9
Asslam o Alikum to All FK friend,
Umeed karta hoon k aap sab khariyat se hoon gay....
Friens aap sab ne bohat si books ya novals parhay hoon gay. jab hum koi book parhtay hain to un main se aisay fiqray hotay hain jo dil ko choo jatay hai. Jaisay Mujhay Umaira Ahmed k noval "Peer e Kamil" Se yeh acha laga.
"Zindgi main kabhi na kabhi hum iss maqam per aa jatay hain. jahan saray rishtay khatam ho jatay hain. wahan sirf hum hotay hain. aor Allah hota hai. Koi maa baap koi Behn bhai koi dost nahi hota. phir hamein pata chalta hai k hamaray paoon k neechay zameen hai aor naa sir k ooper Asmaan. Bas ek Allah hai jo hamein iss khala main thamay huay hai. Phir pata chalta hai hum zameen per pari matti k dhair main ek zarray ya darakht per lagay huay aik pattay se ziaada ki wuqqat nahi rakhtay phir pata chalta hai k hamaray honay ya na honay se sirf hamein farq parta hai. Kissi cheez per koi asar nahi parta."
Friends aap ne aisa hi koi paragraph koi jumla jo aap ka bohat favourite raha ho share karna hai.
Aap sab ki Duaoon Ka Talib.
Tehseen
پھر مجھے دل بیقرار کرنے لگا ہے
پھر کسی کا انتظار کرنے لگا ہے
پھر سے چاہتا ہےہاں پل وہ خوشی کے
پھر کسی سے یہ تو پیار کرنے لگا ہے
یہ دل کو ہوا کیا ہے
allfun4u (08-07-2011), bhatt (07-10-2012), chsaadahmad (10-14-2010), dead_soul (09-16-2010), Dia_Komal (10-15-2010), fairy_land78 (04-24-2011), FIAZ AHMED (09-17-2010), hmfahad (09-07-2010), king awan (09-16-2010), niwara (06-13-2011), Nudrat Mushtaq (03-11-2011), ѕмαяту ¢αт (09-04-2010), paluse (09-04-2010), pani (09-07-2010), redsugar (05-10-2011), sarah09 (06-26-2012), shahida liaquat (11-21-2010), Sukot e Shab (02-13-2011), sumera maqsood (12-26-2010), Sweet Pakistani (02-14-2011), tearful_smile (03-22-2011), `BaaRisH` (12-29-2010)
twilight ki line mjhe bht pasand i...
AND SO THE LION FELL IN LOVE WITH LAMB......
---------- Post added at 09:40 AM ---------- Previous post was at 09:28 AM ----------
and darbar-e-dil ki ye lines
ALLAH sey reham mangna chahye,ALLAH reham kry ga to bhook men khana b dey ga,jaib men ropiya b dey ga, badan per kpra b dey ga, tkleef sey nijaat b dey ga, bemari men shifa b dey ga...agr wo rehm kry ga to...wrna wo ya to dolat dey ga ya izzat ya shuhrat ya mhabbat ya wo khas cheez jo tum mango ge...lekin tm aik wqt men akhir kitni cheezen mango gy kch na kuch to bhool jae ga...mgr rehm mangney sey sb kch mil jata hy
Main phir Madinay main tha...
aur Madinay main hona kesa hota hai...
jesay qasar e alhamra k hisar ki aik shikasta deewar par maxico k shair ekaza k ye misray kundah dekhai detay hain jo usnay gharnata main aik andhay gadagar ko dekh kar likhay thy..
"aye aurat,is gadagar ko bheik do
k gharnata jesay sheher main hona..
aur ankhoon say mehroom hona..
zindagi main is say bari aziyat aur koi nahi.."
tou woh gharnata tou mehez aik konpal thi..
tou mehez aik konpal ki us shajar e GUL REEZ say kiya nisbat jis ki shakhoon say aisi..gharnata jesi hazaroon konplaian phuti thin..
aik gharnata aik konpal aisi thi tou jis shajar..Madinah say woh phuti thi woh kesa hoga..
Madinay aisay sheher main tou insaan beshak andha bhi ho tou ye bhi uski sab say bari khush qismati hogi..
Madinay main hona aisa hota hai....
Ghar e Hira main aik raat....... Mustansar Hussain Tarar
Kaun kehta hai zindagi main kisi say aik bar muhabbat hojanay k baad uss say nafrat hosakti hai,jo kehta hai woh duniya ka sab say bara jhoota hai.Cycle of replecment main sirf muhabbat ki replecment nahi hoti.Khud ko fareeb denay k bawajood hum jantay hain k humaray wajood main khoon ki gardish ki tarhan basnay wala naam kis ka hai.Hum usay apnay wajood say nikal kar nahi phaink saktay,teh dar teh us par dosri muhabbatoon k dhair lagaye jatay hain,kehtay jatay hain hum ab iss say muhabbat kartay hain,hum ab uss say muhabbat kartay hain lekin jo ziyadah door hota jata hai woh aur qareeb ata jata hai aur woh humaray dil aur demagh k uss hissay main ja punhach hai k jahan say kabhi agar humay usay niklana paray tou phir uss k baad hum normal zindagi guzarnay k qabil hi nahi rehtay hain
Amar Bail-Umeera Ahmed
Al mezan k qasbay k qareeb humnay aik martaba phir dariya e duyaro uboor kiya.agla qasba Madina silli tha jahan hum 10 bajay k qareeb puhach gaye.qasbay say bahar hum aik qehwa khanay main nashtay k liye ruk gaye.Mere samnay araboon ka Madiah Salim khushk aur banjar pahariyun k darmiyaan aik umer rasidah burahay ki manind taiz dhoop main sasta raha tha.zindagi ki hararat aur gehma gehmi say yaksar aari,aik mamoli aur ghair moa'asar qasba.Al Mansoor bin aamir yahin kahin in sufeed makanoon aur chatiyal pahariyun talay abadi neend so raha hai.
