All Pakistani Dramas Lists
Latest Episodes of Dramas - Latest Politics Shows - Latest Politics Discussions
Latest Episodes of Dramas - Latest Politics Shows - Latest Politics Discussions
-
03-24-2012 #1
- Join Date
- Mar 2007
- Location
- Quetta/ Karachi
- Posts
- 13,944
- Blog Entries
- 1
- Quoted
- 2282 Post(s)
Tabdeeli VOTE say asakti hay....................???? Ya hum doohkay may paray hain
Kiya society may aur qoom may tabdeeli POLITICS aur VOTE kay zariya asakti hay................???
Kiya Sahaba ki zindagi may tabdeeli aur un ki hookmarani POLITICS aur VOTE k zariya howe................???
Agar VOTE aur POLITICS he tabdeeli ka zariya hain tau uss waqt jab examples set ki jaa rahi theee'n qayamat tak anaay walay insano k kamiyab honay k liya tau kion nahi uss waqt SIYASAT aur VOTE ko zariya banaya gaya...............???
Yahan may aur ap hum sab SYSTEM ki awaaz laga rahay hain laikin kiya SYSTEM ko tabdeel kernay k TOOLS ko hum nay sahi CHUUNA hay................???
Kiya Khulafa e Rashdeen ko khilafaat hasil kerna paari ya unhay mil gaey...........???
-
The Following User Says Thank You to Ath3r For This Useful Post:
romesa (03-25-2012)
-
03-24-2012 #2
Expert Member
A Normal Human Being with Most
Common Flaws- Join Date
- Dec 2009
- Location
- Ali Pur
- Posts
- 13,023
- Quoted
- 1146 Post(s)
Re: Tabdeeli VOTE say asakti hay....................???? Ya hum doohkay may paray hain
زمانہ کچھ طبقات پر قیامت کی چال چل گیا، لیکن لکیر پیٹ گروپ ابھی بھی ٹس سے مس نہیں ہوتا
قیامت تک تبدیل نہ ہونے والی ضروریات کیلیے اٹل اور نہ تبدیل ہونے والے اصول
جبکہ وقت کے ساتھ تبدیل ہونے والی ضروریات کیلیے تبدیل ہونے والے اصول اور ان میں ترمیم کی وسیع اور لامحدود گنجائش
١- مذہبی طبقے کو مسلمانوں کی ترقی اور ارتقا میں روڑے اٹکانے کی بجاۓ اپنی منجی تھلے ڈانگ پھیرنی چاہیے. یہ تو خود ایک ہزار ایک تضادات کا مجموعہ ہیں
٢- اگر تو آج کے مسلمانوں میں صدیق، فاروق، غنی، شیر خدا اور صحابہ کرام رضوان اللہ اجمعین جیسے مخلص، عقل کو استعمال کرنے والے اور اسلام کو سمجھنے والے لیڈر موجود ہوں تو انکو اپنا مستقبل سونپنے میں مجھے کوئی عار نہیں. وگرنہ میں کسی خواص کے گروہ کو یہ حق نہیں دونگا کہ وہ میری مرضی کے بغیر مجھے عالمی منڈی میں ارزاں داموں فروخت کرتا رہے. اسکے علاوہ علم، شعور، ترقی، خوشحالی صرف خواص کیلیے ہی کیوں؟؟؟؟ یہ بنیادی انسانی ضروریات سب کیلیے کیوں نہیں؟؟؟
٣- جمہوریت کا ایک اور نتیجہ یہ ہے کہ معاشرے کا کوئی فرد بھی کسی بھی دوسرے فرد سے لاتعلق نہیں رہ سکتا. اگر "امر بالمعروف و نہی عن المنکر" اور خدا کی عطا کردہ نعمتوں کو اپنے بھائیوں سے شئیر نہیں کرو گے تو پھر غرق ہو جاؤ گے. یا تو اکثریت علم، ترقی و خوشحالی کے ثمرات یکساں اٹھاۓ گی، وگرنہ سارے ڈوبیں گے. میں خواہ کتنا بھی علم/شعور حاصل نہ کر لوں، جب تک نارتھ ناظم آباد یا تربت، یا صوابی کا ایک پاکستانی بھی بنیادی انسانی ضروریات کے اس درجہ پر نہیں آ جاتا ، اسکے ووٹ کے غلط استعمال سے میں پھر بھی ڈوبوں گا
المختصر مغرب کی صورت میں ایک طرف جمہوریت کے واضح اور حقیقی ثمرات ہیں جبکہ دوسری طرف صرف اور صرف باتیں. اگر مذہبی طبقے نے خلافت راشدہ کے بعد اسلام کے ارتقا کو نہ روکا ہوتا تو ان سب بھاشنوں کی قطعی ضرورت نہ پڑتی
-
03-24-2012 #3
Re: Tabdeeli VOTE say asakti hay....................???? Ya hum doohkay may paray hain
Assalamoalaikum ! Ather bhai wo bhi ek system hai or ye jamooriat bhi ek system hai.
