9
Asslam o Alikum to All FK friend,
Umeed karta hoon k aap sab khariyat se hoon gay....
Friens aap sab ne bohat si books ya novals parhay hoon gay. jab hum koi book parhtay hain to un main se aisay fiqray hotay hain jo dil ko choo jatay hai. Jaisay Mujhay Umaira Ahmed k noval "Peer e Kamil" Se yeh acha laga.
"Zindgi main kabhi na kabhi hum iss maqam per aa jatay hain. jahan saray rishtay khatam ho jatay hain. wahan sirf hum hotay hain. aor Allah hota hai. Koi maa baap koi Behn bhai koi dost nahi hota. phir hamein pata chalta hai k hamaray paoon k neechay zameen hai aor naa sir k ooper Asmaan. Bas ek Allah hai jo hamein iss khala main thamay huay hai. Phir pata chalta hai hum zameen per pari matti k dhair main ek zarray ya darakht per lagay huay aik pattay se ziaada ki wuqqat nahi rakhtay phir pata chalta hai k hamaray honay ya na honay se sirf hamein farq parta hai. Kissi cheez per koi asar nahi parta."
Friends aap ne aisa hi koi paragraph koi jumla jo aap ka bohat favourite raha ho share karna hai.
Aap sab ki Duaoon Ka Talib.
Tehseen
پھر مجھے دل بیقرار کرنے لگا ہے
پھر کسی کا انتظار کرنے لگا ہے
پھر سے چاہتا ہےہاں پل وہ خوشی کے
پھر کسی سے یہ تو پیار کرنے لگا ہے
یہ دل کو ہوا کیا ہے
allfun4u (08-07-2011), bhatt (07-10-2012), chsaadahmad (10-14-2010), dead_soul (09-16-2010), Dia_Komal (10-15-2010), fairy_land78 (04-24-2011), FIAZ AHMED (09-17-2010), hmfahad (09-07-2010), king awan (09-16-2010), niwara (06-13-2011), Nudrat Mushtaq (03-11-2011), ѕмαяту ¢αт (09-04-2010), paluse (09-04-2010), pani (09-07-2010), redsugar (05-10-2011), sarah09 (06-26-2012), shahida liaquat (11-21-2010), Sukot e Shab (02-13-2011), sumera maqsood (12-26-2010), Sweet Pakistani (02-14-2011), tearful_smile (03-22-2011), `BaaRisH` (12-29-2010)
apany mehboob bhatijay k nikah ki tamam tar tayariyun ka berah Abu Talib Razi Allahu Ta'allah anhu ne apnay dosh e natawan pe uthaya,ye unk liye nihayat purmussarrat lamha tha.....woh aik nihayat ayeham farizay say subukdosh honay jarahay thy......bil akhir tarekh moiiyan aa punhchi.....taqreeb e saeed ka din aa punhcha ......iss moqay per Hazrat Abu Talib Razi Allahu Ta'allah anhune aik sandooq main say apnay aaba o ajdad k tamam tar muqaddas tabbarukat nikal kar Aap Salallahu Alahay Waalahi wassallam ko libaas e fakhriah pahnaya,khandani shamsheer kamar main bandhi,angusht e mubarak main sabz yaqooti anghothi pahnai jo kisi zamanay main Aap Salallahu Alahay Waalahi wassallam k jadd e amjad Hashim ki zeenat e angusht hua karti thi,morosi siyah amamah sar par bandha,khandani aasa haath main thamaya aur Najeeb ghoray par sawar kar diya.
Humari Maa-Dr.Aamir Liaquate Hussain.
Syedna Usmaan Ghani Razi Allahu Ta'allah Anhu akhrat ki jawab dahi say isqadar azardah e khatir raha kartay thy k Aap ki darhi k baal jab sufeed hoye tou aainay main dekh kar ronay lagay,kisi ne pucha k Hazrat khair tou hai?.......Aap Razi Allahu Ta'allah Anhu ne farmaya maut ki nishani aachuki hai magar usmaan ne akhrat k liye tayyari nahi ki......
Syedna Usmaan Ghani Razi Allahu Ta'allah Anhu aik din Hazrat Abu Zar Razi Allahu Ta'allah Anhu say kehnay lagay: "Aye Abu Zar Razi Allahu Ta'allah Anhu! tumhay bataon main kis din faqeer hoonga?"........Hazrat Abu Zar Razi Allahu Ta'allah Anhu ne kaha:"Aap tou ghani hain Aap kiyun kar faqeer ho saktay hain?".......farmaya:"Abu Zar! jis din mujhe qabar main rakha jaye ga ye ghani faqeer ho jaye ga......."
