9
Asslam o Alikum to All FK friend,
Umeed karta hoon k aap sab khariyat se hoon gay....
Friens aap sab ne bohat si books ya novals parhay hoon gay. jab hum koi book parhtay hain to un main se aisay fiqray hotay hain jo dil ko choo jatay hai. Jaisay Mujhay Umaira Ahmed k noval "Peer e Kamil" Se yeh acha laga.
"Zindgi main kabhi na kabhi hum iss maqam per aa jatay hain. jahan saray rishtay khatam ho jatay hain. wahan sirf hum hotay hain. aor Allah hota hai. Koi maa baap koi Behn bhai koi dost nahi hota. phir hamein pata chalta hai k hamaray paoon k neechay zameen hai aor naa sir k ooper Asmaan. Bas ek Allah hai jo hamein iss khala main thamay huay hai. Phir pata chalta hai hum zameen per pari matti k dhair main ek zarray ya darakht per lagay huay aik pattay se ziaada ki wuqqat nahi rakhtay phir pata chalta hai k hamaray honay ya na honay se sirf hamein farq parta hai. Kissi cheez per koi asar nahi parta."
Friends aap ne aisa hi koi paragraph koi jumla jo aap ka bohat favourite raha ho share karna hai.
Aap sab ki Duaoon Ka Talib.
Tehseen
پھر مجھے دل بیقرار کرنے لگا ہے
پھر کسی کا انتظار کرنے لگا ہے
پھر سے چاہتا ہےہاں پل وہ خوشی کے
پھر کسی سے یہ تو پیار کرنے لگا ہے
یہ دل کو ہوا کیا ہے
allfun4u (08-07-2011), bhatt (07-10-2012), chsaadahmad (10-14-2010), dead_soul (09-16-2010), Dia_Komal (10-15-2010), fairy_land78 (04-24-2011), FIAZ AHMED (09-17-2010), hmfahad (09-07-2010), king awan (09-16-2010), niwara (06-13-2011), Nudrat Mushtaq (03-11-2011), ѕмαяту ¢αт (09-04-2010), paluse (09-04-2010), pani (09-07-2010), redsugar (05-10-2011), sarah09 (06-26-2012), shahida liaquat (11-21-2010), Sukot e Shab (02-13-2011), sumera maqsood (12-26-2010), Sweet Pakistani (02-14-2011), tearful_smile (03-22-2011), `BaaRisH` (12-29-2010)
Humara mazhab degar mazahib say yun bhi mumtaz hai k iss ki buniyad haqeeqat aur tarekh hai..Rasool Alllah Salal Lahu Alahay Wa'allayhi Wassallam ki hayat ka har lamha darj hai..har din mehfooz hai..har muqaam ki nishandahi hai..jahan woh paidah hoye thy..jis rastay par unhain godh main uthaye hoye Abdul Mutalib Razi Allahu Ta'allah Anhu Khana Kaaba ki janib gaye thy..Halima Sadia Razi Allahu Taallah Anha unhain uthaye dodh pilanay k liye kis qariyah main lay kar gai thin..Jabil e Hira ki bulandi par jo ghar tha wahan punhanchnay k liye Huzoor Salal Lahu Alahay Wa'allayhi Wassallam kaunsa rasta ikhtiyar kartay thy aur kahan Amman Khudeja(Khatijah) Razi Allahu Taallah Anha ka ghar tha jis main woh kapkapatay hoye aye thy aur unhain siyah kambal orhaya gaya tha..Safah ki kis pahari par kharay hokar unhoon ne apne Rasool hone ka elan kiya tha..Madinay main kaun say kuwain say pani piya tha.Qaswa kahan bethi thi..gharz k har lamha aur har muqam darj hai..aur ye bhi k kaun si ayat kis hawalay say kis muqam par utri thi...
Ghar e Hira Main Aik Raat...Mustansar Hussain Tarar
Kartay raha karoon ya KartI raha karoon tehseen,:-)?[/QUOTE]
Oho Sorry g. main samjha aap male ho. very sorry. karti raha karein. g........... khush rahein...
---------- Post added at 08:39 AM ---------- Previous post was at 08:37 AM ----------
bohat hi khoobsoorat.
lagta hai aap ko muntansar Hussain bohat passand hain........
mera naam MAMIN hai Momin nahi:-).
mujhe safar namay parhna behad pasand hain,ibn e insha k aur tarar sahab k safar namay bohat dilchasp hotay hain is liye inhay ziyadah parha hai.aur Ghar e Hira main aik raat aur Munh wal Kabay shareef k hawalay hi itnay mazboot hain k parhay bina raha nahi gaya.
and sorry tehseen i don't make friends,hope you don't mind.
