0
assalamualikum shagirdoon! ..
umeed hy aap sub theek hongy , or class k liye kafi bychain bhe ..
to janaab yeh lejey aap ki class ka schedule hazir hy..is k mutabiq parhaae ki jaay ge ...
Friday: 11/26/10: Introduction and List of topic discussed will be presented. Course will be divided in two core i.e. Basic and Advanced
Tuesday: 11/30/10: discussion on forms of urdu poetry, Naz’m, ghazal, qatta, etc
Tuesday:12/7/10: Understanding a ghazal, mutlah, maqta, qaafyah, radeef,
Tuesday:12/14/10: Understanding the waz’n of a misra and a sher of a ghazal in a whole
Tuesday:12/21/10: Continution of understanding waz’n of a sher and introduction to understanding beh’r.
Tuesday: 12/28/10: Conclusion of Basic Core of Understanding poetry
..........................................
chalo jaldi sy parh looab to sub ko sukoon mil gaya hoo ga ...
is thread k jo students hain jin hoon ny rigister karaya hy wo hian ..
1;GOHAR..
2;nabbas
3;sohny02
4;~firasha~(muhaddisa ch)
5;bilaal ahmad
6;heaven crown
7;just.talha
8;Arzu-e-Jana'n
9;_Khan_
10;Tifl e Maktab(sb)
11;roshnee
12;majidshah(sb)
13;amna
14;~Aadi~
15;*Beautiful_Stranger*
16;fantasy magic
17;zafarwarsi(sb)
18;tehseen84
19;Kamraanaslam
.......................................................................
jub class shoro hoge to yaheen par shoro karengy ..abhe sirf schedule bataya gaya hy ..apni apni kamar kas lejey sub k sub ....
Last edited by Gul-e-Nayaab; 11-25-2010 at 12:24 PM.
$nober (12-11-2010), bilaal ahmed (12-02-2010), diya Imaan (12-24-2010), Fa!th (11-23-2010), FAHAD SIDDIQUI (12-02-2010), itsattiq (08-04-2012), Muhaddisa (11-24-2010), ѕмαяту ¢αт (11-25-2010), Saba (12-02-2010), Savi Abbas (03-19-2011), tehseen84 (12-02-2010), Tifl e Maktab (11-23-2010), Talha I (11-24-2010), zafarwarsi (12-06-2010), _khan_ (12-02-2010), ~Aadi~ (12-02-2010)
Group 3
jee adab arz hay Farukh bhai aj main apny gropu ki taraf say apkay diaye gay lecture kay mutabiq apnay home work kay saath hazir hooN
subsay pehlay to main formate kay mutabiq definition bataouN gee aur phir us kay mutabiq misaal pyesh karooN gee
Slasi
slasi kay luhgvi mani hain 3 chunky shyri ki yeh sinf 3 misrouN per mushtamil hotee hay es liye essay salsi kaha jata hay aur bunaydi taur per yeh urdu adab hee ki pedawar hay baqole Farukh bhai kay khalis desi sinf shyri hay
es kay tenou misrouN ka ham qafiya hum radeef aur ham wazan hona zuroori hay es misaal kay taur per main janab Faiz Ahmed Faiz ka kalam share kar rahee hooN
Mana kay yeh sunsan gharhi sakht karhi hay
lekin meray dil yeh to faqat eik gharhi hay
himmat karo jeenay ko to eik umer parhi hay
Mahya
punjabi zuban ka lafz hay jis ka bunyadi mozou to firaq yani hijr hee hay magar waqt kay saath es main es kay mozoun main kafi wusat a chuki hay yeh hum hum qafiya aur hum radeef msrouN per mushtamil hota hay aur aj kal yeh teen msrou|N main bhi kaha jata hay es ka pehla misrah doosray ka theek nisf hota hay es bina par esay derh misray ki shyri bhi kaha jata hay
es ki misal apko hamary gropu ki janab gohre nayab pyesh karain gee aur umeed kartee kay jald apnay hesay ki sharing kay saaath hazir hon gee
jee Farukh bhai agar koi baat biyan karny qasir rahee hooN to moazrat chahtee hooN
bohut khush rahaye
Roshnee
Asslamu Alikum
mere khayal sae lafzoon ka jo mada hota hai .uss sae jo sound aa rahii hoti hai wasi sound wale lafz kii azaaft ...shayaad
---------- Post added at 10:45 PM ---------- Previous post was at 10:16 PM ----------
GROUP 4
Marsiay
yeh lafz arbi zuban RISA sae nikla hai jis ka matlab hai .great tragedy or lamentation for a departed soul.
