All Pakistani Dramas Lists
Latest Episodes of Dramas - Latest Politics Shows - Latest Politics Discussions
Latest Episodes of Dramas - Latest Politics Shows - Latest Politics Discussions
-
04-30-2014 #1
-
The Following User Says Thank You to Disturbing behaviour For This Useful Post:
Shab-e-Firaaq (05-01-2014)
-
04-30-2014 #2
-
04-30-2014 #3
Re: ~''~>>||<< MaRHaLaY RaaH e WaFa Ke >>|||<<~''~
Brother apko parh ker yaqeenan bahut khushi hoti hai..Apki yeh koshish bhi achi rahi..Meri taraf se daad qabool farmaain. Apni zaati raay daita chalon...Matlah ka pehla misra yun ho to ziyada behter lagay ga..marhalay raah-e-wafa ke go bahut dushwar the...Doosray shair k pehlay misray mein...war peeche se howa izaafi hai kyunkeh doosray misray mein...hum ne jub daikha palat ker...yeh zahir ker raha hai keh war peeche se hi howa hai lahazah ...war peeche se howa ki jagah koi aur maani khaiz baat ki taraf isharah ker ke shair ke hussan ko mazid nikhara ja sakta hai.Poetry isharon se achi lagti hai details ki zaroorat nahin hoti. Furqaton mein aisi khamoshi thi keh hum barha..dil dharaknay ki sada se bhi baray baizar the. Ik mohabbat per hi na mauqoof the ranj-o-alum...zindagi mein is se barh ker bhi kai aazar the.Aaghi ke shehr mein jahil bhi pehraydar the...yahan lafz bhi ka istamal semantic failure paida ker raha hai.Khush rahain aur likhte rahain.
Afzal Chaudhry
-
-
05-03-2014 #5
Re: ~''~>>||<< MaRHaLaY RaaH e WaFa Ke >>|||<<~''~
MashAllah kiya khubsurat kalaam aata kiya iss baar bhi!!! dear DB great thoughts with pureness!! i liked it very muchhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh
keep sharing keep creating magic of thoughts!!! keep it up
thanks and blessingsssssssss
کترنیں روح کی آؤ کے ,سمیٹیں فرخکیا خبر ، لوٹ کے آجاے رفو کا موسم
-
-
-
05-09-2014 #8
Re: ~''~&gt;&gt;||&lt;&lt; MaRHaLaY RaaH e WaFa Ke &gt;&gt;|||&lt;&lt;~''~
Qabil e Sadd ehtiram Janab Afzal Bhai. Mujhe buhat khushi hai k aap mere kalam ko na sirf parhte hain balke is ki khamiyun ki nishandahi bhi karte hain jo yaqeenan mere liye intihai zaroori hai. Aap ka tajarba aur aap ki soch beshak buhat mature hai aur main aap ki tajaweez se kulli taur per ittefaq karta hoon ke is se mere kalam ka husn barh jata hai. FK per to aaj kal aisi khamoshi chahi hai k koi shayad posts ko dekhne aur us per apni rae ko dene ki zehmat bhi nahi karta ya phir shayad meri shaery us level hi ki nahi hai jis per comment kar ke koi apna qeemti waqt zaaya karay. Bahar kaif aap jaise mehrban ki hausla afzai mere liye waqai buhat khush kun rahi. Umeed hai k aainda bhi issi tarah se aap rehnumai farmate rahen ge.
ZaY
- - Updated - -
Shukriya Savi Sahiba
ZaY
- - Updated - -
Buhat nawazish aap ki Janab
ZaY
-
05-15-2014 #9