Riwayat say pata chalta hai k Malika e Arab ne jinhain Sarkarul Aalameen Salal Lahu Alahay Wa'allayhi Wassallam ki manahkehaat main anay say qabal har tarhan ki asaishaat e zindagi hasil thin,apni zaat ko Haram e Nabvi Salal Lahu Alahay Wa'allayhi Wassallam main dakhil honay k baad apnay muqaddas shuhar ki taqleed main sadgi na namuna bana liya tha.....abhi shaadi hoye ziyadah muddat nahi guzri thi k aik roz Rasool Allah Salal Lahu Alahay Wa'allayhi Wassallam ghar tashreef lay....Aap Salal Lahu Alahay Wa'allayhi Wassallam ne dekha k Khudeja(Khatija) Razi Allah Ta'allah Anha matti k tabaq main kuch kha rahi hain,Aap Salal Lahu Alahay Wa'allayhi Wassallam ne daryaft farmaya,
"Khudeja(Khatija Razi Allah Ta'allah Anha) ! ye kiya hai jisay tum mazay lay kar kha rahi hoo?....."
Sayedah Khudeja(Khatija Razi Allah Ta'allah Anha) ne jawab diya:"Huzoor Salal Lahu Alahay Wa'allayhi Wassallam! joo ka daliya hai."
Aap Salal Lahu Alahay Wa'allayhi Wassallam ne farmaya:" ye tum mujhe day detin aur apnay liye roti paka letin."
Sayedah Khudeja(Khatija Razi Allah Ta'allah Anha) ne muskura kar arz kiya:
"Huzoor Salal Lahu Alahay Wa'allayhi Wassallam! jis dil main aapki muhabbat ho,woh dil faqeeri ka talib hojata hai."
Humari Maa-Dr.Aamir Liaquate Hussain.
Subhaan Allah.
main kab se wait kar raha tha k aap ne kuch naya share nahi kia... thaks......
---------- Post added at 04:54 PM ---------- Previous post was at 04:53 PM ----------
koi baat nahi mamin.........aap youn hi likhti raha karien..........
Ab khana e Khudeja(Khatija) Razi Allah Ta'allah Anha main Quraan Majeed aur Seydna Ali Razi Allahu Ta'allah Anhu aik saath parwaan charh rahay thy.....nihayat mutabbarak aur rooh parwar mahool main,kainaat k adeem ul misaal joray k saaya e aatifat main syedna Ali Razi Allahu Ta'allah Anhu ko Quraani talimaat aur feham o hikmat par jo aboor hasil hua woh aur kisi k hissay main na aya kiyun k khana e Khudeja(Khatija) Razi Allah Ta'allah Anha main nazol e wahi k baad Anhazrat Salal Lahu Alahay Wa'allayhi Wassallam az khud aayat e mubarkah k mafaheem o matalib Seydna Ali Razi Allahu Ta'allah Anhu ko samjhatay.....Aap Salal Lahu Alahay Wa'allayhi Wassallam khud Seydna Ali Razi Allahu Ta'allah Anhu k muaalim thy.....Sahib e Wahi say behter aalim e Quraan aur kaun sikha sakta tha isi baais bargah e Nabvi Salal Lahu Alahay Wa'allayhi Wassallam say Seydna Ali Razi Karam Allah Wajhau ko "Baab ul Aalim" k laqab say sarfaraz kiya gaya.
Humari Maa-Dr Aamir Liaquate Hussain.
---------- Post added at 02:55 PM ---------- Previous post was at 02:51 PM ----------
Emaan k shishay pe kitni hi gard aur mitti kiyun na hoo,usay saaf kiya jasakta hai.bas sirf aik haath pherna parta hai aur shishay main say aks nazar ana shoro hojata hai aur phir har haath k saath aks pehlay say ziyadah saaf aur chamakdar hota jata hai.....aur woh haath uss muhabbbat ka hota hai jo Emaan say hoti hai.
