0
assalamualikum shagirdoon! ..
umeed hy aap sub theek hongy , or class k liye kafi bychain bhe ..
to janaab yeh lejey aap ki class ka schedule hazir hy..is k mutabiq parhaae ki jaay ge ...
Friday: 11/26/10: Introduction and List of topic discussed will be presented. Course will be divided in two core i.e. Basic and Advanced
Tuesday: 11/30/10: discussion on forms of urdu poetry, Naz’m, ghazal, qatta, etc
Tuesday:12/7/10: Understanding a ghazal, mutlah, maqta, qaafyah, radeef,
Tuesday:12/14/10: Understanding the waz’n of a misra and a sher of a ghazal in a whole
Tuesday:12/21/10: Continution of understanding waz’n of a sher and introduction to understanding beh’r.
Tuesday: 12/28/10: Conclusion of Basic Core of Understanding poetry
..........................................
chalo jaldi sy parh looab to sub ko sukoon mil gaya hoo ga ...
is thread k jo students hain jin hoon ny rigister karaya hy wo hian ..
1;GOHAR..
2;nabbas
3;sohny02
4;~firasha~(muhaddisa ch)
5;bilaal ahmad
6;heaven crown
7;just.talha
8;Arzu-e-Jana'n
9;_Khan_
10;Tifl e Maktab(sb)
11;roshnee
12;majidshah(sb)
13;amna
14;~Aadi~
15;*Beautiful_Stranger*
16;fantasy magic
17;zafarwarsi(sb)
18;tehseen84
19;Kamraanaslam
.......................................................................
jub class shoro hoge to yaheen par shoro karengy ..abhe sirf schedule bataya gaya hy ..apni apni kamar kas lejey sub k sub ....
Last edited by Gul-e-Nayaab; 11-25-2010 at 12:24 PM.
$nober (12-11-2010), bilaal ahmed (12-02-2010), diya Imaan (12-24-2010), Fa!th (11-23-2010), FAHAD SIDDIQUI (12-02-2010), itsattiq (08-04-2012), Muhaddisa (11-24-2010), ѕмαяту ¢αт (11-25-2010), Saba (12-02-2010), Savi Abbas (03-19-2011), tehseen84 (12-02-2010), Tifl e Maktab (11-23-2010), Talha I (11-24-2010), zafarwarsi (12-06-2010), _khan_ (12-02-2010), ~Aadi~ (12-02-2010)
lecture num(1)
As’sallam Alekum dostoJ,
Aap ki khoobsurat batain offline rehtay hue perhiiN, aur aap sub hi nay apnay apnay peraye maiN shayry ki sahi aur sachi definition di hay…so bravo fellows.
maiN bhi yahi samjhta hooN keh shayry insaan kay ehsaas ki munazam turjumaan hoty hay, ju shay kay gird-o-pesh ko qaari kay saamnay pesh kerty hay..
ager maiN ik aur baat kahooN tu shayad aap bhi mujh say mutaffiq hojaiN keh..shayry hamaray aaj ki tamseel hoty hay ju hamaray aanay walay kull maiN hamary tariiq bhi hogi..is hi liyea..shayry iman-daary ka taqaza bhi kerty hay..
aap say ik aur sawal poochtay chalain keh “shayry kaisay kertay haiN??”
mujhay ilm hay keh aap maiN say bohut say doast abhi shayry nahi kertay lakin beshter kertay haiN..tu aap apnay apnay experiences ko share kijyeaJ
ab aatay haiN aaj kay mozzo ki taraf, yaani shayry ki mukhtalif asnaaf,
main in notes ko likhnay maiN jis kitaab say istafadah hasil ker raha hooN uska naam hay “Faelaat” jisko janab Muhammad Yaqoob Aasi sahib nay tasneef kiya hay aur IQBAL CYBER LIBRARY NETWORK is kitaab kay sponsor haiN. Ager aap bhi is kitaab kay 300 pages ka mutalah kerna chahaiN tu zarror batayeh ga, maiN aapko iska link de dooN gaJ
tu janab sub say pehlay hum ghazal ko laitay haiN.
