0
Apni zindagi k azab likhon k haseen khawab likhon
Ya phir jin k peechay bhagta raha wo sarab likhon
Guzartay howay waqt ki wo talkhiyan apni jaga
Magar sochta hon ab apnay kal k baab likhon
Chootay he jinhein zakhmi kara tha badan apna
Unn kanton ko kesay mein aakhir gulaab likhon ?
Wo to kabhi humsafar he na banay thay humaray
To phir kyun unhein bhi mein apnay aehbab likhon
Dhoonday say bhi milna mushkil hogai hay aab to
Sochta hon iss mohabat ko aab nayab likhon
Humair's
Meri apni or us ki arzoo mein farq bas yeh tha
Mujay bas wo ,or usay sara zamana chiay tha
Ath3r (09-28-2007), Hania (09-28-2007), Sai-e-Lahasil (02-19-2008)