yeh story poems hoti hain. karbla k bare main . Hazraat Hasan , Husain(R.A) ore un kii families ki yaad main poems likhi jati hain.
yan kisi dost kii yaad main ...
The sub-parts of marsia are called noha and soz which means lamentation and burning of (heart) respectively.
poetry expressing sorrow ..
Asslamu Alikum
lecture num :3
Assalam alekum,
aglay part kay liyea mujhay koii do ya teen ashaar chahyaiN aap say, ju aapkay apnay hooN, aur gher taseeh zada hooN..
hum unko analyze karain gay..jis say humaiN kisi bhi sher ka waz'n, aur beh'r samjhnay main madad milay gi..
maiN sooch raha tha keh, aap say kiya share karooN jis say aapko urooz-e-sukhan samjnnay maiN madad milay..is kay liyea main nay bohut werq gerdaniaaN kiN..aur notes bhi likhay lakin maiN is nateejay per poNhcha kay ager aapko uss level per jakaer urdu samjhaii tu aap shayry say touba kerlaiN gay
aapsay sirf aur sirf aapki reading adventure ki khatir, thora sa beh'r kay muqtalif arkaan samjhnay ki gherz say ju notes likhay haiN wo share kerta hooN, maiN expect nahi kerta kay wo kisi ko samjh ayaiN gay..aur maiN chahta bhi nahi keh aap samjhaiN..aur sawal poochaiN..keh yuN aap khud bhi confuse hoongay aur maiN bhi
bus itna kijyea ga keh, apna aik aik sher, gher taseeh zada sher karaIn aur maiN un teen ya chaar ashaar ki jaisay apnay ashaar ki taqteeh kerta hoon, waisay hi aapko ker keh dikhaooN ga, takeh aapko sher kay misrooN ko balance kerna aajaye, basic level per.
chalyeah, dimagh ka dahi kernay ki gherz say yeah notes dekh lijyea..
aur haan Muhadiash nay sawal poocha kay sher maiN waz'n kiya hota hay..
tu Muhadissah, kisi sher maiN..dono misrooN ki yaksaan beh'r aur yuksaan arkaan ki tadad ko sher ka wazn kehtay haIn..yani balanced cher..
ab Ghalib kay is mush-hoor sher ko dekhyea...
mout ka aik din muqarar hay
neend kyooN raat bher nahi aaty
perhnay maiN maza aata hay lakin ager maiN isko yuN kerdooN:
muqarar hay mout ka aik din
raat bher neend aaty kyooN nahi
ab is she'r ki beh'r yani flow out hogaya, arkaan ki tadad utni hi hay, lakin jub hum isko per rahay haiN tu yeah sher nahi bulkeh do chotay jumlay lug rahay haiN..tu kyoon keh iski beh'r out hay tu yeah sher wazan main nahi raha...yani balanced nahi raha
ab phir dekhyea:mout ka din muqarar hay
neend kyooN raat bher nahi aaty
pehlay misray say mainay aik syllable kay sirf ik laf'z "aik" ko nikala tu pehla misra out hogaya syllables kay lihaaz say, aur chunkeh pehla misra out hogaya tu hum kahaiN gay sher balanced nahi, yani wazn main nahi..Professor habib ullah khan ghazanfar ki kitaab “urdu ka urooz” say iqtibaas
main syllables ko mazeed tafseel say next time around samjhaooN ga..
