Ghaltiyan ,khatayn or laghzishain hmari zaat ka hissa hain q k hm insan hain... Hr Aib se Paak to sirf ALLAH ki zaat h. "Or insan to khata ka putla h" kotahiya'n to hoti rehti hain, mgr iska mtlb ye hrgiz nhi k hmary wo ghaltiyan hmara mustaqil hwala bn jayen. Asal tasur to us amal se zahir hota hai jo hm ghalti krny k bad krty hain. Maslan 1 acha insan wo hai jo ghalti k foran bad shrminda ho or uska azala krny ki koshish kre. Apne khuda ki traf toba k liye qadam brhaye. Aisa bnda ALLAH ko boht pasand hai.jb wo bar bar khata kr k uski traf lot-ta hai to wo frishton se kehta h "Dekho mera ye bnda bar bar khata krta hai mgr meri rehmat se mayos nhi hota or toba k liye aa jata hai, tm gwah ho jao k mai ne isy apni rehmat se bakhsh diya." Mgr kuch logon ko bht der bad ahsas hota h or kuch aisy hoty hain jinhy kbi ahsas ni hota q k unka dil sakht ho chuka hota h.Toba mai takheer zmeer or dil ko murda kr deti h
hi all.no discussion yet