0
Ajeeb khawhish hai shehar waloon say chup chupa k kitaab likhoon
Tumharay naam apni zindagi ki kitaab ka intasaab likhoon
Woh lamha kitna ajeeb tha jub humari aankhain galay mileen thein
Main kis tarhan ab mohabbatoon ki tish-nagge k aazab likhoon
Tumhi nay meray ujaar rastoon pay khawhishoon ka diay jalaey
Tumhi nay chaha tha k khushk hontoon say chahtoon ka gulaab likhoon
Kabhi woh din they k neend aankhoon ki sarhadoon say paray paray thi
Magar ab jub bhi sona chahoon,tumhari yaadaon ka khawab likhoon
Main tanha larki dayar-a-shab main jalaoon sach ka diay kahan tak
Siyah-karoon ki saltanat main main kis tarhan aftaab likhoon
Yahi bohat ha ka in laboon ko sada say mehroon kar ka rakh doon
Magar ya kaisi musli-hat hai samandaroon ko saarab likhoon
Barbie Doll Jiya (11-25-2008), Ek_Khwaab (11-26-2008), LEO (11-25-2008), P@Rd3$i_GiRl (11-27-2008), saedo (11-26-2008)
Tumhi nay meray ujaar rastoon pay khawhishoon ka diay jalaey
Tumhi nay chaha tha k khushk hontoon say chahtoon ka gulaab likhoon
Kabhi woh din they k neend aankhoon ki sarhadoon say paray paray thi
Magar ab jub bhi sona chahoon,tumhari yaadaon ka khawab likhoon
Buhat khoob shairing hai..
Geo Like Leo