tub tuk isko hazam kernay ki koshish kijyea, and again it's only for your reading pleasure
bohut sukhi rahyea, aabad rahyea..salamat rahyea..ameen
Do ya do say zada huroof ki herkaat o suknaat ki maddad say milanay say yeah alfaaz buntay haiN
Alfaaz ki ilm e urooz maiN girooh bundi: Ajza bhi kehlatay haiN
Sabab-e-khafeef: aik mutharak aur aik saakin herf ki combination, jaisay
Lum, kuun, aao, (main, who, kis, ab, tum, bus, hum waghera)
Sabab-e-saqeel: yakay baad deegray do mutaharik herfooN ka aajana, jubkay doosra mutaharik kisi sabab-e-khafeef ka hisa na ho, muslin..bika, lim, wq waghera…urdu maiN koii mukamal lafz is nahj per nahi milta..jaisay ba-khuda, ka ba aur nazri ka nz, yeah dono lafz khud say mukamal lafz nahi haiN.. (00)
Wtd-e-mujmoah: do mutharik huroof kay baad saakin k aaana jaisay: ilm, muz’r, bha waghera (kahan, abhi, naz’r, qalm, junooN, waghera)(10)
Wtd-e-mufrooq yaw td-e-muqroon: aik mutaharik, aik saakin, aik mutharik huroof per mushtamil lafz jaisay: ilm, baad, qbl waghera, (aql, koon, loog, chaal, saans, waghera)
Fasila sughra: teen mutharik kay baad aik sakin herf walay alfaaz, jaisay: bikuma, hakimo, zerbut waghera (Arabic) (talbi, ulmah, bakhuda, nazraiN, watni waghera)(100)
Fasila kubra: fasla sughra say pehlay aik mutharik ka izafa hojaye tu is terkeeb ko fasla kubra kahaiN gay..jaisay: zurbukm, ulmihim , yeah urdu urooz maiN shamil nahiN(100)
Murar: aisi tarteeb e herkaat ju do mutharik, aur do saakin per mushtamil ho ussay “murar” ka naam diya gaya hay
Jaisay :behsh’t, derkh’t, wakeel, dawaat, sameeh, misaal, wajood, chataaNk, waghera(010)
ArkaaN
Behr kay wo hisay jinko terteeb waar milaya jaye tu misray ki lumbaii aur uss maiN waqeh herkaat o suknaat ki terteeb ka taaen hota hay..arbi maiN paanch daayrooN kay ju arkaan baar baar aye haiN, wo matan kay lihaaz say 8 haiN
Faolun: wat’d mujmoh + sabab-e-khafeef
Faaiilun: sabab khafeef + watd mujmooh
Wtd-e-mujmoah: do mutharik huroof kay baad saakin k aaana jaisay: ilm, muz’r, bha waghera
Sabab-e-khafeef: aik mutharak aur aik saakin herf ki combination, jaisay
Lum, kuun, aao,
Mufaaeelin: wat’d mujmoh + sabab khafeef + sabab khafeef
Mustafeelin: sabab khafeef + sabab khafeef + wat’d mujmoh
Or sabab khafeef + witd mufrooq + sabab khafeef
Wtd-e-mujmoah: do mutharik huroof kay baad saakin k aaana jaisay: ilm, muz’r, bha waghera
Sabab-e-khafeef: aik mutharak aur aik saakin herf ki combination, jaisay
Lum, kuun, aao,
Faaiilaanun: sabab khafef + wat’d mujmooh + sabab khafeef
Or witd mufrooq + sabab khafeef + sabab khafeef
Mufoolaat: sabab khafeef + sabab khafeef + witd mufrooq
Wtd-e-mujmoah: do mutharik huroof kay baad saakin k aaana jaisay: ilm, muz’r, bha waghera
Sabab-e-khafeef: aik mutharak aur aik saakin herf ki combination, jaisay
Lum, kuun, aao,
Mutfaaiilun: fasla sughra +wat’d mujmoh
Mufaillun: wat’d mujmoh + fasla sughra
Fasla sughra: Fasila sughra: teen mutharik kay baad aik sakin herf walay alfaaz, jaisay: bikuma, hakimo, zerbut waghera (Arabic)
Wtd-e-mujmoah: do mutharik huroof kay baad saakin k aaana jaisay: ilm, muz’r, bha waghera
Adaaigi kay lihaaz say in arkaan kay hum wazan alfaazz ki aik fehrist
Faolun: madari, tamasha, haqeeqat, abhi-tuk, bhateejaa…..