Pehli baat ye hai kay koi bhi system kabhi acha nahi chal sakta jab tak usko chalany walon ki niyat sahi na ho, ye pehla point hai.
Aap kehtay hain kay agar voting hi asli tareeqa hota selection ka to ussi ko use kiya jata , sahi hai nahi use kiya gya (jo misaal aapnay di hai) laiken us kay khilaaf bhi kuch nahi kaha gya hai.
Ye 2 systems kay baray mai debate hai jo kafi barhi bhi ho sakti hai, laiken , in short iss system ki yahan agar naakaami aap ko nazar aati hai to wo is ko chalanay walon ki wajah say hai or is ki koi reason nahi hai.
Pakistan ko aaj kis cheez ki sab say ziada zaroorat hai ya is system kay fail honay ki sab say barhi reason kia hai????????????
Mai samajhta hun kay sirif 1 cheez sab say ziada zaroori hai , jo aagay khud hi har cheez ko sahi ker sakti hai or wo hai ADAL OR INSAAF , jab tak mazloom ko insaaf nahi milay ga or zalim ka haath nahi roka jaye ga , aap koi bhi system lay aao wo kabhi acha nahi chalay ga . Buri niyat kay sath agar koi khilafat system bhi chalana chahay ga to wo bhi fail hoga.
Hamaray system kay corrupt logon ko to aap aajkal kay hi achay logon kay sath compare nahi ker saktay to inn sab ka comparison aap kahan Khulfa e Rashdin kay sath ker rhay hain .
Apnay mafaad per jab bhi asoool ko qurbaan kiya jaye ga to kher ki umeed rakhni bekaar hai.
-
03-25-2012 #4
Junior Member
Edit>- Join Date
- Dec 2011
- Posts
- 117
- Quoted
- 17 Post(s)
Re: Tabdeeli VOTE say asakti hay....................???? Ya hum doohkay may paray hain
Janab "Ath3r" Sahib behtar raaste par hen aap. Sawaal karen - maaluumaat haasir karen - jo munasib lagen os par yaqiin kar ke sochen samjhen aur mustaqbil ke baaren main behtari ke raaste ikhtiyar karen aur dusron ko bhi is ka mashwara den. main apne "naqis" ilm se aap ke sawaalat ke jawaab de raha huun. apne khayalat se aagaah karen.
A(1) - Haan Muaashre main tabdiili siyasat ke zariye aa saktii he - lekin aap ko tartiib yaad dila deta huun. pehle Qaum main tabdiili - Jo sirif taaliim se aati he - phir Qaum ka siyasat ke amal main ache numainde chun lena - aakhir main ache numaindon ya hukumat ka behtar nizam aur qawaaniin banane se muaashre main tabdiili.
