelta jaata hay ik lamha jo ddhalta hi nahi waqt yoon hum pe ruka hay k badalta hi nahi marhalay kitne karray, kitne katthin tay bhi huay phir bhi ik khof,ajab khof k ttalta hi nahi aik ye aankh,jo har rang main kho jaati hay aik ye dil jo kisi tor behelta hi nahi log aahatt pe hi aajatay thay galyon main kabhi ab to cheekhen bhi,koi ghar se nikalta hi nahi ----------------------------- MERI DHARTI, MERE AABAA KI ZAMEEN [Raajpoora(baharat)main 25baras baad apna ghar dekh kar] wahi deewaar o dar o baam wahi payrr magar apne bichhrray huay chehron ko kahan se laaon unki mitti hay,na khushbu hay,na saaya hay kahin apne ttoottay huay rishton ko kahan se laaon tere bettay, wo mere bhai hain aey sheher kahaan apni baahon,teri aankhon ko kahaan se laaon chilmano!yaad to hogi tumhen unki iffat apni behnon ki duaaon ko kahan se laaon ajnabi ban k main apna hi makaan takta hoon aah! beetay huay lamhon ko kahan se laaon meri dharti,meri basti,mere aabaa ki zameen mera bachpan,meri yaaden,mujhe waapis karde tujh se ab torrne aaya hoon main saare rishte apni betti k taqadus ki hifaazat na kare waqtparr jaay to bettiyon ka lahoo p jaay aisi dharti se koi kaise ta'alluq rakhay mera bachpan,meri yaaden,mujhe waapis karde tujh se ab torrne aaya hoon main saare rishte --------------------------------------------- "AIK DUAA,DONO SADIYAAN MILTAY WAQT" Yaarab! hamaray zarf se barrh kar na piyaas de likha hay jo naseeb main,itni hi aas de marjaayn hum na zaat se maghloob hon kabhi apni zameen se ehd ka kuch aisa paas de har hum watan k zehn se mitt jaayn nafraten lehje main rahnumaaon k ab wo mitthaas de jo zulm seh saken na kabhi jhoott sun saken aise zameer bakhsh de,aise hawaas de phelen hamaray haath na gheron k saamne Uryaan hawis ne kardiya ,koi libaas de teri ata se quwat e johar to mil gaii ab hum ko hukmraan bhi johar shanaas de(AAMEEN) "June(2000)" --------------------------------- "AYE ZINDAGI" aye zindagi ! aye zindagi piyaare tere gham bhi hamen or phir khushi, tu hay khushi aye zindagi ! aye zindagi manzar tere jalway tere khushbu teri naghme tere har aainay main hay yahan tasweer tere husn ki aye zindagi ! aye zindagi shola bhi hay shabnam bhi hay hay zakhm tu marham bhi hay andaaz e mehboobi hain sab kia dushmani kia dosti aye zindagi ! aye zindagi tera hi hay jo paas hay jo bhi mila hay raas hay taalon ne bakhshi hay nawa ashkon ne senchi hay hunsi aye zindagi ! aye zindagi ye jo teri ik dhoop hay iska bhi apna roop hay ye jo andheray hain tere inmain bhi hay ik roshni aye zindagi ! aye zindagi ----------------------------------------
__________________ ![]() ![]() roz o shab ki shaakh se bicchrra hua patta hoon main waqt bhi ab ddhoonddta hay jisko wo lamha hoon main dil k sheeshay ttoott jaatay hain meri aawaaz se ik shikasta saaz se ubhraa hua naghma hoon main |
| Sponsored Links |
| To Remove this Advertisement REGISTER with our FORUM. - |
|
#2
| |||||
| |||||
| Re: My Collection ![]() keep sharing
__________________ ![]() |
|
#3
| |||||
| |||||
| Re: My Collection so sweet of u ![]() thank u so much Sis
__________________ ![]() ![]() roz o shab ki shaakh se bicchrra hua patta hoon main waqt bhi ab ddhoonddta hay jisko wo lamha hoon main dil k sheeshay ttoott jaatay hain meri aawaaz se ik shikasta saaz se ubhraa hua naghma hoon main |
|
#4
| |||||
| |||||
| Re: My Collection Khoobsorat Collection ...
__________________ ~ Haan ager harf-e-ghalat hein to mitaa do hum ko ~ |
|
#5
| |||||
| |||||
| Re: My Collection thanxx Alott Sir ![]() ______________________________ phir mosam e khayaal ki tthandi hawa chali phir phelnay lagi teri khushbu gali gali dil kaif e intizaar main yoon ddhal k reh gaya paani main jaise gghul gaii ho barf ki ddali kitne makaan jhaankti phirti hay chaandni kia jaanay kisko ddhoonddti phirti hay manchali tera khayaal garmiyon ki subha sa haseen yaadon main teri sardiyon ki dhoop hay ddhali weeraan hain aik umar se aankhon k gul kaday usko to yaad aay bhi mud'dat hi ho chali shab ko to "SHAM" chaand sitaaray bhi saath thay parrne lagi jo dhoop to ik ik ne raah li -------------------------
__________________ ![]() ![]() roz o shab ki shaakh se bicchrra hua patta hoon main waqt bhi ab ddhoonddta hay jisko wo lamha hoon main dil k sheeshay ttoott jaatay hain meri aawaaz se ik shikasta saaz se ubhraa hua naghma hoon main Last edited by Saajila Sana; 09-13-2006 at 02:18 PM. Reason: Automerged Doublepost |
|
#6
| |||||
| |||||
| Re: My Collection HMmmmmmmm... SHAM ki jo mujhe achi lagti hai woh to aapne share hi nahin ki anyway ... achi collection hai
__________________ Mere marne ke baad mere seenay se dil nikaal lena Kahin woh na dab jaye jo mere dil mein rehta hai. |
|
#7
| |||||
| |||||
| Re: My Collection thanxx apko konsi achi lagti hay jo main ne share nahi ki? well abhi to buhat saari collection share nahi ki hay main ne inshaAllah jald karoongi thanx again
__________________ ![]() ![]() roz o shab ki shaakh se bicchrra hua patta hoon main waqt bhi ab ddhoonddta hay jisko wo lamha hoon main dil k sheeshay ttoott jaatay hain meri aawaaz se ik shikasta saaz se ubhraa hua naghma hoon main |
|
#8
| |||||
| |||||
| Re: My Collection achi hain jitni main nay perhi hain ![]() ager app thori thori ker kay share karien gi tu easy rahay ga perhna or zaiyda acha lagay ga perhna...
__________________ ![]() |