4
Assalam-o-Alaikum
Aaj buhat dinoo'n baad udasi ka dorah para yaha'n aana huwa aur bila wajha bus aisey hi hi kuch lines likh dali'n aap bhi perhye
Bus aisey hi
Mujhey is sey buhat muhabbet hey mai’n jub kabhi bhi dukhi hota hoo’n iskey pas chala aata hoo’n ye mujhey buhat achi terha samjhta hey mairey mizaj ko samajhta hey kisi achey dost ki terha, halki halki sergoshiyoo’n mai’n mujh sey batai’n kerta hey aur maira dukh apney ander samo laita hey mairey aanso apney ander samait laita hey kisi ghumgusar ki terha, ye maira sub sey acha dost hey be gherz aur is matlabi dunia sey bilkul mukhtalif kisi sachey sathi ki terha, mai’n jub jub is key pas aaya mairey ander ek sakoon sa uter jata hey aur mai’n ghantoo’n dunya-o-mafiha sey be khaber sirf isey takta rehta hoo’n aur aaj phir mai’n buhat udas hoo’n aur na janey kyoo'n Ibn e Insha key ye ashaar mairey laboo'n per hai'n
Ye Saraaye hai, yahaaN kiss kaa Thikana poocho
YaaN tau aatay haiN Musafir, so chalay jaatay haiN
HaaN yehi naam thaa, Kuch aisa hee chehra mohra
Yaad paRta hai kay ayaa thaa musafir koii
Soon-e-aaNgun maiN phira karta thaa tanha tanha
Kitni gehri thee nigahouN kee udaasi uss kee
Loug kehtay thay kay hoga koii aaseb zadah
Hum nay aisii bhee koii baat na uss maiN dekhi
Ye bhee himmat naa hui, pass biTha kar poochaiN
Dil ye kehta thaa koii dard ka maraa hoga
LouT ayaa hai jo awaaz na uss ki paii
Jaanay kiss dar pay kissay jaa kay pukara hoga
yaaN tau har roz ki baataiN haiN ye jeetaiN maataiN
ye bhi chahat kay kissi khail maiN haraa hoga
Aik tasveer thi kuch aap say milti julti
Aik tehreer thi, par uss ka tau qissa choRo
Chund ghazlaiN theeN kay likheeN, kabhi likh kar kaaTeeN
Sher achay thay, jo sunn lo tau kaleja thaamo
Buss yehi haal musafir ka thaa hum nay dekha
Jaanay kiss rah maiN kiss shakhs nay looTa uss ko
Guzra kartay haiN sulagtay huvay baaqi aiyaam
Loug jub aag lagatay haiN, bujhatay bhi naheeN
Ajnabi peet kay maarouN say kissi ko kiya kaam
BastiyouN walay kabhi naaz uThatay bhee naheeN
Cheen laitay haiN kissi shakhs say jee kaa araam
phir bulatay bhee naheeN, pass biThatay bhee naheeN
Aik din subah jo dekha tau saraye maiN na tha
Janay kiss Des gaya hai woh deewana, dhoondho
Hum say poocho tau, na aye ga woh jaanay wala
Tum tau nahuq ko bhaTaknay ka bahana dhoondho
yaaN tau ayaa jo musafir youN hee shub bhar Thehra
yeh saraaye hai ... yahaN kiss ka Thikana dhoondho?
shayed in ashaar key peechey mujhey apna ya ksi apney ka aks dikhai daita ho aur aisey mai'n serd mousam ki thandi hawa mairey zakhmoo'n key khurend ukhar daiti hey aur un sey rista mairi yadoo'n ka khoon qatra qatra mairey dil per tapakta jata hey,mai'n aaj phir apney kirchi kirchi wajoud ko samaitney is key pas aaya hoo'n, aap ager jana chahtey hai’n tu chaley jai’n keh mai’n aaj kafi dair baithoo’n ga iskey pas buhat dinoo’n baad aaya hoo’n aur buhat kuch hey aaj is sey kehney key liye keh ye Samander hi tu maira sub sey acha dost hey
Last edited by Lost Passenger; 12-22-2012 at 06:24 PM.
"READY TO DIE FOR MOHAMMAD (SAW),
FIRST
TRY TO LIVE FOR HIM"
*~Princess Pari~* (12-22-2012), Malik Boota (12-27-2012), Savi Abbas (01-01-2013)
Bohot Bohot Umdaa Tehreer .................!!!
Udaas ahsaasaat o jazbaat ney goya dil ko bhi Anjaney Dard k hisar me le liya............!!!!!
Waqai samnder ko dekh kr har shakhs key apney ahsasaat hotey hain.............
Allah tala apko khush rakhey................!!!ameen
aap sey request hey k aap apni tahareer google urdu translitration pr likha kigye....!!!is sey prhney me kafi asaani ho jati hey...
Type in Urdu - Google Transliteration
کچّا سونا ہی
!!...بنتا ہے کُندن
اِک دِنِ نکھرے گا
!!...سچّا ہے گر، فن
کیسے روک سکے
!!..خُوشبو کو گلشن
امجد میرے ساتھ
!!..اَب تک ہے بچپن
Bohot Khoobsoorat khayal sohail bhai..............aap MashaAllah apne khayaal ko bhi bohot ache alfaaz dena jante hain...aur phir aaj toh aap ne apni tehreer ko ibn-e-inshaa ke alfaaz se saja dia..bohot shukria shair karne ke liye...
اے اہل نظر ذوق نظر خوب ہے لیکن
جو شے کی حقیقت کو نہ دیکھے وہ نظر کیا
mashllah!!!! Adda saien dair se aane ki mazarat magar aap ko jab bhi parha hai lafzon ne dil ko chuwa hai .....mehsoos karien tou udasi aur samndar main kafi cheezien mushtarik hain samndar bhi udas mood ki tarahn bekinar aur baikaran hota hai magar mizajan qadre mukhtalik aik doosre se..... udasi sukoon cheen lena chahti hai jabke samndar rooh main sukoon bhar deta hai.
superbly exressed i really liked the basic concept of this writing!!!! May mola bless you..thanks alottt