A(2-5) - Sahaba ki zindagi ya os muaashre main tabdiili sirif taaliim se aayi jis ka sabuut on ka islam qabuul karna aur os par amal karna he. jis tarah os zamane main safai ke liye "Saabun" aur safar ke liye machini zaraa-e nahii the isi tarah muaashre main "vote" ka nizaam ya tariiqa nahii tha. lekin Qurani Hukum ke mutabiq aur os waqt ke hisaab se Qabaaiili nizam ki munasibat se muntakhib logon ke mashware se Hukumraan ka intikhab huwa. Baaz logon ko is par aitraaz he aur har muaashre ya logon ke hajuum main sab ki raaye ik jaisi nahii hoti is ka bhi ahtraam karna chaaye. aap ko raaye maan leni zaruuri nahii lekin jo aksaryiat kii raaye ho os par muaashre ke nizaam ko chalna chaaye taake sukuun aur itmiinaan qaaim rahe aur baaqi logon ko is ka ahtraan karna chaayye. is ko jamhuuriat kehte hen.
Khulfai-e-Rashidiin aasmaan se nahii utre - ache log - ache hukumraan. baraah-e-meharbaani ilm-o-shauur ko riwaaj den. behatrii ka koii aur raasta nahii
-
03-25-2012 #5
Expert Member
not tired !!!!!!!!!!!- Join Date
- Dec 2008
- Posts
- 6,272
- Quoted
- 1835 Post(s)
-
03-25-2012 #6
-
03-25-2012 #7
Expert Member
not tired !!!!!!!!!!!- Join Date
- Dec 2008
- Posts
- 6,272
- Quoted
- 1835 Post(s)
-
03-25-2012 #8
-
03-25-2012 #9
Re: Tabdeeli VOTE say asakti hay....................???? Ya hum doohkay may paray hain
1. Yes and thats the only option left now.
2. Kia Sahaba computer use kartay thay jo app use kar rahay ho?
3. I think us time bhe Bayt hota tha. Khilaft nahi rahi tu yahi system hay isko follow karna parayga.
4. Agar hum sab Qanoon ko follow karaingay tu system khud ba khud change ho jaega.
-
03-25-2012 #10
Re: Tabdeeli VOTE say asakti hay....................???? Ya hum doohkay may paray hain
m bit confused too........sort of scattered thoughts.........what is making me really confused is him being a PMLN supporter and questioning the current form of democracy, which obviously pmln supports..........so is he asking these questions being neutral??? (he can tell that better).........and if that is the case then i guess he is asking what is the better model for us to bring a change in the society......current form of democracy (elections/votes) or khilafah!!!!!!!
---------- Post added at 04:00 AM ---------- Previous post was at 03:52 AM ----------
i dnt agree with ur second question, that is a wrong comparison..........because computer has nothing to do with the religion itself......however, when we talk about government or an islamic society, then we do find the related referneces/examples that how a government should be under islamic teachings.......some people would argue that we can implement islamic laws under the current form of democracy thus have an islamic government.........while others will say that the current form of democracy in itself is not in accordance with islamic teachings (meaning the way government is formed through votes/election)
i myself would be in favor of khilafah, but so far i really have no idea how it can be established...what is the way to go about it.....!
-
03-25-2012 #11
Expert Member
not tired !!!!!!!!!!!- Join Date
- Dec 2008
- Posts
- 6,272
- Quoted
- 1835 Post(s)
-
03-25-2012 #12
-
03-25-2012 #13
Re: Tabdeeli VOTE say asakti hay....................???? Ya hum doohkay may paray hain
to be honest, i didnt have really studied this concept either....if anyone else here knows they can help us out!
---------- Post added at 04:07 AM ---------- Previous post was at 04:05 AM ----------
yes i knew u gave it as an example..........but the reason i pointed it out is there are somethings on which we do find examples/references from islamic history/teachings and then there are those that have nothing to do with religion.........so we should not compare the two!