Ghazal:
Ghazal kay baray main kaha jata hay keh yeah ibtidah maiN qaseeday ka ik hissa thi. Qaseedah arbi ki aik qadeem aur maaroof sinf hay jis main shayr apnay qabaily serdarooN, jernelooN, aur dosri aham shaqsyaat ki zindagi main in ki tareef o toseef (jis main khush-amad bhi shamil hay) baray jaandat lafzoon maiN kiya kertay thay. Qaseedah likhnay kay liyea zoor-e-bayaN, ba-waqar andaaz aur aala funny maharat zarrory hay.
Ghazal ki tareef ya definition mukhtalif zamanooN maiN mukhtalif andaaz maiN ki gaii, ghazal ki ju mukhtalif definations haiN wo kuch yuN haiN
1) aurtooN say bataiN kerna ya aurtooN si bataiN kerna, jisay “Rekhti” bhi kaha jata hay,
2) hiran(DEER), ghizaal (arabi maiN) jub zakhm khoordah hota hay tu ju aawaaz wo shidat-e-khoof aur shidat-e-derd kay aalam maiN nikaalta hay usay bhi ghazal kehtay haiN,
3) mehboob ka shikwah, mehboob kay liyea apnay juzbay aur waraftgai ka bayan, us say mohabatoon kay ehwaal ghazal ka mehboob mozoo raha hay, yeah mehboob haqeeqi bhi hosakta hay, mijazi bhi,
4) doostoon aur zamanay ki shikayat, apnay zaaty, ijtimaai, ya girohi runj o alam ka bayan bhi ghazal ka mozo raha hay,,
5) apnay gird-o-pesh kay masaail ka bayan aur zaaty tajarbaat aur mushahidaat ka qissa, aur iradoon ka izhaar aur unkay tootnay per dukh ka izhaar bhi mozzo-eghazal raha hay.
Apnay structure kay aitbaar say ghazal maiN koii numaayaN tabdeeli nahi aye hay, Ghazal kay pehlay sher ko “Mutlah” kehtay haiN, Mutlah, yani itlah dena, keh dono misray HUM QAFYAH o radeef hotay haiN. Puri ghazal aik hi behr maiN hoty hay. Her sher ka misrah-e-saani (doosra misra) mutlah kay saath hum qafyah aur radeef hota hay. Ghazal kay aakhri sher ko “muqtah” ju Ikhtitaam say nikla hay kehtay haiN. Muqteh maiN shayr apna naam ya taqalus mozoon kerta hay.
“Misrah-e-awal” kisi bhi sher k apehla misra kehlata hay, jubkeh yaad rukhnay ki baat hay keh “misra-e-oulla” mutlay kay pehlay misray ko kehtay haiN. Ghazal maiN ashaar ki tadaad per koii khaas pabandi nahi hay, aam tor per chaar say pundrah (4 to 15) ashaar ki ghazlain dekhnay maiN aaty haiN. Ghalib nay teen ashaar ki ghazlain bhi kahiN aur kuch shayroon nay tu chalees chalees ashar ki ghazlain bhi likh daaliN.
Main zel maiN Mohsin Naqvi ki ik ghazal ka Mutlah, Muqtah aur aik beech ka sher pesh ker raha hooN, lain tarteeb kay baghair.
Ab aap batayeah keh is maiN ..mutlah koonsa hay, muqtah koonsa, misra-e-oulla konsa, misra-e-awal konnsa, radeef aur qafyah kiya kiya hay…
Log Sadiyon Ki Khataon Pay Bhi Khush Baste Hain,
Hum Ko Lamhon Ki Wafaon Nay Ujara Mohsin,
Us Nay Jab jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin,
Main Nay Tab Tab Ya Bataya K Tumhara Mohsin,
Us Ko Pana Tu Muqadar Ki Lakeeron Main Nahi,
Us Ka Khona Bhi Karen Kaisay Gavara Mohsin..!!
QITTA: ab dekhtay hain yeah qitta kiya hota hay??
Ghazal kay ander aik say zaaid ashaar musalsal muzmoon kay aajaiN tu un ko qitta kaha jata hay.
Yeah zarrory nahi keh qitta ghazal hi kay do musalsal muzmoonon per mubni ho, shayr musalsal muzmoon per do sher bhi keh sakta hay, aur aam tor per qittay ka pehla sher Mutleh hi kay structure per build hota hay…
Ab aapka kaam hay kay aap apni apni passand ka koii “Qitta” share kijyea.
