0
gwkundi (02-15-2011), Hania (10-24-2007), nikamma larka (10-23-2007), NoToRi0uS (10-23-2007), Shab-e-Firaaq (10-30-2007)
me k khayal mein ye bhi yahan share ho sakti hai.???
Aisey Hi Bazm-e-Sukhan Mein Nahi Meri Aamad
Aag Lagti Hai To Basti Mein Dhuwan Hota Hai
Jab Tu Peda Howa Kitna Majbour Tha
Yeh Jahan Teri Socho Se Bhi Dour Tha
Hath Paon Bhi Tab Tere Apne Na The
Teri Ankhon Main Duniya Ke Sapne Na The
Tujh Ko Ata Tha Sirf Rona Hi Tha
Doodh Pe Ke Kaam Tera Sona Hi Tha
Tujh Ko Chalna Sikhaya Tha Maan Ne Teri
Tujh Ko Dil Main Basaya Tha Maan Ne Teri
Maan Ke Saye Main Parwan Chalne Laga
Waqt Ke Sath Qad Tera Barne Laga
Ahista Ahista Tu Kariyal Jawan Ho Giya
Tujh Pe Sara Jahan Mehrban Ho Giya
Zor Bazoo Pe Tu Baat Karne Laga
Khood Hi Sajne Laga Khood Hi Sanwarne Laga
Aik Din Ik Haseena Tujhe Bha Gayi
Ban Ke Dulhan Woh Tere Ghar Agayi
Farz Apne Se Tu Dour Hone Laga
Bij Nafrat Ka Khood Hi Tu Bone Laga
Pheer Tu Maan Baap Ko Bhi Bhulane Laga
Teer Bato Ke Pheer Tu Chalane Laga
Baat Be Baat Unn Se Tu Ladne Laga
Qayda Ik Naya Tu Pheer Padne Laga
Yaad Kar Tujh Se Maan Ne Kaha Ik Din
Abb Humara Guzara Nahi Tere Bin
Sunn Ke Yeh Baat Tu Tesh Main Agiya
Tera Gussa Teri Aqal Ko Kha Giya
Josh Main Aake Tu Ne Yeh Maan Se Kaha
Main Tha Khamosh Sub Dekhta Hi Raha
Aaj Kehta Hoon Peecha Mera Chor Do
Jo Hai Rishta Mera Tum Se Woh Tor Do
Jao Ja Ke Kahin Kaam Dhanda Karo
Log Marte Hain Tum Bhi Kahin Ja Maro
Beth Kar Ahain Bharte The Woh Raat Bhar
Inki Ahon Ka Tujh Par Howa Na Asar
Aik Din Baap tera Chala Roth Kar
Kese Bikhri Thi Pheer Teri Maan Tout Kar
Pheer Woh Be Bass Azal Ko Bhulati Rahi
Zindagi Isko Har Roz Satati Rahi
Aik Din Mout Ko Bhi Taras Agiya
Iska Rona Bhi Taqdeer Ko Bha Giya
Ashk Ankhon Main The Woh Rawana Howi
Mout Ki Aik Hichki Bhana Howi
Ik Sukoon Isk Chehre Pe Chane Laga
Pheer Tu Mayyat Ko Iski Sajane Laga
Muddatain Ho Gayi Aaj Buda Hai Tu
Jo Para Touti Khatiya Pe Kora Hai Tu
Tere Bache Bhi Abb Tujh Se Darte Nahi
Nafrate Hain Muhabbat Woh Karte Nahi
Dard Main Tu Pukare Ke O MERI MAAN
TERE DAM SE ROSHAN THE DONO JAHAN
Waqt Chalta Rahe Waqt Rukta Nahi
Tout Jata Hai Woh Jo Ke Jhukta Nahi
Bann Ke Ibrat Ka Tu Abb Nishan Reh Giya
Dhonde Zor Tera Kahan Reh Giya
Tu EHKAM-E-RABBI Bhulata Raha
APNE MAAN BAAP KO TU SATATA RAHA
Kaat Le Tu Wohi Tu Ne Boya Tha Jo
Tujh Ko Kese Mile Tu Ne Khoya Tha Jo
Yaad Kar Ke Giya Dor Rone Laga
Kal Jo Tu Ne Kiya Aaj Hone Laga
Mout Mange Tujhe Mout Aati Nahi
Maan Ki Surat Nigahon Se Jati Nahi
Tu Jo Khanse Tu Aulad Dante Tujhe
Tu Hai Nasoor Sukh Kon Bante Tujhe
Mout Ayegi Tujh Ko Magar Waqt Par
Bann Hi Jaye Gi Qabar Teri Waqt Par
QADAR MAAN BAAP KI AGAR KOI JAAN LE
APNI JANNAT KO DUNIYA MAIN PEHCHAN LE
Aur Leta Rahe Woh Baro Ki Dua
Is Ke Dono Jahan Iska Ka Haami KHUDA
Yaad Rakhna Tu Sha-ir Ki Is Baat Ko
Bhool Na Jana REHMAT KI BARSAT Ko
i have this wonderful poem about "Maan", would like to share with u ppl.....
Ghazaal-e-chashm se nikl ker
ghazala k rukh-e-lala per
behne wale
ghum k aansoon k motioon ko
chun chun ker
sukh ki le'dion main parone walee
pur-waqar haathon ki
ghum-gusar unglion k
pur-isar lams ko
shaid
"MaaN" kehtay hain
Ya kamiyabiyan ya izatain ya naam tum say ha
KHUDA nay jo diya ha makam tum say ha
Tumharay dam say ha meray lahoo main khiltay gulab
Meray wajood ka sara nizam tum say ha
Kahan bisat-a-jan aur main kam sin-o-nadaan
Ya meri jeet ka sub ahtamaam tum say ha
Jahan jahan ah meri Dushmani sabab main hoon
Jahan jahan ah mera ahtamaam tum say ha
Ho gaey jawan bache' bodhi ho rehi hai Maan
Be-khawab aankhon main charagh-e-lo wehi hai Maan
Rotii apne hise ki de ker apne bachon ko
Sabr ki rida odhe bokhi soo rehi hai Maan
Saans ki mareza hai phir bi thande pani se
Itni sakht serdi main kapray dho rehi hai Maan
Ghair ki shaikaet per' kabi kisi sharart per
Muj ko mar ker Arif' kudh bi ro rehi hai Maan
Rokti thi muj ko khailne se jis matii main
Aj ussi matti ko odhee soo rehi hai Maan
Maan!Tu mujhay apni jaan say pyari hay
Haan tu mujhay apni aan say pyari hay
Pyar muhabbattu nay dya jitna
Us pyar ka sila donga may kitna
maan!taray sabab yeh qismat sudhary hay
Haan tu mujhay apni shaan say pyari hay
Gilla tu nay kiya nahee bachpan may
hosla tu nay hi dya ladhakpan may
is hosla afzai nay taqdeer meri nikhari hay
Haan!tu mujhay apni Jan say pyari hay
Masaib-o-takaleef bardasht ki tu nay
Meri saheeh nigahdasht ki tu nay
Maan!meri zindagi tu nay hi sanwari hay
Haan tu mujhay apni aan say pyari hay
Alam maray pa dil dukhta hay tera
meri khoshi say dil sukhta hay tera
Maan!maray masail ka samnay tu ik pahadhi ahy
Haan!tu mujhay apni shaan say pyari hay
Wafa-o-pyar ka paiker hay tu maray liay
Khoshi aur sukh ka paikar hay tu maray liay
Maan!taray pair talay nahr-e-jannat jari hay
Haan tu mujhay apni jaan say pyari hay.