2
By: Iffat Maqbool
Daura E Quran
Intorduction Of Surah AL-Baqarah
Surah AL-Baqarah ko samajhnay se pehle kuch batain jo apko in Ayaat ko mazeed samjhna aasan kar de gi k Hijrat k baad se le kar Ghazwa e Badar tak yaani shuru k taqreeban 2 saal k darmiyaani arsay mai Surah Al-Baqarah naazil hui thi . Quran pak ki taveel tareen surah hai . 286 Ayaat hain . Pehle Nissaf mai Bani Israyeel se khitaab hai aur dosray Nissaf mai Musalmano se khitaab hai kuch Ayaat esi hain jo Rasool pak Sallala Ho Alehi Wa Aalehi wasalm k aakhri dour mai naazil hui jisko yahan jamma kia gaya. Surah baqarah k nazool se pehle taqreeban 2 tahai Quran pak naazil ho chukka tha Makki Surah’s ki soorat mai .
ALLAH k Nabi (PBUH) ne jo 13 saal Makkah Mai guzaray aur jo dawat o tableeg di isk nateejay mai logon ki zindagio mai inqelaab aa chukka tha. Aur uss inqelaab k natija mai 3 Garoh wajood mai aa chukay thay jin mai se 2 garoh tou Makkah k hi dour mai samnay aaye lekin jo 3ra garoh tha wo Madina mai aaya .
1. Pehla garoh wo tha jo ek kashti k sawaar thay . ALLAH k Nabi ki zubaan se jo Tauheed ki dawat sunni tou ‘’Aamanna Saddaqna ‘’ keh kar qabool kar liya aur musalmaan ho gaye . wo focus thay . Hazrat Abu Bakkar Saddiq R.A jese Hazrat Zaid Ki tarha aur Hazrat Khadija R.A aur isi tarha k loug aur yehi loug Mukhlaseen thay .Yeh Muttaqeen log thay. Yeh wo loug thay jinho ne Aap (PBUH) k pegham ko qabool kiya aur baat mannay lagay.
2. Iss kay Bar-aks aik 2ra grouh samnay aya jo Ta’asub ki wajah se ya apnay baap dada k tareqon per dattay rehnay ki wajah se sarey Aam Aap (PBUH) ki mukhalfat karta hua dikhta hai jo apki dushmani par aaya yeh Kuffar e Makkah thay .
3. Madina mai aatay hi aik 3ra grouh samnay aya aur wok on thay ? 2 kashtion k sawaar , Hidayat paana bhi chahtay thay lekin khuwahishon ko chorna b nahi chahtay thay . ALLAH k bhi banna chahtay thay lekin apnay nafs kay ghulam bhi rehna chahtay thay. Ese logon ko islam mai Munafaqeen k naam se yaad kiya jata hai . yeh wo loug hain jink Dillon mai Hidayat aai tou sehi magar thehri nahi . Emaan ki haqaniyat k baghair kalma parhnay walay loug thay. Duniya k faidon k liye islam ki taraf aaye Haqq ko paa karr nahi aaye . yeh log ALLLAH k liye nahi aaye thay yeh kisi na kisi mufaad k liye aaye thayaur yeh wo loug thay jo kisi na kisi Muslehat ki wajah se Musalman ho gaye . Islam k faidon parr apnay faidon ko tarjeeh dene wale the .
………………………………………………
Aagay In sha ALLAH hum Surah Baqarah ki pehli 5 Ayaat ko dekhay aur samjhay gaye .
khalid jamil malik (12-14-2012), ~ ƜĦƖƬЄ ƤЄAЯL ~ (12-17-2012)