Mufaaeelin: jahaN-deedah, mr’e bachay, tamashaii, namay-danam….
Faaiilaanun: aadmyut, kher-bashd, itifaqun, shakhsaanah…….
Faaiilun: aadmi, la-makaaN, dooryaaN, raastay, dil ruba……
Mustafeelin: karo-bayan, aah-o-buka, jado-gari, chehrah-numa……
Mutfaaiilun: khabr-o-nazar, mutbadlah, but-e-tund-kho,….
Mufaillun: kamal-e-nazar, sana-e-bash’r, ajeeb samaaN…..
Mufoolaat: muqnatees, alqanoon, istafsaar, tushbeehaat
Last edited by Gul-e-Nayaab; 03-01-2011 at 06:17 PM.
Khayal-ger
WaAlikum As Salaam!!!!!!
Bhai App ka lecture parha jo app ney likha tha same wesa hi howa k subh uoper sey hi guzra. App ney do teen shair mangey hain aik shair meri janib sey hai please isey durust ker dijyee!!!!
"Unhain yeh kon samjhayee udasi dil main rehti hai"
"khushi ki chah main hum to makeen badla nahin kertey"
Adab arz hay
wah Farukh bhai yeh to khoob dahi bana nahnay say dimagh ka wesay apka tareeqa batany ka kafii dilchasp hay so zayada nahee magar kuch na kuch to palhy parh hee raha hay baqi do chaar bar abhi es lecture ko parahin gay shayad aur bhi samjh main ajaye bus ap younhee share karya rahaye
Allah apko khush rakhay
dua go
roshnee
acha silsila hai thanks 4 this
khas tor pe farrukhjii ka bohat bohat shukar guzaar hoon or khalos e dilk se un ke liye du'a go hon
or koshish karoon ga kuch na kuch mein bhi sekh loon
ye rahe mere kuch ashaar
teri mefil mein aa betha hoon
gardish e dora'n se gahbra ke saqi
abhi fikr e fard'a bhoola nahi mein
mujhe or pila muskora ke saqi
-----------------------------------
diwan e zahid ke har pan'ne pe
tera hi charcha hai meri ja'nna
-----------------------------------
bari mud'at se mere aangan mein
kuch talkh yaad'on ka basera hai
kabhi kitaboon mein para tha zahid
har raat ka moqdr sawera hai
------------------------------------
khush rehna or dua'on mein yaad rakhna
aap ki dua'on ka taalib zahid
ALLAH hafiz
adab raz hay farukh bhai
aj calss main hazir huee to dekh kar bohut afsose bhi hua hayerat bhi kay bai puri ki puri class hee subsan veran parhi hay na teacher na studentas
bai bus bohut hogaye rest ab kam par ajye sub loge aur farukh bhai please yeh silsila rukna nahee chahye
roshnee
Rubaaii:
Rubaii ko Ajami adab kaha jata hay, yeah chaar misrooN ki bila-unwaan naz’m hoty hay jis maiN ik muzmoon mukamal kerna hota hay. Pehla, dosra aur chotha misra hum qafyah aur hum radeef hota hay.
Ab aap kahain gay keh yeah tu Qitay ki bhi definition hay, haina..tu janab Qittay aur Rubaii ka bunyadi ferq yeah hay keh, qitay main aouzaan ki pabandi nahi hoty, jubkeh Rubaii kay 24 auzaan mukhtas haiN aur rubaii maiN in 24 main say aik ya do auzaan jama kiyea jasaktay haiN, taham qitay kay misray even numbers ki tadad main hotay haiN yani , 4, 6 ya 8 ya iss say zada, qitay ko unwaan diya jaskata hay lakin rubaii ko nahi, qita aik hi ghazal kay do musalsal ashaar kay ander bhi waqeh hosakta hay…
auzaan ka kuch tafseel sy bataey ...mujhy bas yeh auzaan samajh nahen aaraha ..ab main rubaai likhna chahte hoon or qitta bhi bilkul khud sy ...ab aap zara mujhy samjhaey yeh auzan or us k num ki tadaad ...sub bataey ,....![]()
Salam..