-
03-25-2012 #14
-
03-25-2012 #15
Re: Tabdeeli VOTE say asakti hay....................???? Ya hum doohkay may paray hain
there was somewhat relevant discussion on this thread by yacir and aasimhameed.......if they can give their input... else........i suggest doing some research on this topic on your own to understand it!
https://www.friendskorner.com/forum/f...33/index2.html
-
03-25-2012 #16
Re: Tabdeeli VOTE say asakti hay....................???? Ya hum doohkay may paray hain
بات یہ ہے کہ اس مسئلے پر کچھ زیادہ تحقیق کرنے کی ضرورت نہیں۔ بس آپ اسلامی تاریخ کا جمہوریت کو ذہن میں رکھ کر مطالعہ کرے تو اس بات کا جواب مل جاتا ہے۔
اللہ نے اہل عرب اور تمام جہانوں کی مخلوق کی اصلاح کے لیے اپنے محبوب بندے کو بھیجا۔ اس نے اپنے اعلٰی اخلاق اور تعلیمات سے اہل عرب کو تعلیم و تریبت دی مگر وصال سے پہلے کسی کو خلیفہ مقرر نہیں کیا۔ مسلمانوں میں کچھ اختلاف ہوا مگر سب متفق ہو گئے حضرت ابوبکر صدیق رضی اللہ عنہ اور ان کے ہاتھ پر بیت کی اور یہی جمہوریت ہے۔
پھر حضرت ابوبکر صدیق رضی اللہ عنہ نے وصال سے پہلے حضرت عمر رضی اللہ عنہ کو نامزد کیا اور سب نے بیت کی اور یہی جمہوریت ہے۔
پھر حضرت عمر رضی اللہ عنہہ نے وصال سے پہلے چھ صحابہ اکرام کو نامزد کیا اور سب کا اتفاق حضرت عثمان غنی رضی اللہ عنہ پر ہو گیا اور سب نے بیت کیا اور یہی جمہوریت ہے۔ اور اسی طرح حضرت علی رضی اللہ عنہہ خلیفہ مقرر ہوئے۔ حضرت علی رضی اللہ سے حضرت معاویہ کا اختلاف ہوا اور جنگ سفل ہوئی اور اس کے بعد حضرت معاویہ خلیفہ مقرر ہوئے۔ حضرت معاویہ نے اپنے بیٹے کو مقرر کیا اور یہ جمہوریت نہیں تھی اور اس کے بعد جو کچھ ہوا وہ آپ سب جانتے ہیں۔ خلافت عثمانیہ ہو یا خلافت بنو امیہ ہو وہ سب خلافت کا نام تھا اصل میں وہ بادشاہت تھی اور اسی سلسلہ میں سعودیہ میں اب بھی بادشاہت ہے۔ جمہوریت ہی وہ نظام ہے جو موجودہ دور میں اصل اسلام کے خلافت کے قریب ترین ہے۔ واللہ عالم
نوٹ یہ میرا ذاتی تجزیہ ہے اور اس سے آپ اختلاف رکھ سکتے ہیں۔
-
03-25-2012 #17
Re: Tabdeeli VOTE say asakti hay....................???? Ya hum doohkay may paray hain
i like ur zati tajziya..........and i know the way khulafah were appointed/selected was a democratic way in the essence that it was not imposed upon the muslims rather it was agreed upon.........thats why i said in my comments "the current form of democracy" or khilafah.......because apparently what i see is two different systems......!!!!
-
03-25-2012 #18
Re: Tabdeeli VOTE say asakti hay....................???? Ya hum doohkay may paray hain
-
03-26-2012 #19
- Join Date
- Mar 2007
- Location
- Quetta/ Karachi
- Posts
- 13,944
- Blog Entries
- 1
- Quoted
- 2282 Post(s)
Re: Tabdeeli VOTE say asakti hay....................???? Ya hum doohkay may paray hain
Kia ap ya expect ker saktay hain k jo Allah k mamlay may insaf aur adaal say kaam na lay wo awaam un naas ko insaf aur adaal daaysakta hay.............??