Eman,Umeed aur Muhabbat-Umeera Ahmed
PEHLA SAJDA
Theek 8 bajay Molvi sahab nay zoar say takbeer parhi aur uss hi lamhay meray zehan mai Uncle Urfi ki ta'arrufi mauseeqi bajna shuroo hogayi.Main apnay khayalon mai iss qadar magan tha kay mujhay rukoo mai jana tab yaad aaya jab saari jamat rukoo say sir utha chuki thi aur meri zindagi ka pehla sajda TV kay dramay k khayalat ki nazar hogaya.Kesa kaccha pakka sa sajda tha, maatha zameen per, aankhain irdgird, zehan satwain aasman say bhi kahin door atka hua.Jab pehlay sajday mai Molvi sahab nay meri bisaat say kuch ziaada hi dair laga di tu main uljhan aur jaldi mai khud hi uth betha,tab saath hi namaz parhnay walay nisbatan bari umar kay larkay nay jaldu sat mujhay kheench kar dobara sajday mai "pohncha" diya.
Tab say lekar ab tak meri zindagi ka her sajda utna hi namukammal,utna hi jaldbaazi mai kiya gaya adhoora aur bedili say sir patakhnay kay barabar hai jitna bay faaida, jhoota aur munafiqat say bhara mera pehla sajda tha.Main laakh koshish karta hoon k koi aik sajda tu uss riyakaari,jhoot,dikhaway aur munafiqat say pak hojaye.Kabhi tu mera maarha zameen per tiknay kay baad uss ki raza pakar hi waapis uthay.....Laiken afsos meri yeh adhoori khuwahish aaj tak adhoori hi rahi.
BACHPAN KA DECEMBER by HASHIM NADEEM KHAN
---------- Post added at 04:50 PM ---------- Previous post was at 04:50 PM ----------
Qudrat ne hum insano ko unki kum maigi ka aihsas dilany k liye is dunya mai jin aur bht se cheezon ka aihtimam kar rakha hai,waheen bhook bhi in majboorion mais e aik hai,bara se bara qud awar aur shehzor is majboori k agey bebas hai.
Aur aziz se aziz tareen rishta bhi bhook k is aihsas ko mita nhn sakta hai. Hum apny aas paas roz kaise kaise dildaron ko jaan se ziada aziz rishton ko khud se juda hota aur marta hua dekhty hain.In se jurey bebas insan jo us lamhe khod ko bhi mit'ta mehsoos kar rahe hoty hian. Jin ki bhook piyas sub khatam ho chuki hoty hai,jinhe ye mehsoos hota hai k is bejan jisam k sath chal nhn pain ge.Jin ka hur aihsas is lamhe mitti ho chuka hota hai, lkn 24 ya 48 ghanton ki mukhtasir muddat k baad hi ye maida insan ko uski kum zarfi,bebasia ur majboori ka iahsas dilany k liye jaag uth'ta hai,bhook usy satany lagty hai.
Insaan apny ander apny aap se hi nafrat aur shurmindagi mehsoos karny lagta hai k abhi chund ghanton pehle hi tu wo apny ander kitny barey barey dawey kar raha tha. Mitti k sath mitti mai mil jany k dawey, sub tiyag deny k dawey, lkn such ye hai k insan se ziada bebas makhlooq bhi dosri aur koi nhn. Han albatta aise moqon per usi k jaise dosre insano k banae hue khod sakhta usool usi k kaam ajaty hain aur sharam ka kuch parda reh jata hai. Koi kehta hai "Maiyat k ghar teen din khana nhn pakey ge,bhala is soog mai in beechaqron ko khaney peeny ka hosh kahan hoga? dosra kehta hai, han han theek hai, pehle din ka kahna tu hamare ghar se hi aye ga, dosra dosre din ka aur koi teesra teesre ka wadey kar k wahan se uth atey hain. Wo sub janty hain k kal jub un k ghar mai ye matam hoga tu tub bhi yehi sub uski dil joi ko wahan mojood hnge. Uski sharam ka parda rakhny mai uski madad karen ge . kisi ne such hi kaha hai "Insaan behtreen ma'asharti janwar hai."
Book:KHUDA AUR MOHABBAT
Writer: Hashim Nadeem Khan
The Higher The Voice The Smaller The Intellect.....