Qurtaba k aik wakeel ka beta aamir jis k liye darbar main aik mamoli aarzi navees ki mulazmat us sunheri zenay par pehla qadam sabit hoi jis ki mairaj usay unduls ki wizarat e uzma tak lay gai.zamana e talib e elmi main Masjid e Qurtaba k sayhan main usay behad sanjidah aur khamoosh dekh kar us k dostoon ne pucha "aamir tum aaj itnay khamoosh kiyun hoo?"
uss ne nihayat matanat say jawab diya"main us waqt k baray main soch raha hoon jab mujhe undulus ki wizarat e uzma pe faiz hokar iss mulk k tamam masail hal karna hoonge."uss k dost behad mehzooz hoye aur hansnay lagay.aamir ne ghusay say kaha"main waqai anqareeb undulus ka wazir e azam honay ko hoon.abhi waqt hai apnay liye jo kuch mangna hai, mang lo."aik ne malqah k qazi bannay ki khawahish ka izahar kiya.dosray ne police k hakim e aala ka ahudah manga.teesaray ne kaha "mujhe baghat ka shoq hai.main Qurtabah k angooron k baghoon ka nigran banna pasand karon ga."chothay dost ne agay barh kar mansoor k gal par aik tamancha raseed kiya aur haqarat say kehnay laga" teri agli 12 pushtoon main bhi koi agar undulus ki wizarat e uzma tak punhach jaye to mujhe ghadhay pe ulta sawar kar k sheher main gasht karwana."chand baras bad Qurtabah k bachoon k jamm e ghafeer k darmiyaan yehi talib e elim ghadhay pe ulta sawar uss roz e bad ko koos raha tha jab uss ne apni razamandi say iss khawahish ka izhar kiya tha.
Undulus main Ajnabi- Mustansar Hussain Tarar
Yaadain bhi humaray saath kabhi kabhi kesay khail kahilti hain.Ye humain woh sab soch kar hansnay par majboor kar deti hain jab hum kabhi kisi k saath mil kar roye thy...........,aur kabhi humain ye soch kar ronay par majboor kar deti hain k hum kabhi kisi k saath mil kar hansay thy.
ye barishain bhi kitni ajeeb hoti hain,kabhi to sari umer bhi musladhar barasti rehain,tab bhi insaan ka ander nahi bhigho patin,aur kabhi har pal humaray maan ko jal thal kiye rakhti hain.lekin bahar waloon ko iss ki khabar nahi hoti.
Khuda aur Muhabbat.Hashim Nadeem
hamara har amal har lafz har qadam hamaray liye ayena ban jata hai. jis main ya to beyabaani nazar aati hai ya phir phool hi phool. Aor hamain apnay amaal ka payala pakar kar uss main se guzarna parta hai. Aor zulam to yeh hai. . K in hi rastoon per hum apnay piaaroon ko bhi dhakail detay hain. Apni khushi ki khatir..
Drama seriel Ansoo.
Zavia k andar aik topic hai
"Hazrat Saleh ki unthni aur Pakistan
uska akhri para bohat pasand hai
Uploaded with ImageShack.us
Tou Arafat bahar hai.....roshan aayaan....amnay samnay..duniyavi haqeeqatoon ka samna kartay hoye...aur muzdalfah ander hai..raat ki tariki..apnay aap main gum..apna samna kartay hoye..iss lamhay muzdalfah ki shaab ki siyahi main lakhoon log meri tarhan khulay asman to taktay hongay..kuch ebadat main magan..kuch neend main gum..khulay asman talay pehli baar footh pathoon,shahrahoon,bus stands k aas pass,ghatiyun aur bulandiyun par yun raat guzartay hoye..tou unki kaifiyat kiya hogi..un k tay shudah nazariyaat zindagi guzarnay k darham barham nahi ho gaye hongay..aali shaan gharoon..mehlaat aur qiloon k basiyun k liye ye raat kiya unhain asmaanoon say utar kar zameen par la kar khak pe khak nahi kar rahi..kisi aik bhi fard ki aaj raat koi haisiyat nahi,duniyavi waqr,shaan o shauqat nahi aur na hi koi aik fard sar utha kar ye keh sakta hai k main tum say afzal hoon k yahan sab k sab aik hi satah par aachukay hain..be shak lakhoon log aap k hamsaye hain,iss asman talay abad hain lekin iss k bawajood aap yakser tanha hain..na sirf akelay hain balkay aapka koi postel address nahi hai...aap be nishaan aur be patah hain..yahan koi gali muhalla nahi..koi isharah nahi k ye falan elaqah hai..koi bazar nahi,koi deewar,koi chaat nahi..koi ghar nahi tou patah kesay hosakta hai..koi agar aapko khat likhay tou kis patay par likhay..janab tarar sahab..gali na maloom..ghar na maloom..bas aik buland goshay main reet par letay hoye..sheher e muzdalfah..tou iss patay par tou khat punhachnay say raha..yahan bas aik hi khat barah e raast aap tak punhach jata hai jo baray post master sahab ki janib say bheja jata hai aur woh khoob jantay hian k aap kahan hain..
Munh Wal Kabay Shariff........Mustansar Hussain Tarar.
aap ka shukria....... k aap ne aik bohat achi baat hum se share ki.
Allah hum sab ko iss per amal karnay ko tofeeq day.(Ameen)
---------- Post added at 10:35 AM ---------- Previous post was at 10:33 AM ----------
Its so nice share kartay taha kijiye aisay hi.....