8
amnarani (12-10-2012), Baba ki guriya (12-10-2012), Muhaddisa (12-15-2012), tariq_ahmed (02-22-2013)
bohut khoobsurat tehreer janab..
haqeeqat say qareeb ter..
maiN yeah akser kehta hooN keh ahl e maghrib main wo saari khussosyaat mojood hain ju Musalmanoon ka khassa hona chahyien..
koii 3 baras pehlay, meray walid aur walidah meray paas her saal ki terha summer vacation per aye hue thay,
khudda ka kerna yuN hua keh meray walid sahab ko Stroke hogaya, aur unki right side paralyze hogaii..
walid sahab go keh na yahan keh resident haiN na hi yahan kay logoon jaisay, lakin gher peh ambulance laiker aanay waloon say Neuro-surgeon tuk her shaqs intihaii khanda peshani say pesh aaya,,
aur walid sahab ka behtareen ilaaj kiya..main ik month kay baad walid sahab ko laiker Karachi gaya aur, yeah dekh ker heraan reh gaya keh meray apnay mulk kay doctor tu doctor nurses ka riwaya bhi qabil e reham tha..
meray ghussa ki us waqt hud na rahi jub main walid sahab ko ik test ki gherz say Wheel-chair per hospital kay ander ik ward say dosray ward tuk lay jaraha tha aur beech main mujhay hospital kay compound hi main ik road cross kerni thi, main zebra crossing say cross ker raha tha keh ik "bari gari" walay sahab is baat ki perwah kiyeh bagher kay koii buzurg shaqs wheel chair per hay gaary ka horn bajatay hue bazeed thay keh hum rusta unkay liyeah choor dain..
zindagi main pehli baar, mainay dill khool ker english main jitni gaaliaan aaty thin un sahab ko diN, aur unka door khool ker unko itni khari khari sunaii kay unko apni amma huzoor say ama hawa tuk sub yaad aagaye hongay... hum bhi kiya musalmaan haIn sahab..
aabad rahyea..ameen
Khayal-ger