Aazad Ghazal: Guzishta bersoon say “azaad ghazal” ka tajarba saamnay aya hay, jis maiN kuch hum waz’n abyaat ko ikhata likh diya jata hay aur ussay “ghazal” ka naam de diya jata hay. Meray nazdeek yeah ghazal ki be-hurmati ka doosra naam hay, kyoon keh..aap ghazal peh tajarba kerny kay bajay’e nasar likh lijyeaJ
Chalyeah dosto, ab ijzat dijyea.
Aap logoon ki shirkat is seekhnay kay amal ko mazeed jilla bakhshay gi, please discussion maiN zarror shareek hua kijyea…
Arzu, aap ka point note kerliya hay janab, aapko ab shikayat ka moqqa nahi milay ga meri taraf say..main apni dua kay baad “AMEEN” zarror kahooN ga, lakin kiyea hay keh ju WO meri rug-e-hayat say bhi qareeb ter hay aur WO hamaray dillooN ka haal bhi jaanta hay tu..lafzoon ki adaaigi maiN kiya rakha hay..lakin maiN aapki dil-aazari ka baais hergiz nahi banoon ga aur “amen” zarror kahoon gaJ
Bohut khush rahyea, Molla aap sub ko aabad o shad rukhayJ……AMEN
Last edited by Gul-e-Nayaab; 12-09-2010 at 09:23 PM.
Khayal-ger
walikum ustaad-e-muhtaram!
aap ka sawaal tha k shire k sy karty hian..??
to bhae main nalayq aap ko kuch batana chahte hoon ..wo yeh k main ny kabhe bhe kuch sooch majah kar nahen likha ..bas jub bhe aamad hoi or bas moo sy alfaaz or dil ys jazbaat ny pakka erada kar liya nikalny ka to bas us ko qaghaz par utaar llliya...na wazan ka dehaan diya na rawani ka bad dil ki kefiyat bayaan kardi j c thi wese ki wesi ..or jab kabhe ghaseet kar nikaalna chaha to khud pareshaan ho gae .....or agar aap yeh poochna chaty hian k bary shuara k sy shaire karty hian ? to wo to mujhy elm nahen hy ..haan itna zaroor keh sakti hoon jo k sirf mere sooch hy ..k jis ki shaiyry dil ko aik dum choo jaay is ka matlab k shyry bilkul dil sy hui hy .baqool aap k (emaandaari) sy...
agla yeh ghazal ka sawaal ...
matlah...
Us Nay Jab jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin,
Main Nay Tab Tab Ya Bataya K Tumhara Mohsin,
maqtah...
Us Ko Pana Tu Muqadar Ki Lakeeron Main Nahi,
Us Ka Khona Bhi Karen Kaisay Gavara Mohsin..!!
misra-e-oulla
Us Nay Jab jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin,
misra-e-awal
Us Ko Pana Tu Muqadar Ki Lakeeron Main Nahi
radeef..
Mohsin
qafyah..
ujaara,pukaara,tumhaara,gawaara.
.............................................................
lejey ustaad sahab mera home work ready hy ..haan main maqtah main thora phas gae thee ,magar likh diya ..aap bataey k yeh sahi hy ya nahen
or main apni pasand ka qita bhe abhe share karoon gi ..
buhut buhut shukriya ..itna kuch jaan ny ko mila aaj mujhy ..
adab arz hay Farukh bhai,
aj ki class kaffi maloomati rahee bohut batain shyri ki sinf ghazal kay baray main janay ko miliein aur akhir main apnay kuch sawalt puchay jin kay jawabat dena chahoun gee jo kuch you hain
1 yeh kay diaye gay ashaar main say mutlah konsa hay to janab mutlah hay kay
Us Nay Jab jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin,
Main Nay Tab Tab Ya Bataya K Tumhara Mohsin,
2 sawal yeh tha kay muqtah konsa hay to jawab hay
Us Ko Pana Tu Muqadar Ki Lakeeron Main Nahi,
Us Ka Khona Bhi Karen Kaisay Gavara Mohsin..!!