Hazrat Abu Hurera Razi Allahu Ta'allah Anhu farmatay hain k Rasool Allah Salal Lahu Alahay Wa'allayhi Wassallam nay irshad farmaya k aakhri zamnay main baray baray makar aur jhootay log paidah hoongay jo tumhain woh baatain sunain gay jo na kabhi tumnay suni hongi aur na tumharay baap dada nay.....tum un say bachna aur unhain apnay say bachana.....kahen woh tumhain gumrah na kar dain aur fitnay main na dal dain....mujh jaisay Sarkar ul Aalameen Salal Lahu Alahay Wa'allayhi Wassallam k ghulamoon k ghulam ki ajizana raye ye hai k yahan jis giroh ki taraf Aaqa Kareem Salal Lahu Alahay Wa'allayhi Wassallam nay ishara farmaya tha woh zahir ho chuka hai aur ye giroh hai asar e hazir k roshan khayal aur ayetedaal pasand mutajadedeen ka,jo un hasitiyun k gird bhi sarhadain qaim karnay ki koshish karta hai jin k adab ki obteda hi had khatam kar k hoti hai.....ye woh log hain jin k diloon par quful paray hain.....bad aqeedgi ki gard nay jin k shaoor k khaliyat ko dhanp rakha hai....woh sochnay samjhnay ki salahiyat tou rakhtay hain magar aqaaid k khilaf inhain har woh daleel ghair mantaqi lagti hai in k aqal parast zehan k liye qabil e qabool nahi.....ye har cheez main mantaq talash kartay hain halan k ab tak is amar ki mantaq na lasakay k woh khud iss duniya main kiyun hain?
Aasaar e Qayamaat-Dr.Aamir Liaquate Hussain.
---------- Post added at 10:26 PM ---------- Previous post was at 09:17 PM ----------
Ajeeb behuda aur holnak qisam ki jagah thi.uper say bakhshu(C.P.O) k holnak naray aur cuations......adhay ghantay main hi mera jisam pasinay main sharabor hogaya aur tangain laraznay lag gai thin lekin bakhshu nay puray do ghantay mujh sameet baqi cadidtes k jisam ka sara tail nikal janay k baad hi humain wahan say janay diya.waqai pehli extra drill ki saza k bad insaan ko jis cheez ki sab say ziyadah zarorat mehsoos hoti hai woh "Stretcher" kehlati hai lekin iss k saath saath aik ajeeb baat aur bhi hoi.rafta rafta humaray diloon say iss saza ka khauf bhi jata raha.shayad insaan ko jis cheez say jitna daraya jaye uss cheez ka samna hojanay k baad usa khauf utni hi teezi say khatam hojata hai.kabhi kabhi main sochta hoon k acadmey ki intezamiya humain saza denay k bajaye sirf saza ka dar humray dil main banaye rakhti tou shayad hum kabhi apni hadain par na kartay....
Bachpan Ka December-Hashim Nadeem Khan.
sorry tehseen i'm unable to write down the answer at your profile,there is some problem accure in my profile.
anyways,thanks for your concern,i'm perfectly alright now.Allah Saain ka karam hai.
---------- Post added at 10:28 PM ---------- Previous post was at 10:19 PM ----------
Humara elqah jesa hum chor kar jarahay hain wesa hi humain wapas milna chahiye.Nazimabad ki bari sarak ko tor kar chand haftay pehlay jo patharoon ki dheriyaan laga di gai thin woh humaray anay tak lagi rehni chahiyain woh bohat romantic maloom hoti hain.humne apnay dostoon aur milnay waloon ko ye shair likh bheja hai k
inhi patharoon pe chal kar agar aasako tou aao
mere ghar k rastay main koi rasta nahi hai.
Paposh nagar k qabrustan k samnay jo main hole kai mah say khulay paray hain unko bhi band karnay ki koshish na ki jaye kiyun k kisi shakhs ka murdah in main say nikal kar wahin samnay dafan kar dena kahen ziyadah kam kharch hai,ba nisbat is k uska janazah usk ghar say laya jaye.
corporation k health officer sahab bhi note farma lain k allama iqbal town main humaray ghar k saath jo kuray ka falak boss dhair hai woh wahan say na hatay warna hum aahbab ko apnay ghar ki kiya nishani batya karian ge.ab tou log door door say bila kisi say daryaft kiye mehez songhtay hoye wahan punhach jatay hain.
Ibn e Batoota k Ta'aqub main-Ibn e Insha
Chalo Allah ka Shukar hai k uss ne aap ko sehat atta ki....... meri profiles per aap is liay nahi likh saki k aap ki posts pohat kam hain mera khial hai k aap ki posts 50 tak honi chahiay wahan liikhnay k liay.........
thanks for sharing a new intresting post.........