All Pakistani Dramas Lists
Latest Episodes of Dramas - Latest Politics Shows - Latest Politics Discussions
Latest Episodes of Dramas - Latest Politics Shows - Latest Politics Discussions
-
06-22-2013 #1
Mairi Zaat Ab To Mairi Nahi'n(میری ذات اب تو میری نہیں)
Assalam-o-Alaikum
Ek nai tehreer key sath hazir hoo'nis tehreer key mouzo sey buhat sey log ikhtilaf ker saktey hai'nlaikin mai'n ney wohi kuch likha jo kuch mai'n ney is muashrey hotey daikha aur suna hey perh ker apni raye sey zaror agah zaror kijiye aur ager mouzo key hawaley sey apney comments dai'n tu mujhey buhat khushi hogi.
Mairi Zaat Ab Tu mairi Nahi'n
(میری ذات اب تو میری نہیں)
"READY TO DIE FOR MOHAMMAD (SAW),
FIRST
TRY TO LIVE FOR HIM"
-
06-22-2013 #2
- Join Date
- Jun 2011
- Location
- Hyderabad, Sindh
- Posts
- 11,473
- Blog Entries
- 21
- Quoted
- 1379 Post(s)
Re: Mairi Zaat Ab To Mairi Nahi'n(میری ذات اب تو میری نہیں)
Afsos!!!, humary societies main yeh aik bht negative aspect hay, aurat ko hamesha critisize kya gaya hay like aisy kyon chali? zamana kya kahayga? waisy kyon bayhthi? loag kya sochaingay? tum chup raho mard k mamly main na bolo zabaan na kholo zyadah warna aik bar jab zabaan khulti hay tau band nai hoti phir chahay ladka kuch ka kch bolay
ladkyon ka aagay badhna or kuch karna acceptable nai hay zyadah banisbat ladkon kay
or baat jab bahu par aati hay ye usko pata hota hay k wo apnay sath kya kuch bardasht nahi karti apnay maa baap k ghar sy rukhsat ho kay jahan usay aankhon pay sajaya gaya....
Bahu , beti ko Allah talah un k hissay ki khushi day..Ameen
bht accha likha apnay...
-
-
06-22-2013 #4
Re: Mairi Zaat Ab To Mairi Nahi'n(میری ذات اب تو میری نہیں)
nice post.. aankhon mai ansu aa gay...
meri ek soch hay i dont know k meri ye soch sahi b hay ya nahi..
but maine daikha hay aur ye bat note b ki hay..
jis shohar ko Islam ki sahi smj hogi wo apni biwi aur apne parents k haquq ko sahi tarha sy barabar rakhyga...
aaj kal loug dunyawi talim k itny pichy par gai hain k baaz wo educated ho k b uneducated hi rahty hain...
aur jis ko sahi Islma ki talim di gai hogi un k ghar aisa bilkul b nhi hota..
dusri bat ye k jab saas apni beti aur bahun ko baraber rakhy tou b bahu bht khush rah skti hay...
tisri bat ye k ye sb mahole pe b dpnd karta hay naa k sasural ka mahol but maiky ky mahole pe b dpnd karta hay...
any ways.. bht hi achi sharing hay..
umeed hay k loug is post ko par k apni futr ki dunya mai sudhar lain..
Aameen
" In million of books, there is only word...
If your vision is clear, just Bismillah is enough for you"
-
06-22-2013 #5
- Join Date
- May 2011
- Location
- $acha1 k1 dunya lVla1n
- Posts
- 18,454
- Blog Entries
- 9
- Quoted
- 2056 Post(s)
-
06-22-2013 #6
Re: Mairi Zaat Ab To Mairi Nahi'n(میری ذات اب تو میری نہیں)
kiya baat hai,huqooq e niswan par qalam nawai,
wah ji.baat tou sach hai magar baat hai ruswai ki,
woh kehtay hain na aurat ki aurat hi dushman,durust kehtay hain.
bohat lajwab likha Agha ji hamesha ki tarhan.....!!!Dil Ka Aalam Hai Aik Dariya Sa
Do Kinaron Main Dard Behta Hai.........!!!
