All Pakistani Dramas Lists
Latest Episodes of Dramas - Latest Politics Shows - Latest Politics Discussions
Latest Episodes of Dramas - Latest Politics Shows - Latest Politics Discussions
-
07-05-2014 #1
Junior Member
Edit>- Join Date
- May 2006
- Location
- Lahore, Pakistan
- Posts
- 650
- Quoted
- 1 Post(s)
Shikwa-e-zaat k manjdhaar se nikly kab hein, ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Salam-o-adaab
Sukhan shanas ahbaab ki khidmat mein chupky se ik ghazal paish hay.
musafir
Shikwa-e-zaat k manjdhaar se nikly kab hein
Ham, mery yaar, dil-e-zaar se nikly kab hein
Harf ehsaas ki tasveer kashi karny lagy
Harf tajseem ki purkaar se nikly kab hein
Teri mehfil mein wo yaksoo tujhy takny waly
Kon, kab, kesy ki takraar se nikly kab hein
Rooh dar rooh jo wahdat hay koi kiya jaany
Log ajsaad k sansaar se nikly kab hein
Dil zadda, tanhaa, khataakar, qateel-e-furqat
Tery aasaar sazaawaar se nikly kab hein
Husn aur ishq mein me'ayaar wafaa ko rakha
Ham wafaa kesh hein me'ayaar se nikly kab hein
Waqt ka chaak banataa hay bhalaa kiya soorat
Dhal rahy hein, abhi aazaar se nikly kab hein
Aaina toot giya, shakl na tooti us ki
Moajzy khawab k asraar se nikly kab hein
Phir rahy be saro samaan sadaaein dety
Gham tery koocha-o-bazaar se nikly kab hein
Baandh rakhta hay kharaabon ko fasoon yaadon ka
Chun diya hay jinhein, devaar se nikly kab hein
Jab bura waqt chala, bojh giraaty he bani
Warna ye sar hein jo dastaar se nikly kab hein
Waqt likhy ga kahaani mery kirdaaron par
Lafz is zehni adaakaar se nikly kab hein
Deep bhujh jaey magar saath kharay hon saary
Yaar wo halqa-e-aghiyaar se nikly kab hein
Kooey afkaar "anal haq" ki sada baaqi hay
Ham musafir sahi par daar se nikly kab hein
(musafir)
-
The Following User Says Thank You to Musafir For This Useful Post:
Shab-e-Firaaq (07-07-2014)
-
-
07-10-2014 #3
Junior Member
Edit>- Join Date
- May 2006
- Location
- Lahore, Pakistan
- Posts
- 650
- Quoted
- 1 Post(s)
Re: Shikwa-e-zaat k manjdhaar se nikly kab hein, ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Salam-o-adaab, mohtram-ul-muqaam janab Shab-e-firaq
Intehaai nawazish k ap ne tehreer ko parha aur apni qeemti raey se nawaza, bohat arsa baad ik dost se mobile pe bat hui to us ne friendskorner ka tazkra kiya to socha, ,,,,,,,,,,, taqreeb kuch to behr-e-mulaqat ka mamla kiya jaaey, ,,,,,,,,,,,, lehaza ye ghazal share karny ki jasarat kar li.
Salamat rahein, khush rahein, kamyab rahein, shad-o-abaad rahein
musafir
-
07-26-2014 #4
-
08-03-2014 #5
Junior Member
Edit>- Join Date
- May 2006
- Location
- Lahore, Pakistan
- Posts
- 650
- Quoted
- 1 Post(s)
Re: Shikwa-e-zaat k manjdhaar se nikly kab hein, ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
-
08-03-2014 #6
-
08-08-2014 #7
Junior Member
Edit>- Join Date
- May 2006
- Location
- Lahore, Pakistan
- Posts
- 650
- Quoted
- 1 Post(s)
Re: Shikwa-e-zaat k manjdhaar se nikly kab hein, ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Salam-o-adaab. ............... Laaiq-e-sad ehtram, Mohtarma Resham
Ehsaas shiddat-e-sapaas guzaari se harfon ki chokhat pe sajda rez hay aur mushtaaq-e-izhaar-e-tashakur hay ap k haroof-e-pazeerai pe. Ap k haroof-e-tehseen mery liye hosla afza aur tarh-e-sukhan k liye jaanfizaa hein.
Salamat rahein, khush rahein, kamyab rahein, shaad-o-abaad rahein, baa muraad rahein.
musafir
-
08-26-2014 #8
Re: Shikwa-e-zaat k manjdhaar se nikly kab hein, ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Jab bura waqt chala, bojh giraaty he bani
Warna ye sar hein jo dastaar se nikly kab hein
janab, der say hazri per maufi ka khwastgaar hoon..
go keh aapkay kallam nigah nawaz hua tha lakin toseef o tareef kernay online na aaska.
khub-surat lub o lehjay main kasheedy huii yeh mutasir-kun ghazal yaqeeni tor per aapki kamal e fun ki aaynah daar theri.
aabad o kamran rahyea..ameenKhayal-ger
-
08-29-2014 #9
Junior Member
Edit>- Join Date
- May 2006
- Location
- Lahore, Pakistan
- Posts
- 650
- Quoted
- 1 Post(s)
Re: Shikwa-e-zaat k manjdhaar se nikly kab hein, ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Salam-o-adaab, ,,,,,,,, Mohtram janab Farrukh ji
Intehaai mamnoon hu k ap ne meri tehreer ko nazar nawaz farmaya, ,,,,,,,,,, ap ne jis diqqat-e-nazar aur shukhan dosti ka muzahira farmaya dil ki ataah gehraaion se sapaaaz guzaari k jazbaat alfaaz ki soorat mein dhal kar ehsaaz-e-qabooliyat mein gulrang huey jaaty hein. Ap k alfaaz hamesha mery liye baais-e-tashweeq-o-taskeen hoty hein.
Salamat rahein,,,,,,,,,,,,, khush rahein, ,,,,,,,,, hansty muskraty rahein, ,,,,,,,,,,,,
musafir
-
-
09-14-2014 #11
Junior Member
Edit>- Join Date
- May 2006
- Location
- Lahore, Pakistan
- Posts
- 650
- Quoted
- 1 Post(s)
Re: Shikwa-e-zaat k manjdhaar se nikly kab hein, ,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,
Salam-o-adaab
Intehaai mashkoor hoon k ap ne tehreer ko pasand farmaya aur apni qeemti raaey se nawaza.
Salamat rahein, khush rahein, kamyab rahein, shad-o-abaad rahein.
musafir
- - Updated - -
Salam-o-adaab
Intehaai mashkoor hoon k ap ne tehreer ko pasand farmaya aur apni qeemti raaey se nawaza.
Salamat rahein, khush rahein, kamyab rahein, shad-o-abaad rahein.
musafir