Nahi jaanta aapke message ka reply kaise karron, par haan woh qitta maine hi likha hai.. please koi mujhe batayega kisike message ka reply kaise karoon ?? jab bhi reply ki koshish karta hoon "you do not have access to this page" ka notice ata hai...koi please batayega kya karoon ???
---------- Post added at 08:17 PM ---------- Previous post was at 07:59 PM ----------
Surfed the net and found a few useful info, and thought to share it here..
Rubayi...
The Rubai that is also known as Rubaiyat in western literature is an Urdu-Persian poetic form. Each Rubai stanza is supposed to be a quatrain, in which lines 1, 2 and 4 all rhyme. Therefore the rhyme sounds as AABA. The general pattern of Rubai is such that the poet uses metaphor and similes in first 3 lines but has to all of a sudden conclude the meaning in the fourth one. This form is very tough to write and thus preferred by experienced poets. The Rubai is a good form to use when you've got something to say; the constraints of the form are not severe enough to prevent you from saying it.
There is a variation of Rubaiyat known as interlocking Rubaiyat. In this type of Rubai, the third line of each stanza rhymes with lines 1, 2 and 4 of the next. Traditionally in Persia each Rubai was regarded as a poem in its own right. When a collection of them called Rubaiyat was published, they were arranged in a fixed order viz. in alphabetical order of the last letter of the rhyme.
The Rubaiyat of Omar Khayyam is the best example of Rubai form. It is actually a meditation on the meaning of life that concludes that we should eat, drink and be merry. Omar Khayyam lived in twelfth-century Persia, under Islamic law. The ideas in his Rubaiyat as well as his enthusiasm for wine were considered heretical. Therefore Rubaiyat were circulated anonymously, and probably memorized a lot more often than they were written down.
The Rubai form is much more lax than traditional forms of Arabic and Persian poetry, which would use a single rhyme all the way through the poem, however long.
Shayri..
One of the most dominant and outstanding forms of poetry is Urdu Shayari. Also known as Urdu Sher O Shayari, it is a varied field of poetry that has many different aspects and colors. Each and every "sher" is a short couplet and usually rhymes. It portrays the meaning and beauty of life in a very subtle yet lovely way. The origin of Urdu poetry can be traced to the ancient Arabic and Persian forms of poetry. It forms an important part of our cultural heritage and is also called Indian Shayari.
This form of poetry was very much prevalent in ancient times when Kings and Emperors used to have the best poets and writers in their courts. The language Urdu has the ability of breathing life into words. The couplets in Urdu can make one forget all tensions and relax completely. They are very emotional in nature and are a favorite among young lovers to express their feelings of love to one another. It is no less than an art and if expressed with the right feelings, it can make even the dullest day seem bright.
Even though Urdu poetry evolved long time back, the exact time of its origin cannot be calculated. Also, it does not have a particular tradition and is largely influenced by Arabic and Persian forms of writing. Also, it was much influenced by major Urdu poets of India and basically was a mix of Urdu, Hindustani and Hindi. Even in the contemporary world, one can fin every major city holding Urdu poetry expositions, known as Mushairas. Many people attend these Mushairas to relieve themselves off their stress and indulge in a soul satisfying experience.
[QUOTE=-_sallu_-;2691296]Salam..
Nahi jaanta aapke message ka reply kaise karron, par haan woh qitta maine hi likha hai.. please koi mujhe batayega kisike message ka reply kaise karoon ?? jab bhi reply ki koshish karta hoon "you do not have access to this page" ka notice ata hai...koi please batayega kya karoon ???[COLOR="Silver"]
---------- Post added at 08:17 PM ---------- Previous post was at 07:59 PM ----------
janaab aap ko kam sy kam 50 post poore karn hongi us k baad hi aap kisi ko msgs kar sakengy ...
agar kuch samajh nahen aaraha to aap help korner main thread laga sakty hian ...
khush rahey ...
achi info share ki aap ny magar ... yeh urdu shairy ka taruf hy to acha hoga aap jo bhi post karen urdu main hi karen ...![]()