-
06-22-2013 #7
Re: Mairi Zaat Ab To Mairi Nahi'n(میری ذات اب تو میری نہیں)
Tehreer pasand kerney ka shukria momo
laikin mujhey umeed thi keh shayed tu mouzo key hawaley sey bhi kuch comments kro gi
aur haqooq-e-niswa'n per qalam nawai koi pehli bar tu nahi'n ki mai'n ney kafi arsey sey likhta chala aaraha hoo'n
ye alag baat keh is tehreer ko likhney aur phir design ker key share kerney mai'n raat key teen baj gaye aur hamarey gher mai'n jo ek added niswa'n hey na jisey tum bhabi kehti ho us ki aankh khul gai phir hamarey sath kia huwa ye na pocho bus is sey andaza laga lo keh aaj bhi office baitha huwa hoo'n,hamaisha khush aur salamet raho
Ameen
-
06-22-2013 #8
Re: Mairi Zaat Ab To Mairi Nahi'n(میری ذات اب تو میری نہیں)
-
06-22-2013 #9
- Join Date
- Oct 2008
- Location
- ................
- Posts
- 31,178
- Blog Entries
- 4
- Quoted
- 158 Post(s)
-
06-22-2013 #10
Re: Mairi Zaat Ab To Mairi Nahi'n(میری ذات اب تو میری نہیں)
Sahi hey uralo mazaq.... Inshallah hamara bhi waqt aaye ga jub hamari bhi bahoai'n aai'n gi phir daikhai'n ge waisey ye tehreer ishi wajha sey likhi gai hey kal hum baith ker yehi baat ker rahey they keh baho aur saas key dermiya'n kyoo'n khainch tani rehti hey aur hum kyoo'n unhai'n azadi key sath zindagi guzarney ka moqa nahi'n daitey tu hom donoo'n ney faisla kia keh hum unhai'n Inshallah khul ker unhai'n un ki zindagi guzarney ka moqa dai'n ge keh hamari zimedari hamarey baitoo'n per hogi aur ager woh khush hai'n tu Maa Bap key liye is sey berh ker khushi ki baat kia hogi? Haa'n ye hamara ferz zaror hey keh hum unhai'n sub key haqooq-o-faraiz sey aaghh krai'n........tum ager ghour kro tu is tehreer key kuch pehloo'n ko mai'n ney discuss nahi'n kia mai'n perhney waloo'n ki involvement chahta tha keh wo kia kehtey hai'n ..........ya nahi'n keh "Agha Ji aap ki tehreer key age kia likhoo'n?
-
06-22-2013 #11
-
06-22-2013 #12
Re: Mairi Zaat Ab To Mairi Nahi'n(میری ذات اب تو میری نہیں)
Waalikum Asslaam
Sum Ameen
bht hi hasaas pehlu pe bht hi khubsoorat likha ap ne !
yehi tou hamaray mashray ka almia hai hum sab kuch jantay bhujtay bhi krtay wehi hain jo ap apni tehreer mai bayan kar chuky hain !
-
06-22-2013 #13
-
06-22-2013 #14
-
06-22-2013 #15
Re: Mairi Zaat Ab To Mairi Nahi'n(میری ذات اب تو میری نہیں)
wa alaikum assalam !
Boht acha point uthaya ap ne......baho pr responsibility sirf us k shohar ki hoti hai agar wo baqi sb ka khayal rakhe to ye husn e salook mai ata hai. or rahi baat sary ghar ki zma dari dalny ki or imtiazi salok krny ki to ye soch hmary maushry ka hissa hai jiska badalna km az km mje nzr nhi ata ... agar gar k tmam afraad division of labour per amal pera hon aik hi pr sara boj na dala jaye. baho or beti mai imtyazi salook rawa na rakha jaye to ghar ka mahol boht purskon or khushgwar ho skta hai....or apni beti ki b aisi trbiyat krna chahiye k wo tmam kisam ki responsibilities bkhushi or ache treeqy se ada kr sky q k ye b hmary maushry ki haqeeqat hai k 90% compromise females ko krna party hain.....compromise k bghair to koi b rishta theek nhi chal skta...
hmari jitni sense thi us k mutabik bta dia......hope u know betterEID MUBARAK
-
06-22-2013 #16
Re: Mairi Zaat Ab To Mairi Nahi'n(میری ذات اب تو میری نہیں)
waqai yeh aik bara takleef da pehloo hai hamare muashire ka ..aur system to hum sab khud banate hain .bas sirf adal se kam lene ki zaroorat hai ayr yeh zaroor sochna chahiye k aj hum jo kuch apne ghar mein kar rahey hain kal ko hamare apne piyaron k sath bhi aesa ho sakta hai .sab amal karne se pehle bas aik choti si soch bedar ho jaey to yeh khamiyan door ki ja sakti hain ..ALlah pak har aik ko samjhne aur amal karne ki taufeea ata farmaey ameen
thank you sharing
...........................