3 ek sawal tha kay misrah oulah bataye to sir misrah oulahh yeh hay
Us Nay Jab jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin,
4 apnay pucha kay misrah awal konsa hay to janab diaye gaye tinoun ashar main har shyer ka pehla misrah misrah awal hosakat hay jabkay doosra misrah misrah sani kehlalat hay
5 akhir main apnay radeef aur kafiya kay baray main pucha jo yeh hain
Radeef Mohsin
Qafiya pukara, tumahara, ujhara, gawara hain
bohut shukrya sir aj ki class ka ayendah bhi intizar rahay ga
bohut khush rahaye
roshnee
ek cheez aur apnay ghazal ki sinf qeetah kay baray main roshni dali aur akhir main ek qeetah liknay ko kaha to sir es waqt ek qeetah yad a raha hay jo hazir hay
Halaat kay qadmoun main qalander nahee girta
toot bhi jaye tara to zameeN per nahee girta
girtay hain baray shauq say samunder main darya
lekin kisui darya main samunder nahee girta
typing mistakes huee hogee mujhsay jin kay liye main peshgee mazart chahtee hoon
khush rahaye
roshnee
ujrar tumhara gavara qafeeya
mohsin takhlss radeef
matla
Log Sadiyon Ki Khataon Pay Bhi Khush Baste Hain,
Hum Ko Lamhon Ki Wafaon Nay Ujara Mohsin,
muqtah
Us Ko Pana Tu Muqadar Ki Lakeeron Main Nahi,
Us Ka Khona Bhi Karen Kaisay Gavara Mohsin..!!(mohsin pen name)
misra-e-oulla
Log Sadiyon Ki Khataon Pay Bhi Khush Baste Hain,
misra-e-awal
Us Nay Jab jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin
mutlah
Log Sadiyon Ki Khataon Pay Bhi Khush Baste Hain,
Hum Ko Lamhon Ki Wafaon Nay Ujara Mohsin,
muqtah
Us Ko Pana Tu Muqadar Ki Lakeeron Main Nahi,
Us Ka Khona Bhi Karen Kaisay Gavara Mohsin..!!
misra-e-oulla
Log Sadiyon Ki Khataon Pay Bhi Khush Baste Hain,
misra-e-awal
Log Sadiyon Ki Khataon Pay Bhi Khush Baste Hain
Us Nay Jab jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin,
Us Ko Pana Tu Muqadar Ki Lakeeron Main Nahi,
yeah teeno misray missra e awal hoon gay
radeef
iss main Mohsin repeat ho ra hay to radeef "Mohsin" bnay ge
qafyah
gavara,ujara
Tumhara,Pukara
ghaltiyoun say bharay H.w k sath hazir hoon
jo smjh main aaya likh diya iss liyay ghalti ho tou maazrat chahta hoon
REGARDS,bilaal ahmed
---------- Post added at 08:27 AM ---------- Previous post was at 08:21 AM ----------
qitta
bari bari saray gayy
darya par utaray gayy
ik do apnay jaisy he
akharpan main maray gayy
AOA;
Ustad G bohat zaburdust , Lesson diya hai app ney. App ki janib sey batayi gai defination k mutabiq main kuch youn samjha hoon!!!!!! Dekhyee!!!!!!!!!!!
Log Sadiyon Ki Khataon Pay Bhi Khush Baste Hain, <={misra-e-awal}
Hum Ko Lamhon Ki Wafaon Nay Ujara Mohsin,
Mutlah:-
Us Nay Jab jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin, <={misra-e-oulla}
Main Nay Tab Tab Ya Bataya K Tumhara Mohsin,
Muqtah:-
Us Ko Pana Tu Muqadar Ki Lakeeron Main Nahi, <={misra-e-awal}
Us Ka Khona Bhi Karen Kaisay Gavara Mohsin..!!
Qafiya = Pukara, Tumhara, gawara
Radeef= Mohsin
QITTA:-
Suno K meri to sub wafaain Ajeeb si hain
Meri Muhabat ki intahayain ajeeb si hain
Qaboliyat ki tamam rahain khuli hain lekin
Main kia karoon meri duaian ajeeb si hain.