Dosri baat App(S.A.W) k zamanay may jo koch bhi howa wo Allah pak nay qayamat tak k anay walay insano k liya GUIDELINE bana de gaey yahi waja hay kay App(S.A.W) ki hadees ka mafhoom hay kay sab say behtareen zamana mera hay, us k baad meray sahaba ka aur phir tabaa'een ka.
Yahi waja hay k Imam Maalik Rehma Ullah fermatay hain k kisi bhi zamanay may jo bhi fasaad barpa hoga wo nahi sahi hosakta uss waqt tak jab tak qarnaay oola ki mehnaat ko na ikhtiyar kia jaey yani qaarnay oola say muraad App (S.A.W) aur Sahaba ka waqt hay.
Aj k pooray system may ya ap kah layn poori ki poori PARTIES may koi aik bhi aisa baanda hay jis ka apna mamlaa deen ka sahi hay.....??? Yaad rakhna aj VOTE do aur ainda bhi do kabhi bhi SYSTEM ya HALLAT musalmano k nahi badlayn gay. Aik Imran Khan ajaey ya Nawaz Shareef SYSTEM may aur Hallaaat may koi tabdeeli nahi aeygi kion k tabdeeli ka sirf aik raasta hay aur wo hay APNAY APP KI tabdeeli jab tak "AHLAAY HAQ" haq pay nahi ajaatay uss waqt taak BAATIL nahi tootay ga. Allah ap ko zindagi daay ap is ka mushahida karain gay k RASTAAY TUUNG HOTAY JAEYN GAY PER KHOOLAIN GAY NAHI AGAR HAQ PAY CHALNA SHOORO NA KIA AHLAAY HAQ YANI MUSALMANO NAY......
Ap tabdeeli ko VOTE say daikh rahay hain aur may AMAAL say.....
yaad rakho k Sahaba ko KHILAFAAT hasil kerna nahi paari baalkay Allah ki taraf say INAAM may mili jis ka tazkara Allah nay Quran may bhi fermaya hay aur us ki waja Sahaba ka khobsurat hona ya aqal maand hona nahi thaa sirf aur sirf QURBANI thee jo unho nay de aur yahi waja hay k jis ki QURBANI ziada thee us ko ahmiyath ziada mili yani Abu Bakar Sidiq (RA) aur phir baki apni qurbani k hisab say jaga patay gaey.
Musalman ka maamla sirf aur sirf uss waqt baan sakta hay jis waqt wo khud ko Allah ka paaband ker k chalna seekhay ga jaisay Sahaba nay kiya aur us k liya her Qurbani dee in result kia bana k Sahaba ko wo khilafaat mili ji k baad wo roya kertay thaay k kaheen humari takaleef ka ajaar duniya may he tau nahi mil gaya.
Ghazwa e Khandaak k mooqay per khaali pait sahaba khandaaq khood rahay hain aur App(s.a.w) ferma rahay hain qisra pay choot lag gaey qaes pay choot lag gaey..... wo kiya thaa wo uss qurbani ka samar dikhaya Allah nay jo Sahaba nay dee. Ap ka khayal hay k wo FATOOHAT sahaba ki taqaat ya weapons ki buniyad pay mili.......?? nahi meray bhai aisa koch nahi jitni FATOOHAAT hain wo sirf aur sirf Allah nay un ki qurbaniyo ki waja say dee aur Qurbani jaan ki bhi thee maal ki bhi theee. Aisa nahi thaa k Sahaba farigh thaay un k paas koch kernay ko nahi laikin unho nay apnay yakeen ko Allah pay bana nay k liya apna sab koch qurban kiya aur her azmaish pay poora utraay jab jaa k wo darwazaay khoolay hain aur yahi zaabta qayamat tak k anaay walay musalmano k liya bhi hay.