0
beete hue baharain aur milan ki rutain...dharkano ke sath dharakne wale naam...tasavor ke aiane mian nazar ane wale chehre...jab burso ke bad zindagi ke kisi anjane morh per itefaqun mil jate hain...tu waqt ki zanjerain tor ker burso ki hadain phalang ker...wo lamhe...wo pul...wo chodhwain ki chandni ka izterab...wo judai ka lums...aur qurbatoon ki anmol khushi...wo phoolo ka lazawal husun...wo koyal ki kook sun`ne ki chah...wo rat jagoo ki beqarari...sub ke sub aik lamhe main semut ate hian...tu waqt thum jata hai...dil ke zakham...phir se harre hojate hain...beeta howa kal aj ka mehman hojata hai...tab ankhain is itefaq ko dekh ker ashkbar hojate hian...pata nahi aisa ku hota hai ?
Shayad aisa is liye Hota hai ky ham khud ko Us waqt ya us lamhay khud ko kamzoor kar letay hain...per baat tu tab hai ky ham aise waqt ya aise lamhay ko b hans kar ya khushi kay saath guzarain... kia aisa mumkin hai?
anyways beautifull![]()
ALLAH MUHAMMAD CHAAR YAARHAJI KHAWAJA KUTAB FAREED
HAQ FAREED YA FAREED