Log Sadiyon Ki Khataon Pay Bhi Khush Baste Hain,
Hum Ko Lamhon Ki Wafaon Nay Ujara Mohsin,
muqtah
Us Nay Jab jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin,
Main Nay Tab Tab Ya Bataya K Tumhara Mohsin,
mutlah
ujara
Pukara
tumahara
qafya
mohsin
radif
Us Nay Jab jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin,
misra-e-oulla
Us Ko Pana Tu Muqadar Ki Lakeeron Main Nahi,
misra e awal
Us Nay Jab jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin,
misra e awwal
---------- Post added at 07:28 PM ---------- Previous post was at 07:08 PM ----------
mein reza reza huva,mein bikhar gya chup chap
tere fraaq ka mosam guzar gaya chup chap
kisi ney kaan na meri sadaa pey dharey
mere wajood mein ik shakhs mar gya chup chap
aray wah janab tm sahib apnay o badi deda dalyri say hum per chori ka ilzam laga diya aur hum to yeh bhi nahee keh saktay kay kiya hum apko shakal say core lagtay hain
koi suboot hay bataye hum bharmai kar dain apko copy lota dain gay
sir jee yeh sarasar ilzam hay hum per kam chori ka bahana hay aur kuch nahee
roshnee
Matla
Us Nay Jab jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin,Main Nay Tab Tab Ya Bataya K Tumhara Mohsin,
Maqta
Us Ko Pana Tu Muqadar Ki Lakeeron Main Nahi,Us Ka Khona Bhi Karen Kaisay Gavara Mohsin..!!
misra-e-ulla
Us Nay Jab jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin,
misra-e-awwal
Us Ko Pana Tu Muqadar Ki Lakeeron Main Nahi
Radeef
Mohsin
Qafiyah
pukaara
gawaara.
tumhaara
ujaara
Qitta dhoondne ki koshish karyiiinnnggg...........................
تمھاری آنکھ سے دل تک سفر کرنا ہے بس ہم کو
یہ کتنی خوبصورت منزلوں کا راستہ ہوگا
اس کائنات محبت میں ہم مثل شمس و قمر کے ہیں
اک رابطہ مسلسل ہے ، اک فاصلہ مسلسل ہے
ہم خود کو بیچ دیں پھر بھی ہم تجھ کو پا نہیں سکتے
میں عام سا ہمیشہ ہوں ، تو خاص سا مسلسل ہے!
A Tip 4 Blk Magic Victims "ALIM" ya "AMIL"..?
Furrukh bhai:
(Dair say jawabaat dainay k liyeh behad sharminda aur maafi ka talabgaar hooN. Internet connectivity mosam ki wajah say aik problem bani hoi hay. very sorry!)
sir ji ....Behad malomaati sabaq hay aap ki taraf say ham sab k liyeh. MaiN koshish karoNga k sahi sahi jawabaat dai sakooN.
Mutlah:
Us Nay Jab jab Bhi Mujhy Dil Say Pukara Mohsin, (Misra-e-oola)
Main Nay Tab Tab Ya Bataya K Tumhara Mohsin,
Log Sadiyon Ki Khataon Pay Bhi Khush Baste Hain, (misra-e-awal)
Hum Ko Lamhon Ki Wafaon Nay Ujara Mohsin,
Maqta:
Us Ko Pana Tu Muqadar Ki Lakeeron Main Nahi, (misra-e-awal)
Us Ka Khona Bhi Karen Kaisay Gavara Mohsin..!!
Radeef: Mohsin
Qafya: Tumhara, Gavara, Pukaara, Ujara
Qitta:
Koi shay moztarib hay meray dil maiN
Na’ay saaNchay maiN dhalna chahti hay
K jaisay tuar kar mitti ki teh ko
Koi koNpal nikalna chahti hay
Baqi asbaaq ka intizaar rahay ga.
Khush rahaiN
Allah Hafiz
Zafar Warsi
lecture num (2)
Assalam alekum dosto,
Aap main say Mashallah zada ter nay sahih jawabaat diyea, so pat yourself on your shoulder..bravo.
jinhooN nay nahi diyea..ummm who dekh lain kiya ghalty huii aur phir apnay shoulder ko shabash keh ker pat kerlain..no worriesJ
tu janab hum baat ker rahay thay asnaaf e sukhan ki, tu ayeah dekhtay haiN iski agli kari:
Marsyah:
Mersyah kisi khaas usoll kay tehat nahi likha jata, muratab kernay wala isko kisi bhi hayat maiN likh sakta hay Meer Anis aurMirza Dabir, bohut baray marsiah nigar guzray haiN Urdu adab main aur inhoon nay musadas kay pattern per tabah azmaii kertay hue mersyah nigary ki hay.