Aasaar e Qayyammat-Dr.Aamir Liaquate Hussain.
yeh jo mayusi ka bhanwar hota hai yeh bada zaalim girdaab hota hia
uske kinaare kinaare per aadmi ghumta rahe to bachne ki kuch ummeed hoti hai lekin jab bohut gehra utar jaye to phir bachne ki koi aas baqi nahi rehti
isse pehle ki gum aur mayusi hamien fanaa karde hamein apne kamo mein gark ho jana chahiye
"Sab say pehlay tiddiyaan halak ho jain gi"
Hazrat jabir bin Abdullah Razi Allahu Ta'allah Anhu farmatay hain k Syedna Umer Razi Allahu Ta'allah Anhu k zamanay e khilafat main jis saal unki shahadat hoi thi us saal tiddiyaan kaam hogain jiski wajah say Syedna Umer Razi Allahu Ta'allah Anhu bohat fikarmand hoye aur inki talash main aik sawar Yaman ki taraf,aik Iraq ki taraf aur aik shaam ki taraf bheja take woh ye maloom karain k iss saal tiddi dekhi gai hai ya nahi.......jo sahab Yaman gaye thy woh aik muthi bhar tiddiyaan saath laye aur Syedna Umer Razi Allahu Ta'allah Anhu k samnay dal din,jab Aap Razi Allahu Ta'allah Anhu ne woh dekhain tou khushi main Allahu Akbar ka narah buland kiya aur farmaya k maine Rasool Allah Sallalahu Alehay Wa'alehi Wassallam say suna hai k beshak Allah Jal e shanahu ne (haivanaat ki) hazar qismain paidah ki hain jin main say cheehsoo(600) daryaai aur chaarsoo(400) khushki ki hain,aur in hi main say sab say pehlay (qayyammat k qareeb) tiddi hi halak hogi aur dosri (haivanaat ki) qismain yak e baad degaray halak hongi jesay kisi lari ka dhaga toot jaye tou yak e baad degaray danay girnay lagtay hain.....(alamat e qayyammat).
Aasaar e Qayyammat-Dr. Aamir Liaquate Hussain.
Federal Reserve Bank dar asal duniya bhar k bankoon ka bank hai.iss main sonay(gold) ki shakal main jo sarmaya mehfooz hai hum teesri duniya k log uski maliyaat aur hajam ka andaza bhi nahi laga saktay.yun janiye k y jo qadeem tar ka aik mehal nazar sa nazar ata hai jo Federal Reserve Bank hai iski khirkhiyaan khul jain tou iss main say sonay ki lakhoon intain(bricks) ubal ubal kar Wall Street par chalnay waloon ko Anarkali ki manind zindah dargor kar dain,sirf iss farq k saath k wahan mitti k intoon main woh chuni gai thi aur yahan sonay ki intoon ki deewaroon main woh dafan ho jain aur kaun sa aisa americi hai jo iss qisam ki tadfeen pasand na karay.....wesay iss bank say kabhi kabhar aik adh eneent(brick) asia aur africa ko bhi emdad k tor par ata kar di jati hai...aur phir bhi hum in naimatoon k liye america k shukar guzar nahi hotay...
New york Stock Exchange aik aur amerci khuda hai jo duniya bhar ki maishaat k faislay karta hai....main hisaab k mazmoon main hamesha say phasaddi raha hoon....is parchay main agar kabhi pass bhi hota tha tou riyaaiti number hasil kar k.....ye mamla sirf talib e elmi k dinoon tak hi mehdood na raha balkay baad main dunavi aur deeni hisab kitaab main bhi kura raha tou issk bawajood main khusoosi tor par iss hisaab kitaab ki emaraat(building) ko dekhnay k liye kiyun gaya...sirf iss liye k hum jesson ki qismaat k faislay asmanoon par nahi yahan hotay thy....yahan say dorr hilti hai tou humaray haan petrol mehnga hojata hai..double roti ki qeemaat main izafah ho jata hai aur attay ka theela humraya bas say bahar hojata hai.....
New York k Sau Rang-Mustansar Hussain Tarar
Walekum Assalam,jeetay rahiye,khush rahiye tehseen.
Alhamdulillah bilkul theek thaak hoon,yahin hoon ati tou hoon roz,kuch parh nahi pai aisa k likh sakoon tou likha nahi aur jo kuch parh chuki hoon woh sab itna zabardast hai k samjh nahi ata basa oqat k likhoon kahan say aur choron kahan say.