-
06-22-2013 #17
- Join Date
- Jun 2011
- Location
- Hyderabad, Sindh
- Posts
- 11,473
- Blog Entries
- 21
- Quoted
- 1379 Post(s)
Re: Mairi Zaat Ab To Mairi Nahi'n(میری ذات اب تو میری نہیں)
Totally agree with u...and aik point add karna hay kuch husbands ye sochty hain k maa ki farmabardi hi sab kuch hay mera khayal is par kuch is tarah hay k husband sunay dono ki mean apni biwi or maa ki or koshish ye karay k baat ko zyadah aagay badhny na day bal kay technically is tarah handle kary k dono k dil main muhabbat payda ho aik dusray k liye.
- - Updated - -
sahi apki baat k apni beti ki maa is tarah parwarish karay k usay bardasht ki taqaat bataye kyunk yahan agar aurat aqalmandi say kaam karaygi tau ghar sambhlayga laykin saath us k husband ka co operation bhi zaroori hay agar uski saas ka behavior sahi na ho tau. jhagada bbadhany sy behtar hay jhagday ki jagah muhabbat aa jaye
-
06-22-2013 #18
-
06-23-2013 #19
Re: Mairi Zaat Ab To Mairi Nahi'n(میری ذات اب تو میری نہیں)
Salam Ada sohail!!! aik bar phir karwa aur sacha topic le hi aye na good!!! acha lagta hai jab ache log ache kaam ki riwayat ko barqirar rakhien!!! bieng aurat main hamesha feel karti hoon ke aurat ka apna waqyeee main koi ghar naheen hota...
kiyon ke us ke wajood se ghar mukamal sa laga hai issi liyeh hi usse uss ghar main jaga di jati hai. pehle baap ka ghar wahn baiti ko aise hi rehna hai jaisi wahan ki riwayaat hain... phir husband ka ghar wahan bhi wahn ki riwayaat tale sansien leni hain ....aur phir end main baitay ka ghar jo baap ki riwayaat ko agay lekar chalta hai..!!! anyway it was just my dil ki baat...... ab kuch aap ke topic ke huwale se aik do baat yun bhi ho jaye ke ...
aik aurat ko aik nayeghar main jab bhija jata hai tou aik tou uss se bohat sari umeedien wabista kar li jati hain kabhi yeh naheen socha jata ke aik new environment main adjust hote hote naye logon se attach hote hote nayee riwayaat ko understand karte karte aur specially aik naye rishtay ke sathh nibhate nibhate jo bohat hi close hota hai yani husband ka rishta waqt lagta hai..aur yeh sab situations aik aurat ke liyeh usse bokhala dene ke liyeh kafi hote hai ...magar jaise ke aurat by nature aik powerful aur positive energy rakhti hai tou woh cheezien waqat ke sath adopt karti jati hai aur aik aisa bhi waqt aata jab uss ghar ke mukhalefeen bhi phir har shay ke liyeh har advice ke liyeh har kaam ke liyeh ghar ki ussi bahoo ki taraf dorte hain jis se pehle bhagte they door hote thay. so aurat ko chahe woh kisi bhi roop main ho apna aap manwane ke liyeh bohat door tak aur bohat dair tak jidojhad karni parti hai aur aksar uss ki mukhalifat main aik aurat ki koshishien hi karfarma hoti hain.
aap ki tehreeon ki hamesha se fan rahi hoon this was wonderful as always. keep it up
thanks and blessings
urs sis savi
کترنیں روح کی آؤ کے ,سمیٹیں فرخکیا خبر ، لوٹ کے آجاے رفو کا موسم
-
06-23-2013 #20
- Join Date
- Mar 2011
- Location
- on the way...!
- Posts
- 3,391
- Blog Entries
- 2
- Quoted
- 1056 Post(s)