Marsyah umoman us naz’m ko kehtay haiN jis ka bunyadi mozoo-e-sukhan Waqya-e-Kerballa aur Imam Hussain (AS) kay hawalay say runj-o-gham ka izhaar kiya jaye.
Haqeeqat maiN mersyah aisa qaseedah hay ju kisi merhoom shaqs kay liyea likha jaye, aur is main runj-o-gham-o-derd-o-alam aur na-paaidaary-e-hayat ka izhaar kiyea jaye aur ik gham ki kefyat paida ho.
Anees aur Dabeer jaisa kay arz kiya marsyah nigari main ik mustanad muqam rukhtay haiN.
Iqbal nay ik bohut mashhoor naz’m likhi thi “Walidah Merhooma ki Yaad maiN” ju mersyah ki hi ik misaal hay.
Laakh koshish kay maiN yeah nazam talash na saka, ager koii isko yahan share kerna chahay tu please, hum sub iss say istifadah hasil kersaktay haiN, aur ju share karay ga wo khud ko do dafa aur shoulder peh pat kerkeh shabash bhi kehsakata hayJ
Rubaaii:
Rubaii ko Ajami adab kaha jata hay, yeah chaar misrooN ki bila-unwaan naz’m hoty hay jis maiN ik muzmoon mukamal kerna hota hay. Pehla, dosra aur chotha misra hum qafyah aur hum radeef hota hay.
Ab aap kahain gay keh yeah tu Qitay ki bhi definition hay, haina..tu janab Qittay aur Rubaii ka bunyadi ferq yeah hay keh, qitay main aouzaan ki pabandi nahi hoty, jubkeh Rubaii kay 24 auzaan mukhtas haiN aur rubaii maiN in 24 main say aik ya do auzaan jama kiyea jasaktay haiN, taham qitay kay misray even numbers ki tadad main hotay haiN yani , 4, 6 ya 8 ya iss say zada, qitay ko unwaan diya jaskata hay lakin rubaii ko nahi, qita aik hi ghazal kay do musalsal ashaar kay ander bhi waqeh hosakta hay…
Nazm (paband, Murah, aazad nazm aur nasri nazm):
Paband naz’m who hoty hay jis maiN kisi aik (ya kahin kahiN zaayd) waz’n ki paabandi ki jaye, radeef aur qafyeah ki mutayn terteeb ko nibhaya jaye.
Murah nazm main qafyeah ki pabandi nahi hoty aur misray ki todad odd numbers main bhi hosakty haiN yani 5, 7, 9 waghera. Isko “Blank Verse, ya Billa Qafya) nazm bhi kaha jata hay, aur yeah English poetry say Urdu zuban maiN ayee hay. Is main radeef qafyeah ki pabandi na honay ki wajha say muzmoon afreeni qadray asan hojaty hay, lakin zuban ki latafat aur husn ka khayal rukhtay hue Murah naz’m nigari bohut zarrory hay. Murah naz’m kay tamam misray hum wazn hotay haiN aur beh’r ashad zarrory hoty hay.
Aazad naz’m maiN beh’r qayam rukhy jaaty hay, lakin misroon ka hum- waz’n hona zarory nahi, isliyea misroon ki sakht yuksaan nahi rehty, isliyea yeah sat’r bun jaty hai, her satar ki zakhamat mukhtalif hosakty hay. Naz’m nigary ki yeah sinf aaj kull sub say zada muqbool hay
Nasri naz’m ko shayry tasleem nahi kiya jaskta kyoon keh yeah na waz’n peh hoty hay na behr peh, lihaza isko hum dayrah-e-shayry say nikal ker dayra-e-Nas’r nigary maiN shamil kerdaitay haiN..aur isko “Nas’r-e-lateef” kehtay haiNJ
Hyko aur Slasi:
Hyko choty beh’r ki teen hum waz’n misroon ki naz’m hay jis maiN aik khayal mukamal kerna hota hay, is main radeef qafyeah ki qaid nahi hoty. Yah sif bhi Urdu adab main Imported hay, shayad is hi liyea zada muqbool bhi, keh hamary aadat ju their..imported cheezoon ko pasand kernay ki
Slasi haqeeqatan Urdu adab hi ki ik sinf hay, so isko hum Khalis Desi keh aktay haiN. Slasi main teen misray hotay haiN, ju hum wazn, hum qafyah aur hum radeef hotay haiN.
Mahya:
Mahya bunyadi tor peh Punjabi look shayry ki ik sinf hay jis ka asal mozoo firaq hay, taham guzray wat kay saath saath ismaiN mazeed mozoo-aat bhi shamil hogaye haiN.
Rumi tor peh yeah do misrooN main likhi jaaty hay, ju hum qafyah aur hum radeef hotay haiN, LEKIN pehla misrah zakhamat maiN doosray misray ka theek nisf hota hay, isliyea isko derh misray ki sinf bhi kaha jata hay, aaj kull isko teen misroon maiN likh liya jata hay.
Tu janab yeah tu Urdu shayry ki mukhtalif asnaaf ka mukhtasir sa taruf, main aapko bore kerna nahi chahta isliyea mainay her topic ki sirf summary aap tuk poNhchayee hay, umeed hay aap ko perh ker maza aya hoga.
Next week hum ilm-e-urooz per baat karaiN gay..yani seekhain gay keh sher ki analysis Kaisay ki jaty hay, main us muqsad kay liyea ik sher aap say share karooN ga ju ROSHNEE ka hay, aur phir uski kis terha mainay islah ki wo bhi aap say share karooN ga, iskay liyea maiN Roshnee say peshgi ijazat lay chukka hooN..Thanks Roshnee for allowing us to use your verseJ
Sami keh rahi hay Home work kiya hoga???
Tu janab aap main say ju bhi doast main nay ju bhi mukhtalif asnaaf discus kiN unki aik aik example lai ker ayeah…
Examples main bhi lay ata, lakin phir aap kiya kertay…islyea..Please do serve me
Ik baat ju main aapko batana zarrory samjhta hooN wo yeah hay keh main nay Urdu adab ko khud say seekha aur mazeed seekh raha hooN so it’s basically a self taught subject for me, ager aapko mujh say kahin bhi koii bhi ikhtilaaf ho tu please point out kijyea ga, mujhay seekhnay ka moqa milay gaJ
Apni duaoN main yaad rukhyea ga
Bohut khush rahyea ga, azeez rahyea ga…ameen
Last edited by Gul-e-Nayaab; 12-09-2010 at 09:23 PM.
adab arz hay sir jee
pehlay to bohut shukrya kay apnay itnee mehnat say hamary liye lecture tayar kiya aur parh kar bout chha laga bohut maloomatee raha aj ka sabq magar sir jee hum kamzore dil students kay liaye itna sara kuch ek saath hazm karna mushkil ho raha hay aur us bhi bhar kar home work yqenun hamain homework karnay bohut maza atta hay magar sir agar saari asnaf ko ek saath discusss karain gay to confusion ka imkan barh sakta hay aur hum yahaN kuch sekhnay hee he to bethay so kis baat ki jaldi hay isleaye apsay guzarish hay blaky meray doosrya classfellows bhi es baat par itifaq karaiN Gay kay ek bethak maiN ek hee sinf ya zayada say zayada do ka zikar kiya jaye to hamary liaye apko in say related misaali kalaam share karny main assani rahay gee aur sekhany ka amal bhi behtar tareeqay say agay bhary ga
sir ap ab jaldi jldi sub kuch parha kar jan to na churaiN na hum say hum saray talibilm zaheen to nahee hotay na kuch hamari tarah kay sust ro bhi haiN apki class maiN
agar koi baat buri lagee to maiN maafi chahtee hooN sir
phir bhi hum apkay huqm kay mutabiq apky lecture kay mutabiq rubai, qitta, nazm aur marsiye misaal pyesh karnay zuroor koshish karaiN gay
dua go
Roshnee
Ji main aap say agree kerta hoon Roshnee.
Chalyah ab aisa kertay haiN keh aap two weeks lay laiN is material ko samjhyeah, aur apas maiN discus kerlain kay kon kis cheez ki example day ga..isko Group Project bana laitay ahiN keh..her banda ik cheez hi ki example share kerday..is terha repitition bhi nahi hogi..kiya khayal hay??
Class?????